SHAWORDS

hai udaasi kaa murtakib koi — Dilshad Naseem

HomeDilshad NaseemGhazal
"hai udaasi kaa murtakib koi mujh mein rahtaa hai muztarib koi chaand bhi raushni nahin detaa jab se ruThaa hai be-sabab koi apne mauqif ki baat kartaa hai mujh se miltaa hai aa ke jab koi main to sunti nahin huun apni bhi yahaan hotaa hai apnaa kab koi kijiye gham se aap hi parda kah rahaa hai ye muhtajib koi"
Urdu

ہے اداسی کا مرتکب کوئی مجھ میں رہتا ہے مضطرب کوئی چاند بھی روشنی نہیں دیتا جب سے روٹھا ہے بے سبب کوئی اپنے موقف کی بات کرتا ہے مجھ سے ملتا ہے آ کے جب کوئی میں تو سنتی نہیں ہوں اپنی بھی یہاں ہوتا ہے اپنا کب کوئی کیجیے غم سے آپ ہی پردہ کہہ رہا ہے یہ محتجب کوئی

Hindi

है उदासी का मुर्तकिब कोई मुझ में रहता है मुज़्तरिब कोई चाँद भी रौशनी नहीं देता जब से रूठा है बे-सबब कोई अपने मौक़िफ़ की बात करता है मुझ से मिलता है आ के जब कोई मैं तो सुनती नहीं हूँ अपनी भी यहाँ होता है अपना कब कोई कीजिए ग़म से आप ही पर्दा कह रहा है ये मुहतजिब कोई

hai udāsī kā murtakib koī
Dilshad Naseem
Dilshad Naseem
Dilshad Naseem
poet20 quotes

More by Dilshad Naseem

View all →
Quote
"meri khizaan to sabz hui is khumaar mein aane kaa us ne vaada kiyaa hai bahaar mein rakkhi hui hai laaj miri mere ishq ne varna to kyaa rakhaa huaa hai intizaar mein ghar bhi mujhe to dasht saa lagtaa hai tere bin lagtaa nahin hai dil miraa ujDe dayaar mein ab jo suluk tu kare ye zarf hai tiraa main aa gai huun aaj tire ikhtiyaar mein raushan na ho saki kabhi ye shaam-e-gham miri main ne jalaae diip kai e'tibaar mein meri vafaa ke zikr pe us ki vo khaamushi saare javaab mil gae is ikhtisaar mein dekhi to hogi raah miri us ne bhi kabhi aayaa bhi hogaa ashk mire chashm-e-yaar mein dekhaa hai main ne moajiza 'dilshaad' aisaa bhi hansne se us ke gul khile hain kunj-e-khaar mein"
Dilshad NaseemDilshad Naseem
Quote
"vo teraa mujh se kahaa harf harf sach niklaa bhalaa main kaun tiraa harf harf sach niklaa kahaa thaa us ne mohabbat fareb hai dil kaa vo jab bhi duur gayaa harf harf sach niklaa anaa-parasti mein apni misaal aap thaa vo jo us ne chaahaa kiyaa harf harf sach niklaa nahin hai koi shikaayat mujhe zamaane se mujhe thaa jo bhi gila harf harf sach niklaa likhi thi us ne mohabbat ki be-qaraari aur vo jo bhi likh na sakaa harf harf sach niklaa nahin ho tum to aziyyat hai kaarobaar-e-hayaat ye jhuuT teraa piyaa harf harf sach niklaa"
Dilshad NaseemDilshad Naseem
Quote
"ham aayat-e-quraani us vaqt hi paDhte hain ho jaan hatheli par tufaan se guzarte hain kab taab-e-nazaara hai bas diid ki hasrat hai mil jaao kisi din tum din raat taDapte hain rahtaa hai mohabbat ko har vaqt hi dhaDkaa saa mausam ki tarah kahte hain dost badalte hain ye raat ki raani to ab meri saheli hai ham hanste hain donon hi donon hi mahakte hain dete hain mujhe har din taarikh vo aane ki vaadon se mukarte hain kab ishq vo karte hain sochaa hai tumhein itnaa par yaad nahin kitnaa shab yuun hi guzarti hai ham aahein hi bharte hain in reshmi yaadon ne uljhaa ke rakhaa mujh ko din mere to aksar ab raaton se ulajhte hain jin pyaar ke lamhon se dil shaad saa rahtaa thaa 'dilshaad' vahi lamhe ranjur saa karte hain"
Dilshad NaseemDilshad Naseem
Quote
"yaad karnaa muhaal lagtaa hai haafize kaa kamaal lagtaa hai garm haathon se aanch aati hai sardiyon ki vo shaal lagtaa hai vaqt ho dost yaa koi pal ho jo bhi guzraa kamaal lagtaa hai habs itnaa hai meri miTTi mein saans lenaa muhaal lagtaa hai hijr barsaa hai aankh se jab bhi mujh ko bhaadon kaa haal lagtaa hai kaun dekhegaa haath par qismat bas lakiron kaa jaal lagtaa hai mausam-e-ishq aa gayaa hai kyaa dastakon kaa dhamaal lagtaa hai bad-gumaani hai us ki aankhon mein dil ke shishe mein baal lagtaa hai"
Dilshad NaseemDilshad Naseem

More on Chaand

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand par yuun kaale baadal dekh kar achchhaa lagaa ik nazar dekhaa jo us ko umr bhar achchhaa lagaa misl-e-majnun reg-zaaron kaa safar achchhaa lagaa teri khaatir jiiti baazi haar kar achchhaa lagaa hanste hanste jaan le li jaan ne ik din miri jaan luTaa di main ne jis dam jaan par achchhaa lagaa teri yaadon ke sahaare ji rahaa huun aaj bhi guzre jo hamraah tere vo safar achchhaa lagaa apni qismat par karun main rashk jitnaa kam hai vo kyaa bataaun tum se mil kar kis qadar achchhaa lagaa unche mahlon ki rihaaish ho mubaarak aap ko mujh ko apne gaanv kaa miTTi kaa ghar achchhaa lagaa mujh ko apni mehnaton par hai yaqin aur naaz bhi khuun pasine se milaa hai jo samar achchhaa lagaa daad-o-tahsin ki tamanna ki nahin tu ne kabhi dekh kar 'saarim' tumhaaraa ye jigar achchhaa lagaa"
Aziqur Rahman SarimAziqur Rahman Sarim