Quote
"kaDi thi dhuup sar chakraa rahaa thaa main bhukaa thaa bahut ghabraa rahaa thaa tumhaaraa shahr kyaa thaa kyaa bataaun tamaasha har koi dikhlaa rahaa thaa the us ke haath mein kashkol lekin vo mehr-o-maah ko sharmaa rahaa thaa anaa kaa saanp main ne maar Daalaa bahut nuqsaan ye pahunchaa rahaa thaa amir-e-shahr se ye kaun puchhe sitam kyon muflison par Dhaa rahaa thaa lage Thokar to khud hi tum sambhal jaao safar kaa tajraba batlaa rahaa thaa akeli thi koi laDki saDak par badan jis kaa mujhe lalchaa rahaa thaa ye kaisaa khvaab main ne 'faiz' dekhaa samundar meri jaanib aa rahaa thaa"
