SHAWORDS

har savaal kaa apne khud javaab ho jaae — Afsar Azri

HomeAfsar AzriGhazal
"har savaal kaa apne khud javaab ho jaae zarre ki tamannaa hai aaftaab ho jaae tu kabhi jo bhule se be-naqaab ho jaae muntaqil haqiqat mein apnaa khvaab ho jaae ishq ke parastaaro kuchh kami to hai varna bul-havas mohabbat mein kaamyaab ho jaae ham-nafas khudaa-haafiz ghuncha-o-anaadil kaa baaghbaan ki niyyat hi jab kharaab ho jaae mai-kade mein tauba kaa kis ko hosh rahtaa hai aur har nazar teri jab sharaab ho jaae"
Urdu

ہر سوال کا اپنے خود جواب ہو جائے ذرے کی تمنا ہے آفتاب ہو جائے تو کبھی جو بھولے سے بے نقاب ہو جائے منتقل حقیقت میں اپنا خواب ہو جائے عشق کے پرستارو کچھ کمی تو ہے ورنہ بوالہوس محبت میں کامیاب ہو جائے ہم نفس خدا حافظ غنچہ و عنادل کا باغباں کی نیت ہی جب خراب ہو جائے میکدے میں توبہ کا کس کو ہوش رہتا ہے اور ہر نظر تیری جب شراب ہو جائے

Hindi

हर सवाल का अपने ख़ुद जवाब हो जाए ज़र्रे की तमन्ना है आफ़्ताब हो जाए तू कभी जो भूले से बे-नक़ाब हो जाए मुंतक़िल हक़ीक़त में अपना ख़्वाब हो जाए इश्क़ के परस्तारो कुछ कमी तो है वर्ना बुल-हवस मोहब्बत में कामयाब हो जाए हम-नफ़स ख़ुदा-हाफ़िज़ ग़ुंचा-ओ-अनादिल का बाग़बाँ की निय्यत ही जब ख़राब हो जाए मय-कदे में तौबा का किस को होश रहता है और हर नज़र तेरी जब शराब हो जाए

har savāl kā apne ḳhud javāb ho jaa.e
A
Afsar Azri
Afsar Azri
poet10 quotes

More by Afsar Azri

View all →
Quote
"teri khushbu kaa taraashaa hai ye paikar kis ne kar diyaa hai miraa maahaul mo'attar kis ne aasmaan himmat-e-parvaaz se kuchh duur nahin is tamannaa ke magar kaaT liye par kis ne naa-samajh qatra-e-naachiz ki vaq'at ko samajh tu samundar hai banaayaa hai samundar kis ne kis ki paazeb kaa sangit hai hasti meri paanv se baandh liyaa meraa muqaddar kis ne partav-e-husn hai naahid guzar-gaah-e-khayaal sar pe rakkhi hai chhalakti hui gaagar kis ne khushnumaa daaere bante hi chale jaate hain dil ke taalaab mein pheinkaa hai ye kankar kis ne tu meraa dost sahi yaar magar ye to bataa vaqt ye dhoka diyaa hai mujhe aksar kis ne dafatan kis ne jagaa di miri soi qismat meraa munh chuum liyaa khvaab mein 'afsar' kis ne"
A
Afsar Azri
Quote
"abhi mohabbat ki ibtidaa hai dilon ke armaan nikal rahe hain abhi hai aaghaaz mastiyon kaa sharaab ke daur chal rahe hain ajiib barsaat kaa samaan hai nazar ko har vaqt ye gumaan hai ki husn angDaai le rahaa hai hasin kapDe badal rahe hain abhi javaani pe hain umangein dilon mein hain sainkaDon tarangein jo do charaagh aaj bujh rahe hain to das charaagh aur jal rahe hain qadam qadam par thaa khauf-e-tufaan jagah jagah thaa fanaa kaa saamaan magar rahe ishq teri himmat mire iraade aTal rahe hain sulag rahe hain abhi hamaare dilon ke aatish-kade musalsal jalaa chuke the abhi jo ham ko ab un ki baari hai jal rahe hain nahin zamaane se koi shikva hamein gila hai to sirf ye hai tiri nazar mein bhi ham ba-rang-e-shikaayat-e-be-mahal rahe hain hui sahar khatm par hai mahfil uTho ki 'afsar' uchaaT hai dil na husn mein ab vo dilkashi hai na zulf mein ab vo hal rahe hain"
A
Afsar Azri
Quote
"abhi javaani hai mai-kade par abhi to baadal bhi hai ghaneraa abhi to zinda hai husn saaqi abhi salaamat hai ishq meraa vo shab ki saansein ukhaD rahi hain vo laDkhaDaane lagaa andheraa uTho musibat-kasho uTho bhi uTho ki hone ko hai saveraa mujhe na mahbus kar sakegi kisi bhi paazeb ki chhanaa-chhan giraft ki manzilon se aage guzar chukaa hai shuur meraa vo sarmadi saa hasin tarannum latif honTon kaa ik tabassum mujhe ye ehsaas kyon hai paiham ki jaise kuchh kho gayaa hai meraa nazar uThaanaa idhar na 'afsar' buraa hai ye dollaron kaa chakkar udhar udhar ho gai safaai jidhar jidhar us ne haath pheraa"
A
Afsar Azri

More on Dil

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer
Quote
"bahut shaadaab ho lekin bayaabaani nahin jaati ki baam-e-auj chhune se bhi arzaani nahin jaati kai chehron ne aavaazon ne dil aabaad rakkhaa hai magar aankhon mein raqsaan hai jo viraani nahin jaati mujhe apni numu ke vaaste tum se bichhaDnaa hai tumhaare saath rahne se tan-aasaani nahin jaati main is dil ki sabhi sachchaaiyaan taslim kartaa huun magar ik baat aisi bhi hai jo maani nahin jaati hujum-e-shor-o-ghul mein kaun thaa kis ne pukaaraa thaa yahaan to apni bhi aavaaz pahchaani nahin jaati 'samir' is ishq mein insaan kyaa itnaa badaltaa hai main khud par ghaur kartaa huun to hairaani nahin jaati"
N
Naeem Sameer