"dard ki daulat-e-naayaab ko rusvaa na karo vo nazar raaz hai us raaz kaa charchaa na karo vusat-e-dasht mein divaane bhaTak jaate hain dosto aahu-e-ram-khurda kaa pichhaa na karo tum muqaddar kaa sitaara ho mire paas raho tum jabin-e-shab-e-namnaak pe ubhraa na karo pas-e-divaar bhi divaar kaa aalam hogaa tum yunhi rauzan-e-divaar se jhaankaa na karo ghar palaT aane mein aafiyat-e-jaan hai yaaro jab havaa tez chale raah mein Thahraa na karo yaa dil-o-dida ko tanvir-e-mohabbat bakhsho yaa dam-e-subh zamaane mein ujaalaa na karo ye jahaan-e-guzaraan haath kise aayaa hai pichhe muD muD ke kisi shakhs ko dekhaa na karo bhaagte lamhe ko kab rok sakaa hai koi vo to ik saaya hai saae ki tamannaa na karo sar salaamat nahin rahte hain zabaan kaTti hai pattharon ko kabhi bhule se bhi sajda na karo pyaas bujhti hai kahaan tapte bayaabaanon ki miri aankhon miri aankho yunhi barsaa na karo ziist hai tez-qadam aage nikal jaaegi tum kisi moD pe rukne kaa iraada na karo kuchh idhar saae hain jo baDh ke lipaT jaate hain 'akhtar' is raah se ho kar kabhi guzraa na karo"
honTon pe qarz-e-harf-e-vafaa umr bhar rahaa — Akhtar Hoshiyarpuri
"honTon pe qarz-e-harf-e-vafaa umr bhar rahaa maqruz thaa so chup ki sadaa umr bhar rahaa kuchh darguzar ki un ko bhi aadat na thi kabhi kuchh main bhi apni zid pe uDaa umr bhar rahaa vo tajrabe hue ki mire khuun ki khair ho yaaro main apne ghar se judaa umr bhar rahaa mausam kaa habs shab ki siyaahi fasil-e-shahr mujrim thaa sar jhukaae khaDaa umr bhar rahaa subh o masaa ki gardish-e-paiham ke baavajud main darmiyaan-e-subh-o-masaa umr bhar rahaa in baarishon mein kaun bahe khaar-o-khas ke saath suraj ki le ke sar pe ridaa umr bhar rahaa haathon se oT ki to sabhi ungliyaan jalin phir bhi havaa ki zad pe diyaa umr bhar rahaa ik khuun ki khalij mire saamne rahi aur mere pichhe saaya miraa umr bhar rahaa 'akhtar' ye jangalon mein usi ke nishaan hain jo khaar khaar aabla-paa umr bhar rahaa"
ہونٹوں پہ قرض حرف وفا عمر بھر رہا مقروض تھا سو چپ کی صدا عمر بھر رہا کچھ درگزر کی ان کو بھی عادت نہ تھی کبھی کچھ میں بھی اپنی ضد پہ اڑا عمر بھر رہا وہ تجربے ہوئے کہ مرے خوں کی خیر ہو یارو میں اپنے گھر سے جدا عمر بھر رہا موسم کا حبس شب کی سیاہی فصیل شہر مجرم تھا سر جھکائے کھڑا عمر بھر رہا صبح و مسا کی گردش پیہم کے باوجود میں درمیان صبح و مسا عمر بھر رہا ان بارشوں میں کون بہے خار و خس کے ساتھ سورج کی لے کے سر پہ ردا عمر بھر رہا ہاتھوں سے اوٹ کی تو سبھی انگلیاں جلیں پھر بھی ہوا کی زد پہ دیا عمر بھر رہا اک خون کی خلیج مرے سامنے رہی اور میرے پیچھے سایہ مرا عمر بھر رہا اخترؔ یہ جنگلوں میں اسی کے نشان ہیں جو خار خار آبلہ پا عمر بھر رہا
होंटों पे क़र्ज़-ए-हर्फ़-ए-वफ़ा उम्र भर रहा मक़रूज़ था सो चुप की सदा उम्र भर रहा कुछ दरगुज़र की उन को भी आदत न थी कभी कुछ मैं भी अपनी ज़िद पे उड़ा उम्र भर रहा वो तजरबे हुए कि मिरे ख़ूँ की ख़ैर हो यारो मैं अपने घर से जुदा उम्र भर रहा मौसम का हब्स शब की सियाही फ़सील-ए-शहर मुजरिम था सर झुकाए खड़ा उम्र भर रहा सुब्ह ओ मसा की गर्दिश-ए-पैहम के बावजूद मैं दरमियान-ए-सुब्ह-ओ-मसा उम्र भर रहा इन बारिशों में कौन बहे ख़ार-ओ-ख़स के साथ सूरज की ले के सर पे रिदा उम्र भर रहा हाथों से ओट की तो सभी उँगलियाँ जलीं फिर भी हवा की ज़द पे दिया उम्र भर रहा इक ख़ून की ख़लीज मिरे सामने रही और मेरे पीछे साया मिरा उम्र भर रहा 'अख़्तर' ये जंगलों में उसी के निशान हैं जो ख़ार ख़ार आबला-पा उम्र भर रहा

More by Akhtar Hoshiyarpuri
View all →"har chand siine mein dil-e-kufr-aashnaa nahin main us ko pujtaa huun jo meraa khudaa nahin vo meri zindagi hai magar zindagi ki tarah mujh se khafaa nahin hai ki vo bevafaa nahin kyaa kyaa na apne saath zamaanon ko laai hai vo ik nigaah jis se koi aashnaa nahin shaayad main khaak-daan ke dhuein ki lakir huun vo mujh ko dekhtaa hai magar puchhtaa nahin guunj us ki aaj bhi mire khalvat-kade mein hai vo naghma jis ko tu ne dobaara sunaa nahin un raaston ki gard miri zindagi pe hai jin raaston pe main kabhi 'akhtar' chalaa nahin"
"khvaab-mahal mein kaun sar-e-shaam aa kar patthar maartaa hai roz ik taaza kaanch kaa bartan haath se gir kar TuTtaa hai makDi ne darvaaze pe jaale duur talak bun rakkhe hain phir bhi koi guzre dinon ki oT se andar jhaanktaa hai shor saa uThtaa rahtaa hai divaarein bolti rahti hain shaam abhi tak aa nahin paati koi khilaune toDtaa hai avval-e-shab ki lori bhi kab kaam kisi ke aati hai dil vo bachcha apni sadaa par kachchi niind se jaagtaa hai andar baahar ki aavaazein ik nuqte par simTi hain hotaa hai galiyon mein vaavailaa meraa lahu jab boltaa hai meri saanson ki larzish manzar kaa hissa banti hai dekhtaa huun main khiDki se jab shaakh pe pattaa kaanptaa hai mere sirhaane koi baiThaa Dhaaras detaa rahtaa hai nabz pe haath bhi rakhtaa hai TuuTe dhaage bhi joDtaa hai baadal uTThe yaa ki na uTThe baarish bhi ho yaa ki na ho main jab bhigne lagtaa huun vo sar par chhatri taantaa hai vaqt guzarne ke ham-raah bahut kuchh sikhaa 'akhtar' ne nange badan ko kirnon ke pairaahan se ab Dhaanptaa hai"
"khvaahishein itni baDhin insaan aadhaa rah gayaa khvaab jo dekhaa nahin vo bhi adhuraa rah gayaa main to us ke saath hi ghar se nikal kar aa gayaa aur pichhe ek dastak ek saayaa rah gayaa us ko to pairaahanon se koi dilchaspi na thi dukh to ye hai rafta rafta main bhi nangaa rah gayaa rang tasviron kaa utraa to kahin Thahraa nahin ab ke vo baarish hui har naqsh phikaa rah gayaa 'umr bhar manzar-nigaari khuun mein utri rahi phir bhi aankhon ke muqaabil ek dariyaa rah gayaa raunaqein jitni thiin dahlizon se baahar aa gaiin shaam hi se ghar kaa darvaaza khulaa kyaa rah gayaa ab ke shahr-e-zindagi mein saaneha aisaa huaa main sadaa detaa use vo mujh ko taktaa rah gayaa titliyon ke par kitaabon mein kahin gum ho gae muTThiyon ke aaine mein ek chehra rah gayaa rail ki gaaDi chali to ik musaafir ne kahaa dekhnaa vo koi station pe baiThaa rah gayaa main na kahtaa thaa ki ujlat is qadar achchhi nahin ek paT khiDki kaa aa kar dekh lo vaa rah gayaa log apni kirchiyaan chun chun ke aage baDh gae main magar saamaan ikaTThaa kartaa tanhaa rah gayaa aaj tak mauj-e-havaa to lauT kar aai nahin kyaa kisi ujDe nagar mein diip jaltaa rah gayaa ungliyon ke naqsh gul-daanon pe aate hain nazar aao dekhein apne andar aur kyaa kyaa rah gayaa dhuup ki garmi se inTein pak gaiin phal pak gae ik hamaaraa jism thaa 'akhtar' jo kachchaa rah gayaa"
"apne qadmon hi ki aavaaz se chaunkaa hotaa yuun mire paas se ho kar koi guzraa hotaa chaandni se bhi sulag uThtaa hai viraana-e-jaan ye agar jaante suraj hi ko chaahaa hotaa zindagi khvaab-e-pareshaan hai bahaar ek khayaal in ko milne se bahut pahle ye sochaa hotaa dopahar guzri magar dhuup kaa aalam hai vahi koi saaya kisi divaar se utraa hotaa ret uD uD ke havaaon mein chali aati hai shahr-e-armaan sar-e-sahraa na basaayaa hotaa aarzu umr-e-gurezaan to nahin tum to nahin ye saraktaa huaa lamha kahin Thahraa hotaa pichhe pichhe koi saaya saa chalaa aataa thaa haae vo kaun thaa muD kar use dekhaa hotaa tujh se yak go na taalluq mujhe ik umr se thaa zindagi tu ne hi baDh kar mujhe rokaa hotaa jaane kyaa soch ke logon ne bujhaae hain charaagh raat kaTti to sahar hoti ujaalaa hotaa apne daaman ko jalaa kar main charaaghaan kartaa agar is raakh mein 'akhtar' koi shoala hotaa"
"bajaa ki dushman-e-jaan shahr-e-jaan ke baahar hai magar main us ko kahun kyaa jo ghar ke andar hai tamaam naqsh parindon ki tarah utre hain ki kaaghazon pe khile paaniyon kaa manzar hai main ek shakhs jo kumbon mein rah gayaa baT kar main musht-e-khaak jo taqsim ho ke be-ghar hai shajar kaTaa to koi ghonsla kahin na rahaa magar ik uDtaa parinda fazaa kaa zevar hai vo khauf hai ki makin apne apne kamron mein hain vo haal hai ki bayaabaan mein vusat-e-dar hai kahin bhi peD nahin phir bhi patthar aae hain gali mein koi nahin phir bhi shor-e-mahshar hai main is vasia jazire mein vaahid insaan huun ki mere chaaron taraf dasht kaa samundar hai koi bhi khvaab na unchi fasil se utraa magar kiran ke guzarne ko rauzan-e-dar hai tamaam raushaniyaan bujh gai hain basti mein magar vo diip ki jis kaa havaaon mein ghar hai kisi se mujh ko gila kyaa ki kuchh kahun 'akhtar' ki meri zaat hi khud raaste kaa patthar hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"khel duniyaa-e-'aarzi kaa huun ek kirdaar zindagi kaa huun mujh ko rakkhaa gayaa andhere mein main bhi haqdaar raushni kaa huun intihaa ke qarib hai duniyaa aadmi aakhiri sadi kaa huun dil ko ehsaas ho gayaa teraa mo'tarif teri dosti kaa huun main ne ghurbat mein 'ilm sikhaa hai main to maqruz muflisi kaa huun pur na hogaa jo mere baa'd kabhi ek aisaa khalaa kami kaa huun meraa dushman nahin 'khayaali' koi dost bhi main kisi kisi kaa huun"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"