SHAWORDS

hui aabaad viraani hamaari — Ahmad Waqas

HomeAhmad WaqasGhazal
"hui aabaad viraani hamaari koi samjhe pareshaani hamaari azal ko vaqt hi kitnaa huaa hai chali jaaegi hairaani hamaari use ham se gurezaan hi na kar de ye is darja faraavaani hamaari tumhaari khush-libaasi ke muqaabil jo aae chaak-daamaani hamaari ghazal ko jiine vaale jaante hain bahut mushkil hai aasaani hamaari"
Urdu

ہوئی آباد ویرانی ہماری کوئی سمجھے پریشانی ہماری ازل کو وقت ہی کتنا ہوا ہے چلی جائے گی حیرانی ہماری اسے ہم سے گریزاں ہی نہ کر دے یہ اس درجہ فراوانی ہماری تمہاری خوش لباسی کے مقابل جو آئے چاک دامانی ہماری غزل کو جینے والے جانتے ہیں بہت مشکل ہے آسانی ہماری

Hindi

हुई आबाद वीरानी हमारी कोई समझे परेशानी हमारी अज़ल को वक़्त ही कितना हुआ है चली जाएगी हैरानी हमारी उसे हम से गुरेज़ाँ ही न कर दे ये इस दर्जा फ़रावानी हमारी तुम्हारी ख़ुश-लिबासी के मुक़ाबिल जो आए चाक-दामानी हमारी ग़ज़ल को जीने वाले जानते हैं बहुत मुश्किल है आसानी हमारी

huī ābād vīrānī hamārī
Ahmad Waqas
Ahmad Waqas
Ahmad Waqas
poet9 quotes

More by Ahmad Waqas

View all →
Quote
"vo khvaabon ke aazaar jhele magar baar-e-duniyaa na jhele jo dukh main ne jhele hain allah kare meraa beTaa na jhele duaa hai ki ham-ruh mil jaae har ek ko apnaa apnaa agar jhelnaa bhi paDe koi gham to akelaa na jhele tamaashaa banaane se pahle tumhein ilm thaa dil ke baare ki tanhaai to jhel legaa magar ye tamaashaa na jhele tum aao agar dekhne ke liye apne vahshi ki haalat to pathraai aankhon se bas dekhnaa ye dilaasaa na jhele koi aaine ke chaTakhne pe is darja hairaan kyon ho vo jaadui partav bhalaa kis tarah koi aaina jhele"
Ahmad WaqasAhmad Waqas

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb