"kab zulf-e-dotaa un ki pareshaan nahin hai kab vahshat-e-dil kaa miri saamaan nahin hai yaadon ko lagaae hue siine se guzar jaa ye raah-e-mohabbat hai kuchh aasaan nahin hai duniyaa mein mujhe daulat-e-jaaved hai haasil kyaa dil mein mire aap kaa armaan nahin hai ai baada-kasho zarf ki kuchh baat karo aaj saaqi kaa yahaan aam ab ehsaan nahin hai kyaa puchhte ho tamkanat-e-husn kaa aalam ab jaise karam kaa koi imkaan nahin hai kuchh roz se har neshtar-e-gham hai gavaaraa kyaa ye nigah-e-mast kaa ehsaan nahin hai armaan umang hausla ummid bhi is mein kaashaana-e-dil dosto viraan nahin hai yuun milte hain mujh se vo sar-e-bazm 'jamaali' jaise miri un se koi pahchaan nahin hai"
ham gham-e-zamaana se yuun nazar milaaeinge — Badr Jamali
"ham gham-e-zamaana se yuun nazar milaaeinge mushkilein paDeingi jab aur muskuraaeinge phir bahaar aaegi phuul muskuraaeinge phir junun ke afsaane ham ko yaad aaeinge zaahiri tapaak un kaa de gayaa hamein dhokaa ye samajh rahe the ham dil se dil milaaeinge aasmaan ke sah paaro tez-gaam sayyaaro an-qarib tum se bhi ham qadam milaaeinge jaadui khirad hai vo ye junun ki manzil hai tum idhar na aaoge ham udhar na jaaeinge vo hazaar Thukraae ham se ruuTh bhi jaae zindagi ko khud baDh kar ham gale lagaaeinge aaj to 'jamaali' ko bazm se uThaate hain ek din zarur us ko aap phir bulaaeinge"
ہم غم زمانہ سے یوں نظر ملائیں گے مشکلیں پڑیں گی جب اور مسکرائیں گے پھر بہار آئے گی پھول مسکرائیں گے پھر جنوں کے افسانے ہم کو یاد آئیں گے ظاہری تپاک ان کا دے گیا ہمیں دھوکا یہ سمجھ رہے تھے ہم دل سے دل ملائیں گے آسماں کے سہ پارو تیز گام سیارو عن قریب تم سے بھی ہم قدم ملائیں گے جادوئی خرد ہے وہ یہ جنوں کی منزل ہے تم ادھر نہ آؤ گے ہم ادھر نہ جائیں گے وہ ہزار ٹھکرائے ہم سے روٹھ بھی جائے زندگی کو خود بڑھ کر ہم گلے لگائیں گے آج تو جمالیؔ کو بزم سے اٹھاتے ہیں ایک دن ضرور اس کو آپ پھر بلائیں گے
हम ग़म-ए-ज़माना से यूँ नज़र मिलाएँगे मुश्किलें पड़ेंगी जब और मुस्कुराएँगे फिर बहार आएगी फूल मुस्कुराएँगे फिर जुनूँ के अफ़्साने हम को याद आएँगे ज़ाहिरी तपाक उन का दे गया हमें धोका ये समझ रहे थे हम दिल से दिल मिलाएँगे आसमाँ के सह पारो तेज़-गाम सय्यारो अन-क़रीब तुम से भी हम क़दम मिलाएँगे जादुई ख़िरद है वो ये जुनूँ की मंज़िल है तुम इधर न आओगे हम उधर न जाएँगे वो हज़ार ठुकराए हम से रूठ भी जाए ज़िंदगी को ख़ुद बढ़ कर हम गले लगाएँगे आज तो 'जमाली' को बज़्म से उठाते हैं एक दिन ज़रूर उस को आप फिर बुलाएँगे

More by Badr Jamali
View all →"baDi hasin-o-tarab-zaa kitaab paDhtaa huun main un kaa qissa-e-auj-e-shabaab paDhtaa huun kabhi kabhi to main ik satr bhi nahin paDhtaa kabhi kitaab ke baa'd-az-kitaab paDhtaa huun khat un kaa haath mein hai dil pe be-khudi taari main khat kahaan khat-e-jaam-e-sharaab paDhtaa huun nazar se un ki milaa kar nazar sar-e-mahfil main har savaal kaa apne javaab paDhtaa huun ridaa-e-laala-o-gul bhi kitaab kaa hai varaq main is mein qissa-e-husn-o-shabaab paDhtaa huun kabhi to yuun bhi miri zindagi lagi hai mujhe ki jaise main kisi majnun kaa khvaab paDhtaa huun isi mein mujh ko milaa mere dard kaa darmaan isi liye to main ummul-kitaab paDhtaa huun jo khat bhi likhkhun to fauran javaab aataa hai main roz un kaa javaab-ul-javaab paDhtaa huun kise hai shauq 'jamaali' ghazal sunaane kaa ba-hukm-e-sadr-e-fazilat-maaab paDhtaa huun"
"shiddat-e-dard aah se puchho haalat-e-dil nigaah se puchho jaannaa ho jo raaz-e-lutf-e-hayaat gardish-e-mehr-o-maah se puchho shisha-e-dil ke TuTne kaa haal shorish-e-aah-aah se puchho raah mein kitne kaarvaan gum hain baat ye gard-e-raah se puchho zarra-e-khaak ki sar-afraazi manzil-e-mahr-o-maah se puchho dil ki khuddaariyon pe kyaa guzri taalib-e-rasm-o-raah se puchho ai 'jamaali' talaash ki lazzat kisi gum-karda-raah se puchho"
"abhi tak tishna-e-takmil meri zindagaani hai abhi tak intizaar-e-dost ki baaqi kahaani hai ye apni zindagi ramz-e-man-o-tu ki kahaani hai na kuchh qurb-e-makaani hai na kuchh bo'd-e-zamaani hai murattab kar rahaa huun daastaan husn-e-gurezaan ki tabi'at mein ba-ru-e-kaar dariyaa ki ravaani hai tumhaaraa husn bhi kaamil hamaaraa 'ishq bhi qaabil na is kaa koi ham-sar hai na is kaa koi saani hai 'jamaali' yaas-o-hasrat ke sivaa kuchh bhi nahin paayaa ye apni zindagi bargashta qismat ki kahaani hai"
"thaa anjuman mein ghair ki dilbar banaa huaa baiThaa hai mere saamne patthar banaa huaa ban kar bigaDnaa 'arsa-e-hasti ke khel hain bigDaa hazaar baar muqaddar banaa huaa aa jaao dil mein raunaq-e-har-zindagi liye maujud hai tumhaare liye ghar banaa huaa ik shakhs mere saath hi rahtaa hai raat-din aaina-e-hayaat kaa jauhar banaa huaa patthar phir us ke haath mein kis ne thamaa diye khunin hai raah raah kaa manzar banaa huaa ahl-e-nazar hai badr 'jamaali' na ahl-e-fan itraataa phir rahaa hai sukhanvar banaa huaa"
"dil pe kaisi ye biptaa paDi hai ravaan aansuon ki jhaDi phir nazar us nazar se laDi aage aage hai manzil kaDi zikr in aarizon kaa hasin baat un gesuon ki baDi chhaanv zulfon ki phir DhunD lo dhuup hai sakht manzil kaDi un ko zebaa hai un kaa mahal mujh ko pyaari miri jhonpaDi soch le gham kaa saudaa na kar gham 'jamaali' hai neamat baDi"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"