SHAWORDS

hue rusvaa-e-ulfat umr bhar ko — Hamid Azimabadi

"hue rusvaa-e-ulfat umr bhar ko jigar rotaa hai dil ko dil jigar ko mire dil ko vo taktaa hai jigar ko khabar apni nahin us be-khabar ko kabhi hogaa na kam saudaa-e-ulfat liye phirtaa huun saath is dard-e-sar ko kisi se bhi nahin milti kisi din nazar shaayad lagi teri nazar ko milaa de yaa ilaahi tu milaa de asar se naala-haa-e-be-asar ko jo main guzraa idhar to daagh-e-dil ne kiyaa raushan charaagh-e-rahguzar ko pasand aataa hai hansnaa ai sitamgar lab-e-sofaar kaa zakhm-e-jigar ko buton ki dosti se kyaa natija khudaa se chaahiye ulfat bashar ko javaani mein abas hai fikr-e-piri abhi hai raat muddat hai sahar ko mai-e-ulfat ki aisi be-khudi hai khabar dil ki nahin 'haamid' jigar ko"
Urdu

ہوئے رسوائے الفت عمر بھر کو جگر روتا ہے دل کو دل جگر کو مرے دل کو وہ تکتا ہے جگر کو خبر اپنی نہیں اس بے خبر کو کبھی ہوگا نہ کم سودائے الفت لئے پھرتا ہوں ساتھ اس درد سر کو کسی سے بھی نہیں ملتی کسی دن نظر شاید لگی تیری نظر کو ملا دے یا الٰہی تو ملا دے اثر سے نالہ ہائے بے اثر کو جو میں گزرا ادھر تو داغ دل نے کیا روشن چراغ رہ گزر کو پسند آتا ہے ہنسنا اے ستم گر لب سوفار کا زخم جگر کو بتوں کی دوستی سے کیا نتیجہ خدا سے چاہئے الفت بشر کو جوانی میں عبث ہے فکر پیری ابھی ہے رات مدت ہے سحر کو مئے الفت کی ایسی بے خودی ہے خبر دل کی نہیں حامدؔ جگر کو

Hindi

हुए रुस्वा-ए-उल्फ़त उम्र भर को जिगर रोता है दिल को दिल जिगर को मिरे दिल को वो तकता है जिगर को ख़बर अपनी नहीं उस बे-ख़बर को कभी होगा न कम सौदा-ए-उलफ़त लिए फिरता हूँ साथ इस दर्द-ए-सर को किसी से भी नहीं मिलती किसी दिन नज़र शायद लगी तेरी नज़र को मिला दे या इलाही तू मिला दे असर से नाला-हा-ए-बेअसर को जो मैं गुज़रा इधर तो दाग़-ए-दिल ने किया रौशन चराग़-ए-रहगुज़र को पसंद आता है हँसना ऐ सितमगर लब-ए-सोफ़ार का ज़ख़्म-ए-जिगर को बुतों की दोस्ती से क्या नतीजा ख़ुदा से चाहिए उल्फ़त बशर को जवानी में अबस है फ़िक्र-ए-पीरी अभी है रात मुद्दत है सहर को मय-ए-उल्फ़त की ऐसी बे-ख़ुदी है ख़बर दिल की नहीं 'हामिद' जिगर को

hue rusvā-e-ulfat umr bhar ko
Hamid Azimabadi
Hamid Azimabadi
Hamid Azimabadi
poet10 quotes

More by Hamid Azimabadi

View all →
Quote
"vafaa karne aae jafaa kar chale hamein khaak mein vo milaa kar chale ye kyaa tum ko sujhi ye kyaa kar chale ki chitvan se bismil banaa kar chale mujhe qatl tegh-e-jafaa kar chale ye kyaa kar chale tum ye kyaa kar chale milaai kabhi tum ne jis se nigaah use apnaa shaidaa banaa kar chale tiri raah mein misl-e-naqsh-e-qadam ham apne ko kyaa kyaa miTaa kar chale idhar aao baiTho bhi aaghosh mein kahaan mujh se aankhein churaa kar chale tumhein paas agar baiThnaa hi na thaa to kyon ham se tum dil lagaa kar chale zabaan par na laanaa thaa harf-e-gila tiri bazm se munh ki khaa kar chale azal kaa tumhein qaul hai yaad bhi ki aae the kyaa kah ke kyaa kar chale uThaa kar hamein tu ne rusvaa kiyaa sazaa dil lagaane ki paa kar chale miTe saikDon kucha-e-ishq mein na kambakht dil sar uThaa kar chale vo baiThe to baiThe mire dil pe tiir chale to qayaamat bapaa kar chale mujhe rote mein aa ke baad-e-fanaa vo mayyat par aansu bahaa kar chale vo Thukraa gae meri turbat ko kyaa ki fitne hazaaron jagaa kar chale huaa un ke aage jo 'haamid' kaa zikr to kis naaz se muskuraa kar chale"
Hamid AzimabadiHamid Azimabadi
Quote
"aaj-kal kaaba kalisaa ho gayaa dil par ik kaafir kaa qabza ho gayaa dafatan dil ko mire kyaa ho gayaa kis pe maail kis pe shaidaa ho gayaa be-qaraari kaa sabab khultaa nahin baiThe baiThe ye mujhe kyaa ho gayaa laa-davaa kyon ho gayaa meraa maraz kyaa khafaa mujh se masihaa ho gayaa vo ye farmaate hain ham samjhe nahin muddaaa goyaa muammaa ho gayaa be-taalluq ho gae duniyaa se ham jab se dil ko ishq teraa ho gayaa ab nahin pahchaantaa koi mujhe fart-e-gham se ab ye naqsha ho gayaa kar diyaa mahv un ko un ke husn ne dekh kar aaina saktaa ho gayaa sun ke saakit sab hue 'haamid' ke sher dam-ba-khud jalse kaa jalsa ho gayaa"
Hamid AzimabadiHamid Azimabadi
Quote
"aap se aur kyaa nahin hogaa sirf vaada vafaa nahin hogaa kis ko khauf-e-khudaa nahin hogaa bas buton ko zaraa nahin hogaa aaj vaada vafaa nahin hogaa teraa didaar kyaa nahin hogaa jitni chaaho jafaaein tum kar lo kabhi mujh se gila nahin hogaa laakh surat se kar jafaa mujh par tark-e-sabr-o-razaa nahin hogaa le le meri zabaan bhi ai qaasid khat se matlab adaa nahin hogaa tujh saa zaalim agar nahin koi mujh saa bhi baa-vafaa nahin hogaa kyon bigaDte ho khat miraa paDh kar ab raqam muddaaa nahin hogaa dil to kyaa meri jaan bhi le lo uzr mujh ko zaraa nahin hogaa tez hogi to kab chhuri teri jab hamaaraa galaa nahin hogaa jo sazaa chaahte ho do mujh ko kabhi uzr-e-khataa nahin hogaa laakh vaasil khudaa se ho jaae phir bhi banda khudaa nahin hogaa koi shaaki jafaa kaa hogaa aur 'haamid'-e-baa-vafaa nahin hogaa"
Hamid AzimabadiHamid Azimabadi
Quote
"kuchh aise mahv hon aankhein jo khol kar dekhein usi kaa jalva nazar aae ham jidhar dekhein dam-e-akhir koi aarzu nahin dil mein ye aarzu hai ki ham tujh ko ik nazar dekhein unhein banaao se fursat kahaan shab-e-vaada fuzul shaam se kyon raah taa-sahar dekhein riyaaz dahr mein phule samaaein ham kyunkar jo apne nakhl-e-tamannaa ko baarvar dekhein idhar hai meraa jigar aur udhar hai dil meraa vo kashmakash mein paDe hain kidhar kidhar dekhein nisaar chashm-e-inaayat pe ham hon so dil se vo is nazar se agar ham ko ik nazar dekhein khabar mili hai mujhe aaj un ke aane ki jo ahl-e-ishq hon vo aah kaa asar dekhein jo kuchh ho dil mein hamaare uThaa na rakkhein ham jo kuchh ho aap ke dil mein vo aap kar dekhein nahin pasand mujhe nukta-chiniyaan 'haamid' kisi ke aib ko kyaa dekhein ham hunar dekhein"
Hamid AzimabadiHamid Azimabadi
Quote
"husn ki vaqat nahin ab ishq ki sarkaar mein bik gae yusuf hazaaron misr ke baazaar mein jo na karnaa thaa vo raaz-e-ishq zaahir kar diyaa aa ke rusvaa ho gae ham majma-e-aghyaar mein aur se kyaa puchhte hain aa ke ham se puchhiye kyaa maza miltaa hai dil ko aap ki guftaar mein khvaab se bedaar hote hi nahin hain baada-khvaar aisi masti hai havaa-e-subh ki raftaar mein ishq-e-lailaa mein ye dekhaa haal ham ne qais kaa khaak chhaanaa hi kiyaa vo kucha-o-baazaar mein ai masihaa kis tarah haazir ho tere saamne ab sakat uThne ki bhi baaqi nahin bimaar mein aafat-e-arz-e-samaavi se bachegaa apnaa ghar ism-e-aazam jab hai shaamil har dar-o-divaar mein dushmanon kaa dost ban jaataa hai kuchh din ke liye aib hotaa hai ye aksar mard-e-kaj-raftaar mein kar nahin sakte hain aapas mein vo baatein hosh ki be-khudi kaa ye asar hai mai-kash o mai-khvaar mein be-khabar vo hai to hai ye baa-khabar har gaam se farq hai ai dil bahut laa-yaa'qil-o-hushiyaar mein dasht-o-gulshan mein nahin 'haamid' koi dil-bastagi ji bahaltaa hai agar apnaa to ku-e-yaar mein"
Hamid AzimabadiHamid Azimabadi
Quote
"dil ko lungaa na dil-rubaa ke evaz muddai aur muddaaa ke evaz us ke kuche mein naqsh-e-paa us ke ban gae khizr rahnumaa ke evaz ye bhi armaan rah gayaa dam-e-nazaa kaash aataa koi qazaa ke evaz yahi iqraar thaa yahi vaada ab jafaa hoti hai vafaa ke evaz mere jiine se kyaa tumhein haasil zahr de do mujhe davaa ke evaz shauq agar aap ko hai mehndi kaa khuun mal lijiye hinaa ke evaz kyaa jahannum mein mujh ko jaanaa hai tum ko chaahun buto khudaa ke evaz tum ko chaahaa yahi qusur huaa do sazaa mujh ko is khataa ke evaz 'haamid'-e-zaar kyaa kahun un se hai duaa lab pe muddaaa ke evaz"
Hamid AzimabadiHamid Azimabadi

More on Dosti

View all →
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba