SHAWORDS

ham ne qissa bahut kahaa dil kaa — Asifud Daula

HomeAsifud DaulaGhazal
"ham ne qissa bahut kahaa dil kaa na sunaa tum ne maajraa dil kaa apne matlab ki sab hi kahte hain hai nahin koi aashnaa dil kaa ishq mein aisi khinchi rusvaai ho gayaa shor jaa bajaa dil kaa is qadar be-havaas rahtaa hai jaise kuchh koi le gayaa dil kaa ek bose pe bechte the ham tu ne saudaa na kuchh kiyaa dil kaa tere milne se faaeda kyaa hai na ho haasil jo muddaaa dil kaa kyuun diyaa 'aasif' us sitamgar ko aap tu muddai huaa dil kaa"
Urdu

ہم نے قصہ بہت کہا دل کا نہ سنا تم نے ماجرا دل کا اپنے مطلب کی سب ہی کہتے ہیں ہے نہیں کوئی آشنا دل کا عشق میں ایسی کھینچی رسوائی ہو گیا شور جا بجا دل کا اس قدر بے حواس رہتا ہے جیسے کچھ کوئی لے گیا دل کا ایک بوسے پہ بیچتے تھے ہم تو نے سودا نہ کچھ کیا دل کا تیرے ملنے سے فائدہ کیا ہے نہ ہو حاصل جو مدعا دل کا کیوں دیا آصفؔ اس ستم گر کو آپ تو مدعی ہوا دل کا

Hindi

हम ने क़िस्सा बहुत कहा दिल का न सुना तुम ने माजरा दिल का अपने मतलब की सब ही कहते हैं है नहीं कोई आश्ना दिल का इश्क़ में ऐसी खींची रुस्वाई हो गया शोर जा बजा दिल का इस क़दर बे-हवास रहता है जैसे कुछ कोई ले गया दिल का एक बोसे पे बेचते थे हम तू ने सौदा न कुछ किया दिल का तेरे मिलने से फ़ाएदा क्या है न हो हासिल जो मुद्दआ' दिल का क्यूँ दिया 'आसिफ़' उस सितमगर को आप तू मुद्दई हुआ दिल का

ham ne qissa bahut kahā dil kā
Asifud Daula
Asifud Daula
Asifud Daula
poet34 quotes

More by Asifud Daula

View all →
Quote
"ghair par lutf kare ham pe sitam yaa qismat thaa nasibon mein hamaare ye sanam yaa qismat yaar tu yaar nahin bakht hain so ulTe hain kab talak ham ye sahein dard-o-alam yaa qismat kucha-gardi se use shauq hai lekin gaahe is taraf ko nahin rakhtaa vo qadam yaa qismat kucha-e-yaar mein thoDi si jagah de ai bakht maangtaa tujh se nahin mulk-e-ajam yaa qismat jaan-o-dil mein se nahin ek bhi ab nek-nasib donon kam-bakht hue aa ke baham yaa qismat 'aasif' ab aur lage karne taraqqi din raat shaamat-e-bakht hui meri to kam yaa qismat"
Asifud DaulaAsifud Daula
Quote
"kis qadar dard ke shab kartaa thaa mazkur tiraa vo hi bimaar tiraa khasta-o-ranjur tiraa be-khabar ab bhi shitaabi se pahunch Dartaa huun kushta-e-hijr na ho ye kahin mahjur tiraa ye na aane ke bahaane hain sabhi varna miyaan itnaa to ghar se mire kuchh nahin ghar duur tiraa nichi nazron se tiri Dartaa huun kyaa kuchh na karein dekh lenaa to yahaan sab ko hai manzur tiraa aankhein in rozon mein sach kahiyo laDaaein kis se be-tarah jhamke hai kuchh dida-e-makhmur tiraa jis ki tu yaari kare yaari-e-do-jag vo kare naasir-e-har-do-jahaan hove hai mansur tiraa shash-jihat tujh sati maamur hai allaah allaah jhamke hai chaaron taraf naam-e-khudaa nuur tiraa"
Asifud DaulaAsifud Daula
Quote
"sabaa kahiyo zabaani meri Tuk us sarv-qaamat ko ki jab se dil liyaa aae na phir saahib-salaamat ko mire rone ko sun kar yuun lagaa jhunjhlaa ke vo kahne miyaan ye jaan khaanaa hai uThaa do is malaamat ko jo milnaa hai to aa jaao gale se lag ke so rahiye nahin to kaam kyaa aaoge ai saahab qayaamat ko uThaae sau tarah ke zulm aur jaur-o-jafaa tere kahaa shaabaash bhi tu ne na meri istaqaamat ko huaa main khaak ai 'aasif' na pahunchaa is ke daamaan tak liye jaaungaa saath apne adam tak is nadaamat ko"
Asifud DaulaAsifud Daula
Quote
"taalib ho vahaan aan ke kyaa koi sanam kaa ho jis ko bharosa na jahaan ek bhi dam kaa kyaa main tujhe ahvaal dil-o-jaan kaa bataaun ab main to iraada kiye baiThaa huun adam kaa ki laakhon hain tadbir miyaan ham ne vo lekin chhuTaa na ye dil baandhaa huaa zulf ke kham kaa yaa vasl ho yaa maut koi tarah to hove kab tak rahun paamaal main is dard-o-alam kaa jalne na diyaa aatish-e-gham se jigar-o-dil kyaa kyaa kahun ehsaan main is dida-e-nam kaa aayaa jo nasha mai kaa to shab aankh mein us ki sau rang se bad-masti kaa rang aan ke chamkaa vasl us kaa mayassar nahin sach kahtaa hai 'aasif' kyuun apne taiin rakhtaa hai masruf tu gham kaa"
Asifud DaulaAsifud Daula

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud