"vo qarya-e-mahtaab rahe subh-o-masaa yaad kuchh bhi na rahe shahr-e-tamannaa ke sivaa yaad anvaar ki baarish thi sar-e-manzil-e-taiba har manzil-e-khush dekh ke aataa thaa khudaa yaad ab tak hain nigaahon mein dar-o-baam haram ke ab tak hai mujhe vaadi-e-rahmat ki fazaa yaad hai sirat-e-athar miraa sarmaaya-e-hasti mahbub-e-do-aalam ki hai ek ek adaa yaad Duube na kabhi mere muqaddar kaa sitaaraa ik baar jo kar lein mujhe mahbub-e-khudaa yaad qurbaan hui jaati thiin rahmat ki ghaTaaein in kaanpte honTon kaa hai andaaz-e-duaa yaad har ek ke daaman mein muraadon ke guhar the 'haafiz' mujhe darbaar ki hai shaan-e-sakhaa yaad"
hai vajh-e-sukun-e-dil-e-aashufta-navaa bhi — Hafiz Ludhiyanvi
"hai vajh-e-sukun-e-dil-e-aashufta-navaa bhi vo aankh ki hai fitna-e-sad-hush-rubaa bhi hai kaar-e-junun ahl-e-junun ke liye aasaan ye kaam kabhi ahl-e-faraasat se huaa bhi taskin-e-dil-o-jaan hai agar vo rukh-e-zebaa us qaamat-e-zebaa mein hai ik hashr chhupaa bhi jo saamne aae to miri samt na dekhe detaa hai shab-e-hijr vahi mujh ko sadaa bhi utre jo vo siine mein to ilhaam ki surat Thahre to larazne lage shabnam ki ridaa bhi uTThe to qayaamat bhi qadam chuum ke guzre al-qissa vo andaaz hai aafat bhi balaa bhi 'haafiz' mire siine mein farozaan hai abhi tak vo dard sikhaataa hai jo jiine ki adaa bhi"
ہے وجہہ سکون دل آشفتہ نوا بھی وہ آنکھ کہ ہے فتنۂ صد ہوشربا بھی ہے کار جنوں اہل جنوں کے لیے آساں یہ کام کبھی اہل فراست سے ہوا بھی تسکین دل و جاں ہے اگر وہ رخ زیبا اس قامت زیبا میں ہے اک حشر چھپا بھی جو سامنے آئے تو مری سمت نہ دیکھے دیتا ہے شب ہجر وہی مجھ کو صدا بھی اترے جو وہ سینے میں تو الہام کی صورت ٹھہرے تو لرزنے لگے شبنم کی ردا بھی اٹھے تو قیامت بھی قدم چوم کے گزرے القصہ وہ انداز ہے آفت بھی بلا بھی حافظؔ مرے سینے میں فروزاں ہے ابھی تک وہ درد سکھاتا ہے جو جینے کی ادا بھی
है वज्ह-ए-सुकून-ए-दिल-ए-आशुफ़्ता-नवा भी वो आँख कि है फ़ित्ना-ए-सद-होश-रुबा भी है कार-ए-जुनूँ अहल-ए-जुनूँ के लिए आसाँ ये काम कभी अहल-ए-फ़रासत से हुआ भी तस्कीन-दिल-ओ-जाँ है अगर वो रुख़-ए-ज़ेबा उस क़ामत-ए-ज़ेबा में है इक हश्र छुपा भी जो सामने आए तो मिरी सम्त न देखे देता है शब-ए-हिज्र वही मुझ को सदा भी उतरे जो वो सीने में तो इल्हाम की सूरत ठहरे तो लरज़ने लगे शबनम की रिदा भी उठ्ठे तो क़यामत भी क़दम चूम के गुज़रे अल-क़िस्सा वो अंदाज़ है आफ़त भी बला भी 'हाफ़िज़' मिरे सीने में फ़रोज़ाँ है अभी तक वो दर्द सिखाता है जो जीने की अदा भी
More by Hafiz Ludhiyanvi
View all →"jo khush-nasib huzuri mein jaa nikaltaa hai labon se naghma-e-sall-e-alaa nikaltaa hai mohabbaton kaa ajab shahr hai madina bhi har ek shakhs jahaan aashnaa nikaltaa hai nigaah-e-shauq ko miltaa hai izn-e-goyaai khamoshiyon mein bhi ik muddaaa nikaltaa hai ajab muraqqaa-e-dilkash hai yaad-e-shahr-e-nabi hazaar rang jahaan naat kaa nikaltaa hai bikher detaa hai qirtaas par guhar-paare qalam se jab mire harf-e-sanaa nikaltaa hai janaab-e-rahmat-e-aalam kaa faiz hai 'haafiz' har ek sher se mazmun nayaa nikaltaa hai"
"aaj yuun dard tiraa dil ke ufuq par chamkaa jaise do pul ke liye subh kaa akhtar chamkaa yuun ziyaa-baar rahi hijr ki shab yaad tiri gham kaa shoala tire rukhsaar se baDh kar chamkaa khaak-e-gulshan se na koi bhi sharaaraa phuTaa fasl-e-gul aai na koi bhi gul-e-tar chamkaa ab nahin ahl-e-nazar ahl-e-basirat koi laal samjhe hain use jab koi patthar chamkaa ik kiran chhoD gayaa dida-o-dil mein 'haafiz' vo hasin ashk ki jo nok-e-mizha par chamkaa"
"shoala-e-dard ba-unvaan-e-tajallaa hi sahi lutf-e-divaangi-o-zauq-e-tamaashaa hi sahi dil nahin lazzat-e-didaar se sarshaar agar vahshat-e-jaan hi sahi hasrat-e-jalva hi sahi ye bhi kyaa kam hai ki ummid-e-karam mein guzre rasm-o-aain-e-vafaa dahr mein anqaa hi sahi kuchh to hai jis se hai qindil-e-ghazal taabinda fikr-e-imroz-o-pareshaani-e-fardaa hi sahi hijr mein khulte hain asraar-e-mohabbat kyaa kyaa gham mein ye moajiza-e-husn-e-masihaa hi sahi un ke daaman pe koi daagh na aane paae main har ik rang har ik haal mein rusvaa hi sahi phir bhi hai vajh-e-qaraar-e-dil-e-muztar 'haafiz' vo adu diin kaa dushman miri jaan kaa hi sahi"
"yaaraa-e-guftugu nahin aankhon mein dam nahin ye khaamushi bhi arz-e-tamannaa se kam nahin viraan kis qadar hai guzar-gaah-e-aarzu is rahguzar mein koi bhi naqsh-e-qadam nahin qaaem rahi junun mein bhi ik vaz-e-ehtiyaat dil khuun ho gayaa hai magar aankh nam nahin dil hai jamaal-e-yaar ki lazzat se faizyaab is aaine mein koi bhi tasvir-e-gham nahin 'haafiz' ik iztiraab-e-musalsal hai zindagi is manzil-e-vafaa mein kahin pech-o-kham nahin"
"har sher ghazal kaa kah rahaa hai tujh ko bhi bichhaD ke dukh huaa hai hai shola-e-jaan mein yaad teri kyaa aag mein phuul khil rahaa hai khurshid-e-sahar tulua ho kar shabnam kaa mizaaj puchhtaa hai kyaa us ko bataaun hijr ke gham jis par miraa haal aaina hai main kis se kahun fasaana-e-gham har ek kaa dil dukhaa huaa hai kyuun aa gai darmiyaan duniyaa ye teraa miraa moaamla hai kyaa paaoge but se faiz 'haafiz' patthar bhi kahin khudaa banaa hai"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"