SHAWORDS

ibtidaa dard hai intihaa dard hai — Najma Shaheen Khosa

"ibtidaa dard hai intihaa dard hai ishq kaa dard to laa-davaa dard hai main ne puchhaa vafaa kaa sila jo kabhi us ne hans kar ye mujh se kahaa dard hai pyaar se ishq tak jaa-ba-jaa raushni pyaar se ishq tak jaa-ba-jaa dard hai ye nayaa phuul hai aur ye khushbu nai ye nai shaam hai aur nayaa dard hai zakhm kaisaa hai bhartaa nahin hai kabhi dard hotaa nahin hai ye kyaa dard hai main to Darne lagi us ki taabir se pyaar aankhon mein jab se banaa dard hai ek pal mein kahaan kho gai hai khushi ab to ulfat ki bas ik sazaa dard hai chhoD 'shaahin' vafaa kaa tu ab tazkira bevafaa hai khushi baa-vafaa dard hai"
Urdu

ابتدا درد ہے انتہا درد ہے عشق کا درد تو لا دوا درد ہے میں نے پوچھا وفا کا صلہ جو کبھی اس نے ہنس کر یہ مجھ سے کہا درد ہے پیار سے عشق تک جا بجا روشنی پیار سے عشق تک جا بجا درد ہے یہ نیا پھول ہے اور یہ خوشبو نئی یہ نئی شام ہے اور نیا درد ہے زخم کیسا ہے بھرتا نہیں ہے کبھی درد ہوتا نہیں ہے یہ کیا درد ہے میں تو ڈرنے لگی اس کی تعبیر سے پیار آنکھوں میں جب سے بنا درد ہے ایک پل میں کہاں کھو گئی ہے خوشی اب تو الفت کی بس اک سزا درد ہے چھوڑ شاہیںؔ وفا کا تو اب تذکرہ بے وفا ہے خوشی با وفا درد ہے

Hindi

इब्तिदा दर्द है इंतिहा दर्द है इश्क़ का दर्द तो ला-दवा दर्द है मैं ने पूछा वफ़ा का सिला जो कभी उस ने हँस कर ये मुझ से कहा दर्द है प्यार से इश्क़ तक जा-ब-जा रौशनी प्यार से इश्क़ तक जा-ब-जा दर्द है ये नया फूल है और ये ख़ुश्बू नई ये नई शाम है और नया दर्द है ज़ख़्म कैसा है भरता नहीं है कभी दर्द होता नहीं है ये क्या दर्द है मैं तो डरने लगी उस की ता'बीर से प्यार आँखों में जब से बना दर्द है एक पल में कहाँ खो गई है ख़ुशी अब तो उल्फ़त की बस इक सज़ा दर्द है छोड़ 'शाहीं' वफ़ा का तू अब तज़्किरा बेवफ़ा है ख़ुशी बा-वफ़ा दर्द है

ibtidā dard hai intihā dard hai
Najma Shaheen Khosa
Najma Shaheen Khosa
Najma Shaheen Khosa
poet33 quotes

More by Najma Shaheen Khosa

View all →
Quote
"ye jo ishq-e-masnad ke log hain unhein ramz saare sikhaa piyaa ye junun-e-ishq ki daastaan unhein harf harf sunaa piyaa mire chaaraagar main huun dar-ba-dar main to thak gai hai ajab safar miri be-nishaan si hain manzilein mujhe raasta bhi dikhaa piyaa na hudud mein na quyud mein miraa dil tire hi vajud mein ye sujud kaa hasin pairahan miri ruuh par to sajaa piyaa main to aas thi main to pyaas thi kisi phuul ki main bhi baas thi miri pattiyaan girein jaa-ba-jaa unhein shaakh par to sajaa piyaa main faqir huun main haqir huun kisi khvaab ki na asiir huun main aziiz huun to tujhe hi bas so aziz-tar hi banaa piyaa main falak se aai khataa miri use DhunDnaa hai vafaa miri ye jafaa ki jo hain haqiqatein miri aankh ko vo dikhaa piyaa mire aasmaan mire saaebaan tu hi raaz-daan tu hi mehrbaan jahaan laa-makaan ke hain silsile vahin meraa ghar bhi banaa piyaa ye jo aarzuon kaa des hai ye jo khaak khaak saa bhes hai jo azal abad kaa ye bhed hai use bhed hi mein bataa piyaa ye qadam qadam pe bashaaratein ye nazar nazar mein ziyaaratein ye basaartein ye bujhaartein mire shahr-e-dil ko dikhaa piyaa ye jo mere man mein hai raushni yahi zindagi yahi bandagi miri fikr mein tire zikr mein jo charaagh hain vo jalaa piyaa"
Najma Shaheen KhosaNajma Shaheen Khosa
Quote
"daaimi hai ishq aur ik daaimi aavaaz hai mere kaanon mein abhi tak bas vahi aavaaz hai saath mere raat bhar jo jaagti aavaaz hai kaun jaane ye to meri ruuh ki aavaaz hai hijr ke lamhon mein ab tak ye khabar kab ho saki jaagti huun main yaa koi jaagti aavaaz hai hijr jaise vasl mein us ko sunaa to yuun lagaa maut jaisi zindagi mein zindagi aavaaz hai ajnabi si manzilon ki ajnabi si raah mein ik mukammal khvaab aur ik khvaab si aavaaz hai aane vaale daur mein 'shaahin' rahnaa hai mujhe sab kaheinge ye vahi ik dukh bhari aavaaz hai"
Najma Shaheen KhosaNajma Shaheen Khosa
Quote
"ye ishq ajab lamha-e-tauqir hai jaanaan khud meraa khudaa us ki hi tafsir hai jaanaan jo naam hatheli ki lakiron mein nahin thaa kyuun aaj talak dil pe vo tahrir hai jaanaan us khvaab ki taabir to mumkin hi nahin thi aankhon mein magar us ki hi taasir hai jaanaan maanaa ki tire haathon mein hain phuul abhi tak lekin tire pairon mein jo zanjir hai jaanaan kyaa jaaniye kis roz bikhar jaae kahin bhi is aas ki dil mein jo ik tanvir hai jaanaan ye rog kahin mujh ko hi mismaar na kar de aa lauT kar aa tu hi to iksir hai jaanaan tu hijr mein Duubi hui nayyaa kaa kinaara jivan ki tire paas hi tadbir hai jaanaan ye zakhm judaai ke kabhi silne nahin hain tu jaan le apni yahi taqdir hai jaanaan us aag ke shoalon mein vo phulon kaa tabassum ik sajda-e-be-misl ki tasvir hai jaanaan ab din ki talab hi nahin 'shaahin' mujhe to ik shaam hi ab to miri jaagir hai jaanaan"
Najma Shaheen KhosaNajma Shaheen Khosa
Quote
"zamin mile kahin hamein kahin to aasmaan mile dukhon ki dhuup mein shajar koi to mehrbaan mile tire firaaq mein jiye tire firaaq mein mare chalo ye khvaab hi sahi visaal kaa gumaan mile alam ki shaam aa gai lo mere naam aa gai charaagh le ke raah mein ai kaash mehrbaan mile abhi talak fughaan huun main misaal-e-daastaan huun main mile to ek pal kabhi kahin to kaarvaan mile ajiib se vo rang the sabhi ke haath sang the hamein to ghair bhi sabhi misaal-e-dostaan mile jabin jabin nahin rahi to mah-jabin nahin rahi na log vo kahin mile na tujh ko aastaan mile"
Najma Shaheen KhosaNajma Shaheen Khosa
Quote
"gham ke sunsaan bayaabaan se nikaltaa hi nahin dil miraa dard ke tufaan se sanbhaltaa hi nahin 'ishq ki aatish-e-khaamosh hai kab se raushan magar ehsaas kaa sho'la hai ki jaltaa hi nahin har taraf dhund hai ashkon ki faraavaani se dil-e-betaab saraabon se bahaltaa hi nahin talkhiyaan ahl-e-zamaana se vo jheli hain na puchh dil miraa fasl-e-bahaaraan mein machaltaa hi nahin kab se haalaat-e-zamaana hain digar-gun lekin dil kaa mausam kisi haalat mein badaltaa hi nahin kyaa kahun darpai-e-aazaar hai duniyaa 'shaahin' aadmi qaid-e-zamaana se nikaltaa hi nahin"
Najma Shaheen KhosaNajma Shaheen Khosa

More on Khushi

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid