SHAWORDS

haath par titli biThaanaa chaahti huun — Minakshi Masoom

"haath par titli biThaanaa chaahti huun main gulon kaa dil jalaanaa chaahti huun panchhiyon ko bhi mile ghar is liye main peD aangan mein lagaanaa chaahti huun ik jhalak apni dikhaa maulaa mujhe bhi khud ko main tujh par luTaanaa chaahti huun main qafas toDun to khiDki khol denaa qaid se khud ko uDaanaa chaahti huun phuul tu ne khat mein bhejaa vo dikhaa kar main khizaan ko munh chiDhaanaa chaahti huun"
Urdu

ہاتھ پر تتلی بٹھانا چاہتی ہوں میں گلوں کا دل جلانا چاہتی ہوں پنچھیوں کو بھی ملے گھر اس لئے میں پیڑ آنگن میں لگانا چاہتی ہوں اک جھلک اپنی دکھا مولیٰ مجھے بھی خود کو میں تجھ پر لٹانا چاہتی ہوں میں قفس توڑوں تو کھڑکی کھول دینا قید سے خود کو اڑانا چاہتی ہوں پھول تو نے خط میں بھیجا وہ دکھا کر میں خزاں کو منہ چڑھانا چاہتی ہوں

Hindi

हाथ पर तितली बिठाना चाहती हूँ मैं गुलों का दिल जलाना चाहती हूँ पंछियों को भी मिले घर इस लिए मैं पेड़ आँगन में लगाना चाहती हूँ इक झलक अपनी दिखा मौला मुझे भी ख़ुद को मैं तुझ पर लुटाना चाहती हूँ मैं क़फ़स तोड़ूँ तो खिड़की खोल देना क़ैद से ख़ुद को उड़ाना चाहती हूँ फूल तू ने ख़त में भेजा वो दिखा कर मैं ख़िज़ाँ को मुँह चिढ़ाना चाहती हूँ

haath par titlī biThānā chāhtī huuñ
Minakshi Masoom
Minakshi Masoom
Minakshi Masoom
poet7 quotes

More by Minakshi Masoom

View all →
Quote
"taa-qayaamat 'ishq ki jaadu-gari jaari rahe un nigaahon ko miri surat sadaa bhaati rahe phuul ki aaghosh mein madhosh jab titli rahe phuul chaahe vaqt ke baaham havaa dhimi rahe zindagi bhar paas us ke main rahun kuchh is tarah jis tarah se ik hiran ke paas kasturi rahe jism par poshaak saada main pahan lungi magar shawl par us ke mire haathon ki gul-kaari rahe us ke bin bhaari lage din ki guzarti har ghaDi aur tanhaa raat meri jaan ki bairi rahe haae puure chaand ki ye raat kyon us ke binaa chaandni tan-man jalaane ke liye hansti rahe ye mohabbat se bhari us ki nazar mujh par sadaa raat mein shabnam si din mein dhuup si bikhri rahe band kamre mein khuli hain chiTThiyaan mahbub ki khiDkiyon se mausam-e-gul Toh letaa hi rahe"
Minakshi MasoomMinakshi Masoom
Quote
"'adaavat haath ke patthar ko shishe se nibhaani hai mire hi 'aks ko mujh se zaraa si bad-gumaani hai guzaari haadse ke saath main ne zindagi puuri buri ik yaad mere zehn se mujh ko miTaani hai mire sach bolne se sab ke sab honge khafaa yaa'ni mujhe naaraazgi khaamosh rah kar hi jataani hai havaaon ki sharaarat dekh le ab ghaur se tu bhi inhein bas phuul par baiThi hui titli uDaani hai tiri tasvir apne haath se main ne banaai jo mujhe vo raat-din har roz siine se lagaani hai nadi chaahat bhari jo kohsaaron se lagi bahne use to tishnagi khaare samundar ki bujhaani hai"
Minakshi MasoomMinakshi Masoom
Quote
"tum ne jo insaan ho kar baat insaani nahin ki kar to sakte the koi harkat jo shaitaani nahin ki kyon hamein buniyaad hone ki ghalat-fahmi rahi ye kyon hamaare dil ne saari 'umr man-maani nahin ki paas koi jo sunaane ke liye qissa nahin hai ho rahaa afsos ye kyon ham ne naadaani nahin ki dhuup mein ik peD kaa saayaa mayassar ho gayaa to baadalon ki chhaanv ki har vaqt nigraani nahin ki jo charaaghon ki tarah jalte rahe us raat ko ham to khudaa ne bhi havaa us roz tufaani nahin ki raaz saare khul gae naakaam dil ke tab hamaare dil-jale ki baat par jab ham ne hairaani nahin ki ham ne ik 'maa'sum' ko jab bechte dekhaa khilaune phir kabhi harkat hamaare dil ne bachkaani nahin ki"
Minakshi MasoomMinakshi Masoom

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil