Quote
"ai shaah-e-be-khudi kabhi divaana kar mujhe jab ho chukun divaana to achchhaa na kar mujhe aankhon ko meri apni basaarat pe naaz ho jab saamne vo aae to andhaa na kar mujhe ab aur kitni baar chalun pul-siraat par vaapas bulaa le phir kabhi paidaa na kar mujhe ai paikar-e-fanaa ye tiraa inzimaam hai dariyaa banaa huun qatre se royaa na kar mujhe mustaghraq-e-junun-e-taayyush mein jab rahun ai raqs-e-zaat sab kaa tamaashaa na kar mujhe rahne na de junun miraa mujh ko sukun se dast-e-shifaa de aur masihaa na kar mujhe"
