SHAWORDS

shiddat-e-dard aah se puchho — Badr Jamali

HomeBadr JamaliGhazal
"shiddat-e-dard aah se puchho haalat-e-dil nigaah se puchho jaannaa ho jo raaz-e-lutf-e-hayaat gardish-e-mehr-o-maah se puchho shisha-e-dil ke TuTne kaa haal shorish-e-aah-aah se puchho raah mein kitne kaarvaan gum hain baat ye gard-e-raah se puchho zarra-e-khaak ki sar-afraazi manzil-e-mahr-o-maah se puchho dil ki khuddaariyon pe kyaa guzri taalib-e-rasm-o-raah se puchho ai 'jamaali' talaash ki lazzat kisi gum-karda-raah se puchho"
Urdu

شدت درد آہ سے پوچھو حالت دل نگاہ سے پوچھو جاننا ہو جو راز لطف حیات گردش مہر و ماہ سے پوچھو شیشۂ دل کے ٹوٹنے کا حال شورش آہ آہ سے پوچھو راہ میں کتنے کارواں گم ہیں بات یہ گرد راہ سے پوچھو ذرۂ خاک کی سرافرازی منزل مہر و ماہ سے پوچھو دل کی خودداریوں پہ کیا گزری طالب رسم و راہ سے پوچھو اے جمالیؔ تلاش کی لذت کسی گم کردہ راہ سے پوچھو

Hindi

शिद्दत-ए-दर्द आह से पूछो हालत-ए-दिल निगाह से पूछो जानना हो जो राज़-ए-लुत्फ़-ए-हयात गर्दिश-ए-मेहर-ओ-माह से पूछो शीशा-ए-दिल के टूटने का हाल शोरिश-ए-आह-आह से पूछो राह में कितने कारवाँ गुम हैं बात ये गर्द-ए-राह से पूछो ज़र्रा-ए-ख़ाक की सर-अफ़राज़ी मंज़िल-ए-महर-ओ-माह से पूछो दिल की ख़ुद्दारियों पे क्या गुज़री तालिब-ए-रस्म-ओ-राह से पूछो ऐ 'जमाली' तलाश की लज़्ज़त किसी गुम-कर्दा-राह से पूछो

shiddat-e-dard aah se pūchho
Badr Jamali
Badr Jamali
Badr Jamali
poet20 quotes

More by Badr Jamali

View all →
Quote
"ham gham-e-zamaana se yuun nazar milaaeinge mushkilein paDeingi jab aur muskuraaeinge phir bahaar aaegi phuul muskuraaeinge phir junun ke afsaane ham ko yaad aaeinge zaahiri tapaak un kaa de gayaa hamein dhokaa ye samajh rahe the ham dil se dil milaaeinge aasmaan ke sah paaro tez-gaam sayyaaro an-qarib tum se bhi ham qadam milaaeinge jaadui khirad hai vo ye junun ki manzil hai tum idhar na aaoge ham udhar na jaaeinge vo hazaar Thukraae ham se ruuTh bhi jaae zindagi ko khud baDh kar ham gale lagaaeinge aaj to 'jamaali' ko bazm se uThaate hain ek din zarur us ko aap phir bulaaeinge"
Badr JamaliBadr Jamali
Quote
"kab zulf-e-dotaa un ki pareshaan nahin hai kab vahshat-e-dil kaa miri saamaan nahin hai yaadon ko lagaae hue siine se guzar jaa ye raah-e-mohabbat hai kuchh aasaan nahin hai duniyaa mein mujhe daulat-e-jaaved hai haasil kyaa dil mein mire aap kaa armaan nahin hai ai baada-kasho zarf ki kuchh baat karo aaj saaqi kaa yahaan aam ab ehsaan nahin hai kyaa puchhte ho tamkanat-e-husn kaa aalam ab jaise karam kaa koi imkaan nahin hai kuchh roz se har neshtar-e-gham hai gavaaraa kyaa ye nigah-e-mast kaa ehsaan nahin hai armaan umang hausla ummid bhi is mein kaashaana-e-dil dosto viraan nahin hai yuun milte hain mujh se vo sar-e-bazm 'jamaali' jaise miri un se koi pahchaan nahin hai"
Badr JamaliBadr Jamali
Quote
"baDi hasin-o-tarab-zaa kitaab paDhtaa huun main un kaa qissa-e-auj-e-shabaab paDhtaa huun kabhi kabhi to main ik satr bhi nahin paDhtaa kabhi kitaab ke baa'd-az-kitaab paDhtaa huun khat un kaa haath mein hai dil pe be-khudi taari main khat kahaan khat-e-jaam-e-sharaab paDhtaa huun nazar se un ki milaa kar nazar sar-e-mahfil main har savaal kaa apne javaab paDhtaa huun ridaa-e-laala-o-gul bhi kitaab kaa hai varaq main is mein qissa-e-husn-o-shabaab paDhtaa huun kabhi to yuun bhi miri zindagi lagi hai mujhe ki jaise main kisi majnun kaa khvaab paDhtaa huun isi mein mujh ko milaa mere dard kaa darmaan isi liye to main ummul-kitaab paDhtaa huun jo khat bhi likhkhun to fauran javaab aataa hai main roz un kaa javaab-ul-javaab paDhtaa huun kise hai shauq 'jamaali' ghazal sunaane kaa ba-hukm-e-sadr-e-fazilat-maaab paDhtaa huun"
Badr JamaliBadr Jamali
Quote
"abhi tak tishna-e-takmil meri zindagaani hai abhi tak intizaar-e-dost ki baaqi kahaani hai ye apni zindagi ramz-e-man-o-tu ki kahaani hai na kuchh qurb-e-makaani hai na kuchh bo'd-e-zamaani hai murattab kar rahaa huun daastaan husn-e-gurezaan ki tabi'at mein ba-ru-e-kaar dariyaa ki ravaani hai tumhaaraa husn bhi kaamil hamaaraa 'ishq bhi qaabil na is kaa koi ham-sar hai na is kaa koi saani hai 'jamaali' yaas-o-hasrat ke sivaa kuchh bhi nahin paayaa ye apni zindagi bargashta qismat ki kahaani hai"
Badr JamaliBadr Jamali
Quote
"thaa anjuman mein ghair ki dilbar banaa huaa baiThaa hai mere saamne patthar banaa huaa ban kar bigaDnaa 'arsa-e-hasti ke khel hain bigDaa hazaar baar muqaddar banaa huaa aa jaao dil mein raunaq-e-har-zindagi liye maujud hai tumhaare liye ghar banaa huaa ik shakhs mere saath hi rahtaa hai raat-din aaina-e-hayaat kaa jauhar banaa huaa patthar phir us ke haath mein kis ne thamaa diye khunin hai raah raah kaa manzar banaa huaa ahl-e-nazar hai badr 'jamaali' na ahl-e-fan itraataa phir rahaa hai sukhanvar banaa huaa"
Badr JamaliBadr Jamali

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil