Quote
"kab zulf-e-dotaa un ki pareshaan nahin hai kab vahshat-e-dil kaa miri saamaan nahin hai yaadon ko lagaae hue siine se guzar jaa ye raah-e-mohabbat hai kuchh aasaan nahin hai duniyaa mein mujhe daulat-e-jaaved hai haasil kyaa dil mein mire aap kaa armaan nahin hai ai baada-kasho zarf ki kuchh baat karo aaj saaqi kaa yahaan aam ab ehsaan nahin hai kyaa puchhte ho tamkanat-e-husn kaa aalam ab jaise karam kaa koi imkaan nahin hai kuchh roz se har neshtar-e-gham hai gavaaraa kyaa ye nigah-e-mast kaa ehsaan nahin hai armaan umang hausla ummid bhi is mein kaashaana-e-dil dosto viraan nahin hai yuun milte hain mujh se vo sar-e-bazm 'jamaali' jaise miri un se koi pahchaan nahin hai"
