Quote
"kahaan jaate hain aage shahr-e-jaan se ye bal khaate hue raste yahaan se vahaan ab khvaab-gaahein ban gai hain uThe the aab-dida ham jahaan se zamin apni kahaani kah rahi hai alag andesha-e-sud-o-ziyaan se inhin bante-bigaDte daaeron mein vo chehra kho gayaa hai darmiyaan se uThaa laayaa huun saare khvaab apne tiri yaadon ke bosida makaan se main apne ghar ki chhat par so rahaa huun ki baatein kar rahaa huun aasmaan se vo in aankhon ki mehraabon mein har shab sitaare Taank jaataa hai kahaan se 'rasaa' is aabnaa-e-roz-o-shab mein damakte hain kanval faanus-e-jaan se"
