"ai bad-gumaan tiraa hai gumaan aur ki taraf meraa tire sivaa nahin dhyaan aur ki taraf naavak mujhe raqib ko barchhi lagaaiye tiir us taraf chale to sinaan aur ki taraf mujh ko sunaa ke ghair ke uupar palaT piro palTo jo guftugu mein zabaan aur ki taraf hur-o-pari pe kyaa hai hamaaraa sivaae yaar dil aur ki taraf hai na jaan aur ki taraf ghar dil mein tu hamaare khudaa ke liye na le ai khaanumaan-kharaab makaan aur ki taraf ham faaqa-mast rizq-e-muqaddar pe shaad hain bheje khudaa taaam ke khvaan aur ki taraf urdu mein 'mushafi' ko bhi ustaad kah ke 'shaad' aavaaza kas gayaa ye javaan aur ki taraf"
ham ne baandhe hain us pe kyaa kyaa joD — Shad Lakhnavi
"ham ne baandhe hain us pe kyaa kyaa joD par chalaa ek bhi na fiqraa joD joDtaa hai jo tu mohabbat kaa ham se zunnaar-daar rishtaa joD sar-e-dushman na toDiye kab tak mujh pe chaltaa hai vo hamesha joD ai rafu-gar jo Taank jaama-e-tan taar taar aur purza purza joD zulfiqaar-e-ali ki tujh ko qasam sar judaa jis se ho vo fiqraa joD nisbat-e-zulf jaise sumbul ko vaise naafe kaa mushk naafaa joD ham usi ko kaheinge aaina-saaz de hamaaraa jo dil shikasta joD mazhara be kaa 'shaad' urdu mein jaantaa huun alif hi hai kaa joD"
ہم نے باندھے ہیں اس پہ کیا کیا جوڑ پر چلا ایک بھی نہ فقرا جوڑ جوڑتا ہے جو تو محبت کا ہم سے زنار دار رشتا جوڑ سر دشمن نہ توڑیئے کب تک مجھ پہ چلتا ہے وہ ہمیشہ جوڑ اے رفو گر جو ٹانک جامۂ تن تار تار اور پرزہ پرزہ جوڑ ذوالفقار علی کی تجھ کو قسم سر جدا جس سے ہو وہ فقرا جوڑ نسبت زلف جیسے سنبل کو ویسے نافہ کا مشک نافہ جوڑ ہم اسی کو کہیں گے آئینہ ساز دے ہمارا جو دل شکستہ جوڑ مظہرہ بے کا شادؔ اردو میں جانتا ہوں الف ہی ہے کا جوڑ
हम ने बाँधे हैं उस पे क्या क्या जोड़ पर चला एक भी न फ़िक़रा जोड़ जोड़ता है जो तू मोहब्बत का हम से ज़ुन्नार-दार रिश्ता जोड़ सर-ए-दुश्मन न तोड़िए कब तक मुझ पे चलता है वो हमेशा जोड़ ऐ रफ़ू-गर जो टाँक जामा-ए-तन तार तार और पुर्ज़ा पुर्ज़ा जोड़ जुल्फ़िक़ार-ए-अली की तुझ को क़सम सर जुदा जिस से हो वो फ़िक़रा जोड़ निस्बत-ए-ज़ुल्फ़ जैसे सुम्बुल को वैसे नाफ़े का मुश्क नाफ़ा जोड़ हम उसी को कहेंगे आईना-साज़ दे हमारा जो दिल शिकस्ता जोड़ मज़हरा बे का 'शाद' उर्दू में जानता हूँ अलिफ़ ही है का जोड़

More by Shad Lakhnavi
View all →"naa-tavaan vo huun nigaahon mein samaa hi na sakun bharun aankhon mein nazar saa nazar aa hi na sakun dil jalaanaa hai to ai mehr jalaa misl-e-kabaab daagh kuchh mohr nahin hai jo uThaa hi na sakun tah-e-shamshir-e-do-dam khush huun ye shishe ki tarah ek dam sang-dilon se main banaa hi na sakun ham-nashin yaar ho kyaa ye hai nasibon mein firaaq joD aazaa ke bhi ukhDein to biThaa hi na sakun khud faraamosh huun aisaa ki dil-e-be-khud se yaad us but ki bhulaaun to bhulaa hi na sakun khaama saa hai azali sina-figaari meri zakhm-e-dil laakh silaaun pa silaa hi na sakun dastaras kaakul-e-khamdaar ye honaa hi muhaal ye vo naagan hai jo haathon pe khilaa hi na sakun naaznin ye hai ki ai 'shaad' nazar-baazon ko kamar us ki jo dikhaaun to dikhaa hi na sakun"
"dil ki kahun yaa kahun jigar ki kuchh baat karun idhar-udhar ki lau dil ki bujhaaein yaa jigar ki lein ashk khabar kidhar kidhar ki uThne na diyaa hamein mare par li zoaf ne aaqibat pisar ki ghaDiyaal nasib huun shab-e-vasl sar choT hai har ghaDi gajar ki Dhalne ko hai mehr-e-naujavaani chhuTne pe hai top dopahar ki kyaa kam-sukhanon ko shama kahiye shamon ki zabaan hai haath bhar ki marqad mein chale rah-e-adam li sujhi jo musaafirat mein ghar ki kaakul hui tar araq se rukh ke pi saanp ne us phuul par ki ji qabr mein khaak bhale ai 'shaad' basti hai ujaaD is nagar ki"
"kahte hain naala-e-hazin sun ke soz ye dil-gudaaz hain dhun ke sar agar kaaTnaa hai chun chun ke aastin chaDhaao chun chun ke sham'-o-parvaana shab ko the dil-soz rah gae subh tak vo jal-bhun ke ghun lagaa maut kaa jo aa'zaa mein ustukhvaan khaak ho gae ghun ke main vo naalaan huun jis ke ham-saaya koste hain fughaan miri sun ke kaT sakaa koh-e-gham na aakhir-kaar kohkan sar ko rah gayaa dhun ke naam-aavar jo 'mir' the ai 'shaad' ab hamin ik nishaan hain un ke"
"zaraa dekhnaa khaaksaari hamaari mili khaak mein khaak saari hamaari use hashr mein ai khizar dekh leinge agar zindagi hai tumhaari hamaari ye kahte hain mizhgaan-e-tar ko dikhaa kar bujhi zahr mein hai kaTaari hamaari vabaal-e-jahaan hain ye aalam ke uupar mare par bhi hai laash bhaari hamaari hamein tum ho ruh-e-ravaan se ziyaada tumhein kuchh nahin jaan pyaari hamaari baham rah sakein kis tarah aag paani nibhe dosti kyaa tumhaari hamaari mare par bhi ai 'shaad' taqdir bigDi kisi ne na uqbaa sanvaari hamaari"
"bolnaa baada-kashon se na zaraa ai vaaiz kaan pakDungaa jo qulqul ko sunaa ai vaaiz dukhtar-e-raz ko jo kahtaa hai buraa ai vaaiz us afifa ne tiraa kyaa hai kiyaa ai vaaiz jaam-e-kausar ki jo khvaahish hai dam-e-baada-kashi bazm-e-rindaan-e-qadah-nosh mein aa ai vaaiz joshish-e-shisha-o-saaghar-shikni kaa hai bayaan munh toDe koi badmast tiraa ai vaaiz jaam-e-mai daur mein laa charkh-e-kuhan ki surat dekhtaa hai jo tujhe rang nayaa ai vaaiz TuuT jaae na kahin tere kaDe haathon se dil miraa shisha-e-naazuk hai sunaa ai vaaiz loT ho tu jo na maston ki tarah kyaa maani munh lagaa bint-e-inab ko to zaraa ai vaaiz paarsaai to zaraa zaahid-e-makkaar ki dekh rahn-e-mai khirqa-saalus huaa ai vaaiz chaDh ke mimbar pe na makkaar darogh itnaa bol munh mein bu aati hai jhuTe ke sunaa ai vaaiz har-nafas 'shaad' yahi qaul hai matvaalon kaa ham ne saunpaa tujhe shaitaan ko jaa ai vaaiz"
More on Dil
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"