"hamaari kaavish-e-sher-o-sukhan be-kaar jaati hai ghazal kaisi bhi ho us ke badan se haar jaati hai ye kaise marhale mein phans gayaa hai meraa ghar maalik agar chhat ko bachaa bhi luun to phir divaar jaati hai mire khvaabon kaa us ki aankh se rishta nahin TuuTaa miri parchhaain aksar jhiil ke is paar jaati hai chalo aazaad ho kar kam se kam itnaa to ham sikhe koi sarkaar aati hai koi sarkaar jaati hai jalaa kar Thiik se taaqon mein in ko rakh diyaa jaae to phir aise charaaghon se havaa bhi haar jaati hai"
ho lene do baarish ham bhi ro leinge — Sardar Asif
"ho lene do baarish ham bhi ro leinge dil mein hain kuchh zakhm puraane dho leinge meraa is baazaar mein jaanaa hai be-sud meri anaa ko vo sikkon se tauleinge jaate hain sab apni apni Toli mein apnaa kaun hai saath kisi ke ho leinge us ko shaayad yaad hamaari aaegi havaa chalegi aur parinde Doleinge sab chikhe chillaae kyaa paDtaa hai farq be-his patthar kabhi nahin kuchh boleinge khud hi samundar khud hi dariyaa Dar kaisaa jab chaaheinge khud ko khud mein samo leinge dil ki dhaDkan baDhi hai sunne vaalon ki kis ne khabar uDaa di ham kuchh boleinge"
ہو لینے دو بارش ہم بھی رو لیں گے دل میں ہیں کچھ زخم پرانے دھو لیں گے میرا اس بازار میں جانا ہے بے سود میری انا کو وہ سکوں سے تولیں گے جاتے ہیں سب اپنی اپنی ٹولی میں اپنا کون ہے ساتھ کسی کے ہو لیں گے اس کو شاید یاد ہماری آئے گی ہوا چلے گی اور پرندے ڈولیں گے سب چیخے چلائے کیا پڑتا ہے فرق بے حس پتھر کبھی نہیں کچھ بولیں گے خود ہی سمندر خود ہی دریا ڈر کیسا جب چاہیں گے خود کو خود میں سمو لیں گے دل کی دھڑکن بڑھی ہے سننے والوں کی کس نے خبر اڑا دی ہم کچھ بولیں گے
हो लेने दो बारिश हम भी रो लेंगे दिल में हैं कुछ ज़ख़्म पुराने धो लेंगे मेरा इस बाज़ार में जाना है बे-सूद मेरी अना को वो सिक्कों से तौलेंगे जाते हैं सब अपनी अपनी टोली में अपना कौन है साथ किसी के हो लेंगे उस को शायद याद हमारी आएगी हवा चलेगी और परिंदे डोलेंगे सब चीख़े चिल्लाए क्या पड़ता है फ़र्क़ बे-हिस पत्थर कभी नहीं कुछ बोलेंगे ख़ुद ही समुंदर ख़ुद ही दरिया डर कैसा जब चाहेंगे ख़ुद को ख़ुद में समो लेंगे दिल की धड़कन बढ़ी है सुनने वालों की किस ने ख़बर उड़ा दी हम कुछ बोलेंगे

More by Sardar Asif
View all →"main jin ko DhunDne niklaa thaa gahre ghaaron mein pata chalaa ki vo rahte hain ab sitaaron mein parakh rahaa hai mujhe jo vo is khayaal kaa hai hamesha jhuuT nahin hotaa ishtihaaron mein unhein yaqin thaa duniyaa ki umr lambi hai jo log peD lagaate the rahguzaaron mein main khud ko dekhun agar dusre ki aankhon se mileingi khaamiyaan apne hi shah-kaaron mein tumhaari khushbu ko mujh se kahin ye chhin na le havaa jo rahti hai divaar ki daraaron mein khudaa kaa shukr ki main us se thoDi duur rahaa safed saanp thaa geinde ke piile haaron mein nashili raat kaa nashsha kuchh aur baDh jaataa tiraa nazaaraa bhi hotaa agar nazaaron mein zabaan pe aai to apni miThaas kho baiThi jo baat hoti thi pahle kabhi ishaaron mein"
"laakh samjhaayaa magar zid pe aDi hai ab bhi koi ummid mere pichhe paDi hai ab bhi shahr-e-tanhaai mein mausam nahin badlaa karte din bahut chhoTaa yahaan raat baDi hai ab bhi maan luun kaise yahaan dariyaa nahin thaa logo dekh lo ret pe ik kashti paDi hai ab bhi chhat mein kuchh chhed hain ye raaz bataane ke liye dhuup khaamoshi se kamre mein khaDi hai ab bhi vaqt ne naam-o-nasab chhin liyaa hai lekin ghaur se dekh miri naak baDi hai ab bhi aasmaan tu ne chhupaa rakkhaa hai suraj ko kahaan kyuun kalaai mein tiri band ghaDi hai ab bhi manzilein deti hain aavaaz ki jaldi aao peD kahte hain ruko dhuup kaDi hai ab bhi"
"ye lafz lafz shoala-bayaani usi ki hai himmat hai aur kis mein kahaani usi ki hai takmil ho rahi hai bichhaDne ke baavajud baaqi ki zindagi bhi kahaani usi ki hai rut aa gai nai to use dekh kar lagaa shaayad ye koi yaad puraani usi ki hai manzar mein aur kyaa hai ye dekhaa nahin abhi lekin ye hai jo oDhni dhaani usi ki hai main to bahut dinon se ye kahtaa thaa aaj to sab ne kahaa ye shaam suhaani usi ki hai ik sang hai ki jiine kaa jis ko milaa hai hukm is dil ki dhaDkanon mein ravaani usi ki hai khat ho koi kitaab ho yaa dil kaa zakhm ho jo bhi hai mere paas nishaani usi ki hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"