"dil jo ummid-vaar hotaa hai tir-e-gham kaa shikaar hotaa hai jab tiraa intizaar hotaa hai dil miraa be-qaraar hotaa hai ye hi fasl-e-junun ki hai tamhid pairahan taar taar hotaa hai aankh milte hi us sitamgar se tiir siine ke paar hotaa hai muskuraahaT labon pe hai un ke dil miraa ashk-baar hotaa hai us kaa karte hain e'tibaar ki jo qaabil-e-e'tibaar hotaa hai uTh ke pahlu se jaa rahaa hai koi kyaa ye parvardigaar hotaa hai kyaa bataaun tiri judaai mein jo miraa haal-e-zaar hotaa hai shaam-e-gham intizaar mein un ke maut kaa intizaar hotaa hai un ke jaane kaa naam sun kar 'raaz' kuchh ajab haal-e-zaar hotaa hai"
husn ki shama ke parvaane chale aate hain — Basheeruddin Raaz
"husn ki shama ke parvaane chale aate hain be-bulaae hue divaane chale aate hain kyaa mire dil ko vo samjhaane chale aate hain yaani aur aag ko sulgaane chale aate hain fasl-e-baada bhi nahin mast ghaTaaein bhi nahin kyon chhalakte hue paimaane chale aate hain dard-e-dil dete hain aur khud ye karam karte hain rone vaalon ko vo samjhaane chale aate hain rahm se khaali nahin mere liye un kaa sitam is dil-e-zaar ko taDpaane chale aate hain tum na aae sitam afsos ayaadat ke liye apne to apne hain begaane chale aate hain koi poshida nahin raaz-e-mohabbat lekin 'raaz' hamraaz ko samjhaane chale aate hain"
حسن کی شمع کے پروانے چلے آتے ہیں بے بلائے ہوئے دیوانے چلے آتے ہیں کیا مرے دل کو وہ سمجھانے چلے آتے ہیں یعنی اور آگ کو سلگانے چلے آتے ہیں فصل بادہ بھی نہیں مست گھٹائیں بھی نہیں کیوں چھلکتے ہوئے پیمانے چلے آتے ہیں درد دل دیتے ہیں اور خود یہ کرم کرتے ہیں رونے والوں کو وہ سمجھانے چلے آتے ہیں رحم سے خالی نہیں میرے لئے ان کا ستم اس دل زار کو تڑپانے چلے آتے ہیں تم نہ آئے ستم افسوس عیادت کے لئے اپنے تو اپنے ہیں بیگانے چلے آتے ہیں کوئی پوشیدہ نہیں راز محبت لیکن رازؔ ہم راز کو سمجھانے چلے آتے ہیں
हुस्न की शम्अ के परवाने चले आते हैं बे-बुलाए हुए दीवाने चले आते हैं क्या मिरे दिल को वो समझाने चले आते हैं या'नी और आग को सुलगाने चले आते हैं फ़स्ल-ए-बादा भी नहीं मस्त घटाएँ भी नहीं क्यों छलकते हुए पैमाने चले आते हैं दर्द-ए-दिल देते हैं और ख़ुद ये करम करते हैं रोने वालों को वो समझाने चले आते हैं रहम से ख़ाली नहीं मेरे लिए उन का सितम इस दिल-ए-ज़ार को तड़पाने चले आते हैं तुम न आए सितम अफ़सोस अयादत के लिए अपने तो अपने हैं बेगाने चले आते हैं कोई पोशीदा नहीं राज़-ए-मोहब्बत लेकिन 'राज़' हमराज़ को समझाने चले आते हैं
More by Basheeruddin Raaz
View all →"kahaan hai apni manzil aur kise manzil samajhte hain na itnaa hosh hai ham ko na ye ai dil samajhte hain mohabbat mein kise aasaan kise mushkil samajhte hain na itni hai samajh ham mein na ye ai dil samajhte hain shab-e-gham ki musibat mein hamaare kaam aataa hai khayaal-e-yaar ko ham mehrbaan-e-dil samajhte hain talaash-e-yaar mein kyon dar-ba-dar ki khaak ham chhaanein ham apne khaana-e-dil ko tiri manzil samajhte hain tumhaare husn-e-dilkash par miTe jaate hain divaane na jaan ko jaan samajhte hain na dil ko dil samajhte hain kuchh aisi raushni hoti hai un ki shaam-e-furqat mein ham apne dil ke daaghon ko mah-e-kaamil samajhte hain"
"jalvon kaa un ke dil ko talab-gaar kar diyaa ai shauq kis balaa mein giraftaar kar diyaa ik ho gayaa izaafa miri zindagi mein aur tum ne jo dil ko maail-e-aazaar kar diyaa dil ki mujhe khabar hai na dil ko miri khabar milte hi aankh kyaa nigah-e-yaar kar diyaa dil-bastagi ke vaaste dil ko lagaayaa thaa ummid hasraton ne ik aazaar kar diyaa rakh li junun ne baat miri un ke saamne har aable se khaar numudaar kar diyaa hain sakhtiyaan baDhi hui zindaan mein aaj-kal do-gaam chalnaa bhi mujhe dushvaar kar diyaa ye kaisaa rog dil ko lagaa intizaar kaa aankhon ko un kaa taalib-e-didaar kar diyaa kis ne karam kiyaa ye mire haal-e-zaar par is be-khudi-e-ishq se hoshyaar kar diyaa main ne chhupaayaa laakh magar ashk-e-gham ne aah ai 'raaz' raaz-e-shauq kaa izhaar kar diyaa"
"agar mujh se miri kuchh aatish-e-gham kam nahin hoti koi tadbir tujh se bhi to chashm-e-nam nahin hoti buraa ho sozish-e-dil kaa buraa ho soz-e-furqat kaa lagi hai aag vo dil mein kabhi jo kam nahin hoti tasavvur ho kisi kaa dil mein yaa raatein judaai ki khalish teri kabhi ai soz-e-furqat kam nahin hoti but-e-kaafir-adaa tujh se tiri tasvir achchhi hai miri rudaad-e-gham sun kar kabhi barham nahin hoti chalein baad-e-khizaan ke raat-din jhonke gulistaan mein mohabbat vo kali hai jis ki khushbu kam nahin hoti karun to kyaa karun tadbir main is soz-e-furqat ki bujhaane par bhi meri aatish-e-gham kam nahin hoti taDapnaa dekhti rahti hai meraa 'raaz' furqat mein shab-e-gham tu bhi qismat se miri hamdam nahin hoti"
"jab majmaa-e-khubaan hotaa hai divaane bahut ho jaate hain jab shama-e-tajalli raushan ho parvaane bahut ho jaate hain parvaane TuuT ke girte hain parvaane bahut ho jaate hain jab chaand gahan se khultaa hai divaane bahut ho jaate hain kahte hue main kuchh Dartaa huun rudaad-e-mohabbat ko apni duniyaa-e-mohabbat mein aise afsaane bahut ho jaate hain kyon husn pe vo maghrur na hon is husn-e-javaani mein apni divaanon ki parvaa kaun kare divaane bahut ho jaate hain har samt ghaTaa chhaa jaati hai har shai se barasti hai masti jab abr-e-karam chhaa jaataa hai mastaane bahut ho jaate hain mai-kash ke liye shisha na sahi saaghar na sahi miinaa na sahi piine kaa iraada jab kar le paimaane bahut ho jaate hain aaraaish-e-mahfil ho ki na ho saamaan-e-tarab kuchh ho ki na ho jab sham-e-mohabbat jalti hai parvaane bahut ho jaate hain jab kaali ghaTaaein chhaati hain aur jaam ko gardish hoti hai piine ke liye maikhaane mein mastaane bahut ho jaate hain ai josh-e-junun vo haal bataa vo dekh ke vahshi khud hi kahein kahne ke liye to ulfat mein divaane bahut ho jaate hain vo pahlu mein jis dam hote hain ik be-khudi taari hoti hai kyaa haal kahein is haal se ham begaane bahut ho jaate hain ham is ki haqiqat ko ab tak aasaan samajhte the lekin ai 'raaz' ye raaz-e-husn hai kyaa divaane bahut ho jaate hain"
"ro ro ke shaam-e-gham mein saveraa kareinge ham ashkon se dil ki aag ko ThanDaa kareinge ham phunkaa hai bijliyon ne nasheman bahaar mein taa-zist is khayaal mein taDpaa kareinge ham le chal junun-e-shauq usi rahguzaar mein naqsh-e-qadam pe dost ke sajda kareinge ham ab aashiyaan ki yaad mein ai shaakh-e-aashiyaan hasrat se yaas se tujhe dekhaa kareinge ham ai 'raaz' dard-e-ishq ko dil mein basaaeinge kuchh apni zindagi mein izaafa kareinge ham"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"