SHAWORDS

hijr main jo li gai tasvir hai — Faqeeh Haidar

HomeFaqeeh HaidarGhazal
"hijr main jo li gai tasvir hai ye hamaari aakhiri tasvir hai maut bharti jaa rahi hai apne rang zindagi miTti hui tasvir hai tum jise kahte ho jismon ki qataar asl mein divaar ki tasvir hai yaar logon se gale milnaa bhi kyaa koi patthar hai koi tasvir hai miT gai tasvir pahle ishq ki saamne ab dusri tasvir hai jitni tasvirein hain mere saamne sab se achchhi aap ki tasvir hai kuchh nahin badlaa tumhaare baad bhi zindagi tasvir thi tasvir hai ruuh ne rakkhaa huaa hai sab bharam varna har ik aadmi tasvir hai Dhal gai hai pyaas meri naqsh mein ye jo paani par bani tasvir hai haath mein TukDe khaton ke hain faqih aankh mein jalti hui tasvir hai"
Urdu

ہجر میں جو لی گئی تصویر ہے یہ ہماری آخری تصویر ہے موت بھرتی جا رہی ہے اپنے رنگ زندگی مٹتی ہوئی تصویر ہے تم جسے کہتے ہو جسموں کی قطار اصل میں دیوار کی تصویر ہے یار لوگوں سے گلے ملنا بھی کیا کوئی پتھر ہے کوئی تصویر ہے مٹ گئی تصویر پہلے عشق کی سامنے اب دوسری تصویر ہے جتنی تصویریں ہیں میرے سامنے سب سے اچھی آپ کی تصویر ہے کچھ نہیں بدلا تمہارے بعد بھی زندگی تصویر تھی تصویر ہے روح نے رکھا ہوا ہے سب بھرم ورنہ ہر اک آدمی تصویر ہے ڈھل گئی ہے پیاس میری نقش میں یہ جو پانی پر بنی تصویر ہے ہاتھ میں ٹکڑے خطوں کے ہیں فقیہ آنکھ میں جلتی ہوئی تصویر ہے

Hindi

हिज्र मैं जो ली गई तस्वीर है ये हमारी आख़िरी तस्वीर है मौत भरती जा रही है अपने रंग ज़िंदगी मिटती हुई तस्वीर है तुम जिसे कहते हो जिस्मों की क़तार अस्ल में दीवार की तस्वीर है यार लोगों से गले मिलना भी क्या कोई पत्थर है कोई तस्वीर है मिट गई तस्वीर पहले इश्क़ की सामने अब दूसरी तस्वीर है जितनी तस्वीरें हैं मेरे सामने सब से अच्छी आप की तस्वीर है कुछ नहीं बदला तुम्हारे बा'द भी ज़िंदगी तस्वीर थी तस्वीर है रूह ने रक्खा हुआ है सब भरम वर्ना हर इक आदमी तस्वीर है ढल गई है प्यास मेरी नक़्श में ये जो पानी पर बनी तस्वीर है हाथ में टुकड़े ख़तों के हैं फ़क़ीह आँख में जलती हुई तस्वीर है

hijr maiñ jo lī ga.ī tasvīr hai
Faqeeh Haidar
Faqeeh Haidar
Faqeeh Haidar
poet5 quotes

More by Faqeeh Haidar

View all →
Quote
"jism mein gunjtaa hai ruuh pe likkhaa dukh hai tu miri aankh se bahtaa huaa pahlaa dukh hai kyaa karun bech bhi saktaa nahin ganjina-e-zakhm kyaa karun baanT bhi saktaa nahin aisaa dukh hai ye tab-o-taab zamaane ki jo hai naa yaaro kijiye ghaur to lagtaa hai ki saaraa dukh hai tum mire dukh ke tanaasub ko samajhte kab ho jitni khushiyaan hain tumhaari miraa utnaa dukh hai aisaa lagtaa hai mire saath nahin kuchh bhi aur aisaa lagtaa hai mire saath hamesha dukh hai mujh se mat aankh milaao ki miri aankhon mein shahr ki zard ghuTan dasht saa pyaasaa dukh hai le gae log vo dariyaa-e-javaan apne saath aur mire haath jo aayaa hai vo sahraa dukh hai kyaa bataaun ki liye phirtaa huun dukh kitne qadim tum samajhti ho faqat mujh ko tumhaaraa dukh hai us ke lahje mein thakan hai na hi aasaar-e-marg us ki aankhon mein magar sab se anokhaa dukh hai ham kisi shakhs ke dukh se nahin milte 'haidar' jo zamaane se alag hai vo hamaaraa dukh hai"
Faqeeh HaidarFaqeeh Haidar
Quote
"kahin thi raakh kahin thaa dhuaan kahin thi aag falak Dhakaa thaa sitaaron se jab zamin thi aag jame hue lab-o-rukhsaar bhi dahak rahe the hisaar-e-mausam-e-barfaab mein hasin thi aag hudud-e-jism se baahar nikal ke sard lagi quyud-e-jism mein thi jab tak thi bar-tarin thi aag 'adaavaton mein nae rang bhar rahaa thaa vo baghal mein saanp the aur zer-e-aastin thi aag tiraa ThiThurtaa badan bhi bujhaa sakaa na mujhe kuchh aise bar-sar-e-sahn-e-badan makin thi aag shab-e-visaal kaa ahvaal puchhnaa mat dost pas-e-qabaa-e-ghazab itr-ambarin thi aag kamaal-e-kun ne rakhaa pyaas mein jamaal-e-aab nahin thaa jab kahin paani kahin nahin thi aag safar kaa bojh baraabar rahaa hai donon par jahaan jahaan bhi thaa paani vahin vahin thi aag vajud-e-lams ki lazzat se naa-shanaas rahaa vo haath sard thaa 'haidar' miri jabin thi aag"
Faqeeh HaidarFaqeeh Haidar
Quote
"main khush huaa ki buud mein rakkhaa gayaa mujhe haalaanki bas quyud mein rakkhaa gayaa mujhe khadshaat ki salib pe khinchi gai hayaat haalaat ke jumud mein rakkhaa gayaa mujhe jis samt bhi gayaa main ajal mere saath thi yaani miri hudud mein rakkhaa gayaa mujhe barfaab khvaab jab miri aankhon mein aa base ik hashr ki numud mein rakkhaa gayaa mujhe duniyaa ko dekhtaa huun yuun hairat se roz-o-shab jaise abhi vajud mein rakkhaa gayaa mujhe be-saaz gungunaayaa gayaa mujh ko har ghaDi be-taal hi surud mein rakkhaa gayaa mujhe to kyaa baqaa freb-zada harf hai faqih to kyaa faqat nabud mein rakkhaa gayaa mujhe"
Faqeeh HaidarFaqeeh Haidar
Quote
"phaTi mashkein liye din-raat dariyaa dekhne vaale bayaabaan ban gae paani ziyaada dekhne vaale yahaan koi musalsal dekhne vaalaa nahin tujh ko hamaare saath chal ham hain hamesha dekhne vaale tumhaare husn se insaaf karne kaa taqaazaa hai tumhein dekhein ziyaada se ziyaada dekhne vaale imaarat ishq ki tanhaa khaDi hogi kahaan tum se hamein bhi saath rakkho ham hain naqsha dekhne vaale hamaare saamne taarif kartaa kaun kuufe ki sabhi ko ilm thaa ham hain madina dekhne vaale bichhaDte vaqt muD kar is liye dekhaa nahin main ne kai manzar nahin hote dobaara dekhne vaale kisi ne maa-sivaa-e-khaak dil se kuchh nahin paayaa bahut se log aae ye ilaaqa dekhne vaale"
Faqeeh HaidarFaqeeh Haidar

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb