Quote
"teri dahliz tak jo aayaa thaa dil hi dil mein to muskuraayaa thaa ek ke baa'd ek chal hi diye jism bhi ruuh saa paraayaa thaa tum jahaan bhi raho adab se raho kuchh buzurgon ne ye sikhaayaa thaa kaise kartaa main dil ki baaton ko mujh pe khaamoshiyon kaa saayaa thaa tu hi mujh ko bataa de ai 'chetan' kaun mere qarib aayaa thaa"
