SHAWORDS

havas kiije na umr-e-jaavedaan ki — Ashique Akbarabadi

"havas kiije na umr-e-jaavedaan ki hai umr-e-khizr bhi aisi kahaan ki kise khvaahish hai umr-e-jaavedaan ki kahaan tak Thokarein khaaein yahaan ki uDaa kar khaak vahshi ne tumhaare binaa-e-taaza Daali aasmaan ki bahut daur-e-falak ne rang badle na khu badli magar us bad-gumaan ki kharidaaro chalo saudaa kharido sar-e-baazaar 'aashiq' ne dukaan ki"
Urdu

ہوس کیجے نہ عمر جاوداں کی ہے عمر خضر بھی ایسی کہاں کی کسے خواہش ہے عمر جاوداں کی کہاں تک ٹھوکریں کھائیں یہاں کی اڑا کر خاک وحشی نے تمہارے بنائے تازہ ڈالی آسماں کی بہت دور فلک نے رنگ بدلے نہ خو بدلی مگر اس بد گماں کی خریدارو چلو سودا خریدو سر بازار عاشقؔ نے دکاں کی

Hindi

हवस कीजे न उम्र-ए-जावेदाँ की है उम्र-ए-ख़िज़्र भी ऐसी कहाँ की किसे ख़्वाहिश है उम्र-ए-जावेदाँ की कहाँ तक ठोकरें खाएँ यहाँ की उड़ा कर ख़ाक वहशी ने तुम्हारे बिना-ए-ताज़ा डाली आसमाँ की बहुत दौर-ए-फ़लक ने रंग बदले न ख़ू बदली मगर उस बद-गुमाँ की ख़रीदारो चलो सौदा ख़रीदो सर-ए-बाज़ार 'आशिक़' ने दुकाँ की

havas kiije na umr-e-jāvedāñ kī
Ashique Akbarabadi
Ashique Akbarabadi
Ashique Akbarabadi
poet37 quotes

More by Ashique Akbarabadi

View all →
Quote
"ai dil us zulf ki rakhiyo na tamannaa baaqi hashr tak varna rahegi shab-e-yaldaa baaqi tire hangaama se khush huun magar ai josh-e-junun kuchh qayaamat ke liye bhi rahe ghaughaa baaqi aap ko bech chukaa huun tire gham ke haathon hai magar ishq kaa tere abhi saudaa baaqi gham-e-hijraan mein gai jaan chalo khuub huaa doston ko na rahe fikr-e-mudaavaa baaqi jaan siine se nikalne ko hai dil pahlu se hai faqat us nigah-e-naaz kaa iimaa baaqi khaak-e-aashiq se ugaataa hai mughilaan kaa darakht us ki mizhgaan kaa hai marqad mein bhi khaTkaa baaqi"
Ashique AkbarabadiAshique Akbarabadi
Quote
"lagaae baiThe hain mehndi jo mere khuun se poron mein yahi to rahzanon mein hain yahi hain dil ke choron mein paDe rahte hain aksar su-e-mushkin ru-e-jaanaan par bahut dekhaa hai ham ne ittifaaq in kaale goron mein lagaai aag un ke husn-e-aalam-soz ne har-su jalaane chau-lakhaa baiThe hain yuun kore sakoron mein vufur-e-sohbat-e-aghyaar se kuchh aise khul khele na vo jheinpein hazaaron mein na sharmaaein karoron mein hamein ku-e-butaan se do-qadam uThne nahin deti hamaari naa-tavaani in dinon hai aise zoron mein amaan detaa nahin vo chaahne vaalon ko mar kar bhi hamaare naam ko zaalim ne piTvaayaa DhinDhoron mein mire naalon kaa 'aashiq' rang uDaayaa andalibon ne khiraam-e-yaar ki shohrat hui saare chakoron mein"
Ashique AkbarabadiAshique Akbarabadi
Quote
"na maanaa meraa kahnaa dil gayaa kyuun daad-khvaahi ko sazaa dete hain vaan mujrim banaa kar be-gunaahi ko hamaari be-kasi ne chhaan Daalaa hai jahaan saaraa sivaa tere Thikaanaa hi nahin hai be-panaahi ko qayaamat mein vo mujh ko dekh kar kahte hain ghairon se khudaa ki shaan hai aashiq chale hain daad-khvaahi ko uDaai khaak us ki khuub jaa kar koh-o-sahraa mein dil-e-vahshi ne kyaa ulTe diye chakkar tabaahi ko ujaD jaaegaa jis din kaarkhaana baada-khvaaron kaa bahut roegaa saaqi kashti-e-mai ki tabaahi ko buraa ho rashk kaa rahbar samajh kar dil se jo puchhaa adam kaa raasta batlaa diyaa gum-gashta-raahi ko"
Ashique AkbarabadiAshique Akbarabadi
Quote
"fitna-khu le gai dil chhin ke jhaT-paT ham se aur phir saamne aane mein hai ghunghaT ham se aap kaa qasd mohabbat hai agar ghairon se qarz le lijiye thoDi si mohabbat ham se so gae ham to ham-aaghosh hue khvaab mein vo ab to karne lage kuchh kuchh vo lagaavaT ham se ek bose ki talab mein hui mehnat barbaad vasl ki raat hui yaar se khaTpaT ham se sulh kar lein tire khanjar ke gale mil jaaein qatl ke vaqt na rakhiye vo rukaavaT ham se haae kis naaz se kahte hain shab-e-vasl mein vo ho chuki baat jo honi thi pare haT ham se"
Ashique AkbarabadiAshique Akbarabadi
Quote
"daaghon se dil-o-sina ke afrokhta-jaan huun go main chaman-e-taaza huun par vaqf-e-khizaan huun pahlu mein agar dil hai to tu dil mein hai mere go nang-e-khalaaeq huun magar jaan-e-jahaan huun jis khaak pe main baiTh gayaa fitna uThaayaa kis sarv-e-khiraamaan ki kaf-e-paa kaa nishaan huun hamraah tumhaare huun kisi jaa huun kahin huun saaya ki tarah tum ho jahaan main bhi vahaan huun yaarab ho buraa vahshat dil kaa ki nahin chain jab khaak huaa mar ke to ab reg-e-ravaan huun kyaa ziist hai ye khaak miri aashiq-e-naashaad gah masraf-e-fariyaad huun gah vaqf-e-fughaan huun"
Ashique AkbarabadiAshique Akbarabadi

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb