Quote
"tum ho qatra to qadam had se na baahar rakhnaa dil magar saat samundar ke baraabar rakhnaa zeb deti to hai dastaar magar sarv-qado sar zaraa turra-e-dastaar se baahar rakhnaa justuju apni zarurat hai talab apni gharaz kaam apnaa hai to kyon baar kisi par rakhnaa zahr-e-ehsaas ki talkhi liye ghar mat jaanaa din to kajlaayaa magar raat munavvar rakhnaa chaarpaai ke baraabar bhi faraakhi na mili paanv phailaanaa kahaan aur kahaan sar rakhnaa mauj-e-khun shoala-numaa shahr chaTakhti laashein haae kis tarah se aankhon mein ye manzar rakhnaa sehn-e-jaan taaza havaa se na ho mahrum 'ayaaz' ek divaar uThaanaa to kai dar rakhnaa"
