SHAWORDS

hisaar-e-qarya-e-khunbaar se nikalte hue — Akhtar Shumar

HomeAkhtar ShumarGhazal
"hisaar-e-qarya-e-khunbaar se nikalte hue ye dil malul thaa aazaar se nikalte hue baDi hi der talak dhuup mujh ko chhu na saki tumhaare saaya-e-divaar se nikalte hue ki phir se takht ko aanaa thaa mere qadmon mein main pur-yaqin thaa darbaar se nikalte hue shuaa-e-nur ke phuTe se jaan larazti thi tumhaari garmi-e-rukhsaar se nikalte hue tumhaare dhyaan mein gum ho gai thi mahki havaa hudud-e-jaada-e-gulzaar se nikalte hue main lauT aayaa tujhe chhoD kar magar aadhaa vahin rahaa dar-o-divaar se nikalte hue fazaa mein der talak khuub jagmagaate 'shumaar' vo lafz shokhi-e-guftaar se nikalte hue"
Urdu

حصار قریۂ آزار سے نکلتے ہوئے یہ دل ملول تھا آزار سے نکلتے ہوئے بڑی ہی دیر تلک دھوپ مجھ کو چھو نہ سکی تمہارے سایۂ دیوار سے نکلتے ہوئے کہ پھر سے تخت کو آنا تھا میرے قدموں میں میں پر یقین تھا دربار سے نکلتے ہوئے شعاع نور کے پھوٹے سے جاں لرزتی تھی تمہاری گرمئ رخسار سے نکلتے ہوئے تمہارے دھیان میں گم ہو گئی تھی مہکی ہوا حدود جادۂ گلزار سے نکلتے ہوئے میں لوٹ آیا تجھے چھوڑ کر مگر آدھا وہیں رہا در و دیوار سے نکلتے ہوئے فضا میں دیر تلک خوب جگمگاتے شمارؔ وہ لفظ شوخئ گفتار سے نکلتے ہوئے

Hindi

हिसार-ए-क़र्या-ए-खूँबार से निकलते हुए ये दिल मलूल था आज़ार से निकलते हुए बड़ी ही देर तलक धूप मुझ को छू न सकी तुम्हारे साया-ए-दीवार से निकलते हुए कि फिर से तख़्त को आना था मेरे क़दमों में मैं पुर-यक़ीन था दरबार से निकलते हुए शुआ-ए-नूर के फूटे से जाँ लरज़ती थी तुम्हारी गर्मी-ए-रुख़्सार से निकलते हुए तुम्हारे ध्यान में गुम हो गई थी महकी हवा हुदूद-ए-जादा-ए-गुलज़ार से निकलते हुए मैं लौट आया तुझे छोड़ कर मगर आधा वहीं रहा दर-ओ-दीवार से निकलते हुए फ़ज़ा में देर तलक ख़ूब जगमगाते 'शुमार' वो लफ़्ज़ शोख़ी-ए-गुफ़्तार से निकलते हुए

hisār-e-qarya-e-ḳhūñbār se nikalte hue
Akhtar Shumar
Akhtar Shumar
Akhtar Shumar
poet26 quotes

More by Akhtar Shumar

View all →
Quote
"vo jis kaa aks lahu ko jagaa diyaa kartaa main khvaab khvaab mein us ko sadaa diyaa kartaa qarib aati jo taarikh us ke milne ki vo apne vaade ki muddat baDhaa diyaa kartaa main zindagi ke safar mein thaa mashghala us kaa vo DhunD DhunD ke mujh ko ganvaa diyaa kartaa use sameTtaa main jab bhi ek nuqte mein vo mere dhyaan mein titli uDaa diyaa kartaa usi ke gaanv ki raahon mein baiTh kar har roz main dil kaa haal havaa ko sunaa diyaa kartaa mujhe vo aankh mein rakh kar 'shumaar' pichhli shab ajab khumaar mein palkein giraa diyaa kartaa na chheD mujh ko zamaana vo aur thaa jis mein faqir gaali ke badle duaa diyaa kartaa"
Akhtar ShumarAkhtar Shumar
Quote
"ai duniyaa tere raste se haT jaaeinge aakhir ham bhi apne saamne DaT jaaeinge ham khud ko aabaad kareinge apne dil mein tere aankh-jazire se ab kaT jaaeinge dhund se paar bhi kaam kareingi apni nazrein aankh ke saamne se ye baadal chhaT jaaeinge aakhir Dhal jaaegaa ''jivan-rog'' kaa suraj ham bhi ''okhe-din'' hain lekin kaT jaaeinge log hamein mahsus kareinge phuul aur taare aur ham sochti ''dil-aankhon'' mein baT jaaeinge dekhnaa aisi raat bhi aaegi jab 'akhtar' dhire dhire ham taaron se aT jaaeinge"
Akhtar ShumarAkhtar Shumar
Quote
"us ki chaah mein naam nahin aane vaalaa ab meraa anjaam nahin aane vaalaa husn se kaam paDaa hai aakhiri saanson mein aur vo kisi ke kaam nahin aane vaalaa meri sadaa par vo nazdik to aaegaa lekin zer-e-daam nahin aane vaalaa ek jhalak se pyaas kaa rog baDhegaa aur is se mujhe aaraam nahin aane vaalaa ishq ke naam pe teraa rang na badle yaar tujh par kuchh ilzaam nahin aane vaalaa kaam ko baiThe hain aur sar par aai shaam lagtaa hai ab kaam nahin aane vaalaa kyuun be-kaar us shakhs kaa rasta dekhte ho vo to 'shumaar' is shaam nahin aane vaalaa"
Akhtar ShumarAkhtar Shumar
Quote
"khvaahish-e-jaada-e-raahat se nikaltaa kaise dil miraa ku-e-malaamat se nikaltaa kaise saaya-e-vahm-o-gumaan chaar taraf phailaa hai main abhi karb-o-aziyyat se nikaltaa kaise meri rusvaai agar saath na deti meraa yuun sar-e-bazm main izzat se nikaltaa kaise meri nazrein jo na paDtin to vahaan pichhli shab ik sitaaraa saa tiri chhat se nikaltaa kaise main ki barbaad huaa diid ki khaatir jis ki vo mire dida-e-hairat se nikaltaa kaise us ke dam hi se to qaaem hai miraa jaah-o-jalaal vo mire dil ki hukumat se nikaltaa kaise jaag baiThaa huun to dil Duubaa nahin hai 'akhtar' soyaa rahtaa to musibat se nikaltaa kaise"
Akhtar ShumarAkhtar Shumar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud