SHAWORDS

ik nayaa karb mire dil mein janam letaa hai — Hafiz Taib

HomeHafiz TaibGhazal
"ik nayaa karb mire dil mein janam letaa hai qaafila dard kaa kuchh der jo dam letaa hai rang paataa hai mire khun-e-jigar se gul-e-sher sabza-e-fikr miri aankh se nam letaa hai aabru haqq-o-sadaaqat ki baDhaa detaa hai jab bhi suqraat koi saaghar-e-sam letaa hai raat ke saae mein shabnam ke guhar Dhalte hain raat ki kokh se khurshid janam letaa hai zehn be-naam dhundlakon mein bhaTak jaataa hai aaj fankaar jo haathon mein qalam letaa hai jis ko ho daulat-e-ehsaas mayassar 'taaib' chain vo kaar-gah-e-zist mein kam letaa hai"
Urdu

اک نیا کرب مرے دل میں جنم لیتا ہے قافلہ درد کا کچھ دیر جو دم لیتا ہے رنگ پاتا ہے مرے خون جگر سے گل شعر سبزۂ فکر مری آنکھ سے نم لیتا ہے آبرو حق و صداقت کی بڑھا دیتا ہے جب بھی سقراط کوئی ساغر سم لیتا ہے رات کے سائے میں شبنم کے گہر ڈھلتے ہیں رات کی کوکھ سے خورشید جنم لیتا ہے ذہن بے نام دھندلکوں میں بھٹک جاتا ہے آج فن کار جو ہاتھوں میں قلم لیتا ہے جس کو ہو دولت احساس میسر تائبؔ چین وہ کار‌ گۂ زیست میں کم لیتا ہے

Hindi

इक नया कर्ब मिरे दिल में जनम लेता है क़ाफ़िला दर्द का कुछ देर जो दम लेता है रंग पाता है मिरे ख़ून-ए-जिगर से गुल-ए-शे'र सब्ज़ा-ए-फ़िक्र मिरी आँख से नम लेता है आबरू हक़्क़-ओ-सदाक़त की बढ़ा देता है जब भी सुक़रात कोई साग़र-ए-सम लेता है रात के साए में शबनम के गुहर ढलते हैं रात की कोख से ख़ुर्शीद जनम लेता है ज़ेहन बे-नाम धुँदलकों में भटक जाता है आज फ़नकार जो हाथों में क़लम लेता है जिस को हो दौलत-ए-एहसास मयस्सर 'ताइब' चैन वो कार-गह-ए-ज़ीस्त में कम लेता है

ik nayā karb mire dil meñ janam letā hai
Hafiz Taib
Hafiz Taib
Hafiz Taib
poet8 quotes

More by Hafiz Taib

View all →
Quote
"ik dard saa pahlu mein machaltaa hai sar-e-shaam jab chaand jharoke mein nikaltaa hai sar-e-shaam be-naam si ik aag dahak uThti hai dil mein mahtaab jo ThanDak si ugaltaa hai sar-e-shaam kuchh der shafaq phulti hai jaise ufuq par aise hi miraa haal sanbhaltaa hai sar-e-shaam ye dil hai miraa yaa kisi kuTiyaa kaa diyaa hai bujhtaa hai dam-e-subh to jaltaa hai sar-e-shaam bantaa hai vo ik chehra kabhi gul kabhi sho'la saanche mein khayaalon ke jo Dhaltaa hai sar-e-shaam chhaT jaati hai aalaam-e-zamaana ki siyaahi jab daur tiri yaad kaa chaltaa hai sar-e-shaam main duur bahut duur pahunch jaataa huun 'taaib' rukh soch kaa dhaaraa jo badaltaa hai sar-e-shaam"
Hafiz TaibHafiz Taib
Quote
"de tabassum ki khairaat maahaul ko ham ko darkaar hai raushni yaa nabi ek shirin jhalak ek rangin Dalak talkh-o-taarik hai zindagi yaa nabi ai naved-e-masihaa tiri qaum kaa haal iisaa ki bheDon se abtar huaa is ke kamzor aur be-hunar haath se chhin li charkh ne bartari yaa nabi kaam ham ne rakhaa sirf azkaar se teri taalim apnaai aghyaar ne hashr mein munh dikhaaeinge kaise tujhe ham se naa-karda-kaar ummati yaa nabi ruuh viraan hai aankh hairaan hai ek bohraan thaa ek bohraan hai gulshanon shahron qariyon pe hai par-fishaan ek gambhir afsurdagi yaa nabi sach mire daur mein jurm hai aib hai jhuuT fann-e-azim aaj laa-raib hai ek eazaaz hai jahl o be-rah-ravi ek aazaar hai aagahi yaa nabi raazdaan is jahaan mein banaaun kise ruuh ke zakhm jaa kar dikhaaun kise ghair ke saamne kyon tamaashaa banun kyon karun doston ko dukhi yaa nabi ziist ke tapte sahraa pa shaah-e-arab tere ikraam kaa abr barsegaa kab kab hari hogi shaakh-e-tamannaa miri kab miTegi miri tishnagi yaa nabi yaa nabi ab to aashob-e-haalaat ne teri yaadon ke chehre bhi dhundlaa diye dekh le tere 'taaib' ki naghmagari banti jaati hai nauhagari yaa nabi"
Hafiz TaibHafiz Taib

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim
Quote
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"
Mukhtar SiddiquiMukhtar Siddiqui