SHAWORDS

ham 'ishq bhi gaah kar ke dekhaa — Aftab Hussain

HomeAftab HussainGhazal
"ham 'ishq bhi gaah kar ke dekhaa allaah panaah kar ke dekhaa us shokh ko dekhne gae the hasrat se ik aah kar ke dekhaa aankhon kaa nahin hai Thiik koi so dil ko gavaah kar ke dekhaa vo chashm na ho saki hamaari har-chand nibaah kar ke dekhaa taa'mir hui na dil ki duniyaa khud ko bhi tabaah kar ke dekhaa vo kaam ki thaa nipaT kharaabi vo kaam bhi gaah kar ke dekhaa duniyaa se 'alaahdagi kaa rasta duniyaa se nibaah kar ke dekhaa"
Urdu

ہم عشق بھی گاہ کر کے دیکھا اللہ پناہ کر کے دیکھا اس شوخ کو دیکھنے گئے تھے حسرت سے اک آہ کر کے دیکھا آنکھوں کا نہیں ہے ٹھیک کوئی سو دل کو گواہ کر کے دیکھا وہ چشم نہ ہو سکی ہماری ہرچند نباہ کر کے دیکھا تعمیر ہوئی نہ دل کی دنیا خود کو بھی تباہ کر کے دیکھا وہ کام کہ تھا نپٹ خرابی وہ کام بھی گاہ کر کے دیکھا دنیا سے علاحدگی کا رستہ دنیا سے نباہ کر کے دیکھا

Hindi

हम 'इश्क़ भी गाह कर के देखा अल्लाह पनाह कर के देखा उस शोख़ को देखने गए थे हसरत से इक आह कर के देखा आँखों का नहीं है ठीक कोई सो दिल को गवाह कर के देखा वो चश्म न हो सकी हमारी हर-चंद निबाह कर के देखा ता'मीर हुई न दिल की दुनिया ख़ुद को भी तबाह कर के देखा वो काम कि था निपट ख़राबी वो काम भी गाह कर के देखा दुनिया से 'अलाहदगी का रस्ता दुनिया से निबाह कर के देखा

ham 'ishq bhī gaah kar ke dekhā
Aftab Hussain
Aftab Hussain
Aftab Hussain
poet155 quotes

More by Aftab Hussain

View all →
Quote
"duur hi se nazar aa jaaegaa juutaa meraa mujh se bhi aage nikaltaa huaa juutaa meraa harza-gardi ki khalish thi to mire paanv mein thi kyon mire saath ghisaTtaa rahaa juutaa meraa dil pe jo gard-e-masaafat hai koi kyaa jaane nazar aataa hai chamaktaa huaa juutaa meraa main ki huun apne kisi dhyaan ke banbaas mein gum hai mire takht pe rakkhaa huaa juutaa meraa manzil-e-dahr thi daldal thi ki thaa meraa dil paanv rakkhaa thaa ki dhanstaa gayaa juutaa meraa niind ke dasht mein kuchh moD the bedaari ke bhi pair sote rahe jaagaa kiyaa juutaa meraa munh lapeTe hue pagDi mein paDaa rah gayaa main aur juute pe chaDhaa rah gayaa juutaa meraa"
Aftab HussainAftab Hussain
Quote
"isi tarah ke shab-o-roz hain vahi duniyaa puraani khaak pe taamir hai nai duniyaa main apne aap mein gum thaa mujhe khabar na hui guzar rahi thi mujhe raundti hui duniyaa har aadmi ko ye duniyaa badal ke rakh degi badal sakaa na agar ab bhi aadmi duniyaa nai havaa ko madad ke liye pukaarti hai khud apni aag mein jalti hui nai duniyaa main jis havaale se duniyaa pe ghaur kartaa huun usi tarah se kabhi kaash sochti duniyaa main apne asl ki jaanib ravaan davaan huun aur bulaa rahi hai musalsal mujhe miri duniyaa ajiib khvaab thaa jis ne mujhe kharaab kiyaa miri giraft mein aa kar nikal gai duniyaa"
Aftab HussainAftab Hussain
Quote
"manzil haath nahin aa paati khvaab adhuraa rah jaataa hai raah-e-talab par chalte chalte aadmi aadhaa rah jaataa hai kabhi kabhi to dil ki dhaDkan band bhi ho jaati hai saahab kabhi kabhi to siine mein bas dard dhaDaktaa rah jaataa hai tujh ko bhuul chuke hain ham bhi lekin aisi baat nahin kuchh suraj Duub bhi jaae agar to ek dhundalkaa rah jaataa hai chalne vaale chalte chalte apni manzil paa lete hain raah dikhaane vaalaa buDhaa raah dikhaataa rah jaataa hai vaqt kaa pahiya chale to phir kab chal saktaa hai zor kisi kaa aadmi apne aap ko kyaa kyaa chiiz samajhtaa rah jaataa hai"
Aftab HussainAftab Hussain

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil