SHAWORDS

ham ne jis naam ko lughat samjhaa — Kanupriya

HomeKanupriyaGhazal
"ham ne jis naam ko lughat samjhaa aap ne lafz-e-dastakhat samjhaa mujh ko mat meri hi sifat samjhaa main tiraa man huun itnaa mat samjhaa meri aadat the tum ne lat samjhaa haae samjhaa magar ghalat samjhaa laal khuun bhi hai khun-e-jaam bhi jaan apni aankhon ki asliyat samjhaa ishq karnaa munaafiqat hai dost gar nahin to salaahiyat samjhaa lafz-e-'tu' se hi thi mayassar jo ziist ko ham ne kaifiyat samjhaa"
Urdu

ہم نے جس نام کو لغت سمجھا آپ نے لفظ دستخط سمجھا مجھ کو مت میری ہی صفت سمجھا میں ترا من ہوں اتنا مت سمجھا میری عادت تھے تم نے لت سمجھا ہائے سمجھا مگر غلط سمجھا لال خوں بھی ہے خون جام بھی جان اپنی آنکھوں کی اصلیت سمجھا عشق کرنا منافقت ہے دوست گر نہیں تو صلاحیت سمجھا لفظ تو سے ہی تھی میسر جو زیست کو ہم نے کیفیت سمجھا

Hindi

हम ने जिस नाम को लुग़त समझा आप ने लफ़्ज़-ए-दस्तख़त समझा मुझ को मत मेरी ही सिफ़त समझा मैं तिरा मन हूँ इतना मत समझा मेरी आदत थे तुम ने लत समझा हाए समझा मगर ग़लत समझा लाल ख़ूँ भी है ख़ून-ए-जाम भी जान अपनी आँखों की असलियत समझा इश्क़ करना मुनाफ़िक़त है दोस्त गर नहीं तो सलाहियत समझा लफ़्ज़-ए-'तू' से ही थी मयस्सर जो ज़ीस्त को हम ने कैफ़ियत समझा

ham ne jis naam ko luġhat samjhā
Kanupriya
Kanupriya
Kanupriya
poet10 quotes

More by Kanupriya

View all →
Quote
"kisi ki chaahat kisi se baDh kar hamaare jaise samajh rahe hain huaa samundar mein jazb dariyaa kyon ishq vaale samajh rahe hain gham-e-mohabbat taDap udaasi ko aap sachche samajh na paae hamaari haalat hamaare jaise kuchh ek jhuTe samajh rahe hain ye masala bhi hamaari jaanib jahaan se digar hi pesh aayaa vo ishq ham se kareinge rishta nahin kareinge samajh rahe hain vo bad-havaasi mein chikhte hain nahin mohabbat nahin hai tum se yaqin hamein is tarah se aa hi gayaa ho jaise samajh rahe hain jahaan ki mahfil mein apni qimat hai jaise sahraa mein koi dariyaa to jin ko qimat nahin hai ham ko vo ret saare samajh rahe hain uThaa rahe hain tumhaare misre sunaa rahe hain ghazal tumhaari tumhein samajhnaa thaa qismat-e-bad hai kaise kaise samajh rahe hain"
KanupriyaKanupriya
Quote
"safed kaale hare gulaabi yaa niile piile uchhaal denaa umiid be-rang si dikhe to ye rang saare uchhaal denaa tum apne lahje ki saadgi ko binaa bigaaDe uchhaal denaa amaan khaton kaa khayaal chhoDo havaa mein bose uchhaal denaa udaasiyon ke nagar ke aage koi to dariyaa zarur hogaa jahaan duaaon ki suraton mein tum apne sikke uchhaal denaa kisi ke dil mein tum is tarah se utarnaa jaise nadi mein chandaa phir us ki aankhon ki samt saare falak ke taare uchhaal denaa vo apne gham se hataash ho kar kahin na apni hi jaan le le so ham khudaa se kaheinge us ke ghamon ko ham pe uchhaal denaa miri hayaat-o-sukhan ki vusat tavil hai laa-sukhan hai phir bhi koi jo puchhe miri kahaani to mere misre uchhaal denaa"
KanupriyaKanupriya
Quote
"jal kar bujhte laave bah kar aakhir patthar ho jaate hain nadiyon ko Thukraane vaale saahil banjar ho jaate hain nathuni jhumke chuDi kardhan bichhue jhaanjhar ho jaate hain ik laDki ke saare sukh-dukh us ke zevar ho jaate hain rasm rivaayat din-dharm imaan bharose vaale hi kyon ishq mein jiine marne vaale bhi paighambar ho jaate hain apnaa aap bayaan karne ke sau maaqul tariqon mein se khaamoshi ko chunne vaale umda shaair ho jaate hain but ke aage dhyaan lagaae baiThe rahte hain divaane ishq nibhaate rahne vaale dil pujaa-ghar ho jaate hain aap hamaare saath nahin rah sakte ho gar aisaa hai to aap hamaare bhitar rah lein aur ham baahar ho jaate hain"
KanupriyaKanupriya
Quote
"buton ke Thukraae but-paraston ko anjuman se qaraar aayaa tumhaare dair-o-haram se uTh kar hamein sukhan se qaraar aayaa jabin na aankhon se lab na aariz ki ik chhuvan se qaraar aayaa na aarzu-e-butaan rahe ham na is chalan se qaraar aayaa koi jalan dil mein aisi thi jo bujhi to soz-e-nazar se aakhir ye aisi ThanDak ki tishnagi thi jise tapan se qaraar aayaa tumhaaraa chehra bhi zindagi bhar ki uljhanon se thakaa huaa thaa hamaare shaane ki justuju ko bhi is thakan se qaraar aayaa alaahida zikr us kaa main ne kiyaa hai jab bhi kisi ghazal mein mizaaj-e-ruh-e-sukhan ko goyaa miri kahan se qaraar aayaa ham ishq vaalon ko meharbaano na chaaraagar kaa pata bataao kahaan sunaa hai kisi bhi marhum ko kafan se qaraar aayaa haTaa li aankhon se sabz surat basaae hain khvaab-e-sahraa in mein khizaan ke aashiq ki aagahi ko ujaaD ban se qaraar aayaa"
KanupriyaKanupriya

More on Ishq

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"hijaab vaalon se vo be-hijaab ho na sakaa vo saamne thaa magar be-naqaab ho na sakaa vajud-e-khaak kaa insaan khitaab ho na sakaa ye zarra ghair-e-karam aaftaab ho na sakaa karam vo tuur pe ik be-niyaaz-e-jalva par vo be-niyaazi thi jis kaa javaab ho na sakaa uThaa ke parda chhupaa kasrat-e-tajalli mein vo be-naqaab huaa be-naqaab ho na sakaa tamaam umr rahe dekhte hayaat ke khvaab hamaari aankhon mein ye khvaab khvaab ho na sakaa rahi fareb-e-tasavvur ye raftani duniyaa saraab jaise kabhi ju-e-aab ho na sakaa zamir zaahir-o-baatin se ho gayaa aagaah kharaab baada-e-irfaan kharaab ho na sakaa mire karim ne bakhshaa isi bahaane se mire gunaahon kaa jab kuchh hisaab ho na sakaa abhi kami hai tire zauq-e-ishq mein 'aiman' lahu huaa tiraa aansu sharaab ho na sakaa"
A
Aiman Amritsari