SHAWORDS

hamdamo lutf-e-shabaana ho chukaa — Khushi Mohammad Naazir

"hamdamo lutf-e-shabaana ho chukaa aish-o-ishrat kaa zamaana ho chukaa ab gham-o-shaadi se aazaadi mili ranj-o-raahat kaa zamaana ho chukaa najd mein aavaara kyon phirtaa hai qais mahmil-e-lailaa ravaana ho chukaa manzil-e-dil mein thiin kyaa kyaa hasratein qaafila ye bhi ravaana ho chukaa zindagi gham ki kahaani rah gai aish kaa rangin fasaana ho chukaa ho gai viraan vo bazm-e-mai-kada daur-e-saaghar kaa zamaana ho chukaa ab nahin bazm-e-chaman rangin-navaa andalibon kaa taraana ho chukaa mutrib-e-ayyaam ne badlaa hai ThaaTh shauq kaa chang-o-chaghaana ho chukaa mauj-e-muztar ko huaa aakhir qaraar shor-e-tufaan kaa zamaana ho chukaa 'naazir' ab zauq-e-nazar be-kaar hai manzar-e-hasti puraanaa ho chukaa"
Urdu

ہمدمو لطف شبانہ ہو چکا عیش و عشرت کا زمانہ ہو چکا اب غم و شادی سے آزادی ملی رنج و راحت کا زمانہ ہو چکا نجد میں آوارہ کیوں پھرتا ہے قیس محمل لیلیٰ روانہ ہو چکا منزل دل میں تھیں کیا کیا حسرتیں قافلہ یہ بھی روانہ ہو چکا زندگی غم کی کہانی رہ گئی عیش کا رنگیں فسانہ ہو چکا ہو گئی ویراں وہ بزم مے کدہ دور ساغر کا زمانہ ہو چکا اب نہیں بزم چمن رنگیں نوا عندلیبوں کا ترانہ ہو چکا مطرب ایام نے بدلا ہے ٹھاٹھ شوق کا چنگ و چغانہ ہو چکا موج مضطر کو ہوا آخر قرار شور طوفاں کا زمانہ ہو چکا ناظرؔ اب ذوق نظر بیکار ہے منظر ہستی پرانا ہو چکا

Hindi

हमदमो लुत्फ़-ए-शबाना हो चुका ऐश-ओ-इशरत का ज़माना हो चुका अब ग़म-ओ-शादी से आज़ादी मिली रंज-ओ-राहत का ज़माना हो चुका नज्द में आवारा क्यों फिरता है क़ैस महमिल-ए-लैला रवाना हो चुका मंज़िल-ए-दिल में थीं क्या क्या हसरतें क़ाफ़िला ये भी रवाना हो चुका ज़िंदगी ग़म की कहानी रह गई ऐश का रंगीं फ़साना हो चुका हो गई वीराँ वो बज़्म-ए-मय-कदा दौर-ए-साग़र का ज़माना हो चुका अब नहीं बज़्म-ए-चमन रंगीं-नवा अंदलीबों का तराना हो चुका मुतरिब-ए-अय्याम ने बदला है ठाठ शौक़ का चंग-ओ-चग़ाना हो चुका मौज-ए-मुज़्तर को हुआ आख़िर क़रार शोर-ए-तूफ़ाँ का ज़माना हो चुका 'नाज़िर' अब ज़ौक़-ए-नज़र बे-कार है मंज़र-ए-हस्ती पुराना हो चुका

hamdamo lutf-e-shabāna ho chukā
Khushi Mohammad Naazir
Khushi Mohammad Naazir
Khushi Mohammad Naazir
poet7 quotes

More by Khushi Mohammad Naazir

View all →
Quote
"yahi gar husn kaa aalam rahegaa to zakhm-e-ishq be-marham rahegaa na de ai naaseh-e-mushfiq tasalli ki jab tak ham raheinge gham rahegaa hai jis ke dam se ye hangaama-e-ishq vahi har dam rahaa har dam rahegaa bashar yaan sej par phulon ki kab tak misaal-e-qatra-e-shabnam rahegaa gham-e-dil dene vaale sach bataanaa tujhe bhi kuchh hamaaraa gham rahegaa nihaal-e-ishq ko shaadaab kar luun phir in aankhon mein kab tak nam rahegaa tumhaari yaad har dam taaza hogi hamaare dam mein jab tak dam rahegaa dayaar-e-yaar kaa milnaa hai mushkil jo ye raahon kaa pech-o-kham rahegaa nishaan baaqi na hogaa bazm-e-jam kaa magar gardish mein jaam-e-jam rahegaa yahi parvaaz hai us ki to kab tak bani-aadam bani-aadam rahegaa ye hindi se farangi kah rahaa thaa ki jab tak tum rahoge ham rahegaa dam-e-rukhsat vo kahte the ki 'naazir' tire jaane kaa ham ko gham rahegaa"
Khushi Mohammad NaazirKhushi Mohammad Naazir
Quote
"mast-o-be-khud tere mai-khaane kaa baam-o-dar bane saaqiyaa gar teri chashm-e-mast kaa saaghar bane hirs ke sahraa mein jo jhonkaa chale sar sar bane ishq ke dariyaa mein jo qatra gire gauhar bane but bane kaaba banaa masjid bani mandar bane ishq ki duniyaa mein kyaa kyaa dilrubaa manzar bane dars-e-ibrat daur-e-dauraan mein hai bazm-e-mai-kada mai-kashon ki khaak se kyaa kyaa khum-o-saaghar bane kyaa ajab is khaak-daan ke hon kabhi chashm-o-charaag jaa ke auj-e-aasmaan par jo mah-o-akhtar bane be-e-gudaaz-e-ishq rang-e-husn bhi khultaa nahin ishq ke saanche mein Dhal kar nuur kaa paikar bane dil ke viraane mein kyaa kyaa hasratein aabaad hain raah mein sail-e-fanaa ki kaise kaise ghar bane ai shah-e-kaunain dar par ghair ke jhuktaa nahin tere sang-e-aastaan ke vaaste jo sar bane phir bahaar aai chaman mein phir uThaa josh-e-junun phir sar-e-shorida ki khaatir nae patthar bane fasl-e-gul hai baaghbaan ab rukhsat-e-parvaaz hai ab to tinke aashiyaan ke mere baal-o-par bane banda-e-'naazir' bhi haazir tere mai-khvaaron mein ho ai shah-e-laulaak jab tu saaqi-e-kausar bane"
Khushi Mohammad NaazirKhushi Mohammad Naazir
Quote
"koi shama aur koi parvaana hogaa jahaan mein ishq kaa afsaana hogaa junun-e-ishq se hai lutf-e-hasti vo divaana hai jo faraazaanaa hogaa tire maston kaa ai kausar ke saaqi vahi paimaan vahi paimaana hogaa kharaabaat-e-jahaan vaqf-e-fanaa hai magar baaqi tiraa mai-khaana hogaa ravaan hain kaarvaan jis ki taraf sab yahi vo kucha-e-jaanaana hogaa vo dil hi kyaa ki raqs-e-mauj jis kaa harif-e-jumbish-e-dariyaa na hogaa vabaal-e-dosh hai vo sar ki jis mein kisi ke ishq kaa saudaa na hogaa jise shahd-o-shakar ki aarzu hai lab-e-noshin kaa vo rasiyaa na hogaa mohabbat ke hain rangaa-rang nairang kahin afsun kahin afsaana hogaa parastaari hai tinat mein bashar ki jahaan kaaba nahin but-khaana hogaa payaami se kisi ne kah diyaa hai ki 'naazir' se koi parvaana hogaa"
Khushi Mohammad NaazirKhushi Mohammad Naazir
Quote
"jo nish-e-gham se be-parvaa na hogaa tumhaaraa chaahne vaalaa na hogaa jo teri yaad mein aansu bahegaa vo jaanaan gauhar-e-yak-daana hogaa hasin-o-mah-jabin honge jahaan mein magar kaafir adaa tujh saa na hogaa hai tu parde mein aur shor ik jahaan mein ye parda jab uThaa phir kyaa na hogaa taDap jis dil mein yazdaan ki na hogi to ahriman kaa vo kaashaana hogaa gulistaan aaj sarmast-e-navaa hai chaman mein jalva-e-jaanaana hogaa na ho shaa'ir jo sham-e-bazm-e-hasti jahaan mein ishq kaa jalvaa na hogaa na honge ham navaasanj-e-bahaaraan to gulzaar-e-jahaan viraana hogaa na chheDein ham agar taar-e-rag-e-jaan navaa-e-zindagi paidaa na hogaa rukh-e-zebaa ki tasvir-e-khyaali tire 'naazir' kaa ye nazraana hogaa"
Khushi Mohammad NaazirKhushi Mohammad Naazir

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb