"dil ho charaagh ho ki sitaara koi to ho qaaem-maqaam yaa'ni tumhaaraa koi to ho kab shor saa uThegaa kab uTTheingi ungliyaan ham hain bhi aur nahin bhi ishaara koi to ho ik surmai uchhaal ho aisi ki jaise shaam din Dubtaa hai din kaa sahaaraa koi to ho teri taraf se koi rukaavaT nahin magar teri tarah se yaad dobaara koi to ho do aansuon mein ek to maanein ki hai jo hai do paaniyon mein paani gavaara koi to ho Thokar hi jhuT-muT ki khaaun Thahar to jaaun ab is gumaan-guzar kaa kinaara koi to ho dil aise ek dil ki binaa aur bhi rakkhein yaa'ni hamaare baa'd hamaaraa koi to ho"
is shaam ke miT jaaeinge aasaar kisi din — Shaheen Abbas
"is shaam ke miT jaaeinge aasaar kisi din kuchh khvaab ki ho jaaeinge bekaar kisi din girti hui divaar se dil aise milaa hai main aap bhi ho saktaa huun mismaar kisi din is paar se jo phuul mire saath bahe the utreinge mire saath hi us paar kisi din khaamosh tujhe dekh ke khaamosh huaa huun aakhir ko to honaa thi ye takraar kisi din marzi na miri puchh kured itnaa na mujh ko tujh se bhi na kar baiThun main inkaar kisi din kis shaam-e-judaai ne pakaD rakkhaa hai dil ko bolein to mire saabit-o-sayyaar kisi din rakhnaa hi paDegaa hamein divaar kaa dil bhi ho jaaeinge ham naqsh-ba-divaar kisi din"
اس شام کے مٹ جائیں گے آثار کسی دن کچھ خواب کہ ہو جائیں گے بے کار کسی دن گرتی ہوئی دیوار سے دل ایسے ملا ہے میں آپ بھی ہو سکتا ہوں مسمار کسی دن اس پار سے جو پھول مرے ساتھ بہے تھے اتریں گے مرے ساتھ ہی اس پار کسی دن خاموش تجھے دیکھ کے خاموش ہوا ہوں آخر کو تو ہونا تھی یہ تکرار کسی دن مرضی نہ مری پوچھ کرید اتنا نہ مجھ کو تجھ سے بھی نہ کر بیٹھوں میں انکار کسی دن کس شام جدائی نے پکڑ رکھا ہے دل کو بولیں تو مرے ثابت و سیار کسی دن رکھنا ہی پڑے گا ہمیں دیوار کا دل بھی ہو جائیں گے ہم نقش بہ دیوار کسی دن
इस शाम के मिट जाएँगे आसार किसी दिन कुछ ख़्वाब कि हो जाएँगे बेकार किसी दिन गिरती हुई दीवार से दिल ऐसे मिला है मैं आप भी हो सकता हूँ मिस्मार किसी दिन इस पार से जो फूल मिरे साथ बहे थे उतरेंगे मिरे साथ ही उस पार किसी दिन ख़ामोश तुझे देख के ख़ामोश हुआ हूँ आख़िर को तो होना थी ये तकरार किसी दिन मर्ज़ी न मिरी पूछ कुरेद इतना न मुझ को तुझ से भी न कर बैठूँ मैं इंकार किसी दिन किस शाम-ए-जुदाई ने पकड़ रक्खा है दिल को बोलें तो मिरे साबित-ओ-सय्यार किसी दिन रखना ही पड़ेगा हमें दीवार का दिल भी हो जाएँगे हम नक़्श-ब-दीवार किसी दिन

More by Shaheen Abbas
View all →"khvaabida hain is lams mein imkaan kuchh aise main harf-e-digar huun mujhe pahchaan kuchh aise is baar sabhi chup hain mujhe rokne vaale main sab ko kiye jaataa huun hairaan kuchh aise ye jaise mire rang-e-ravaan ki nigaraan hai har aan miraa dhuup mein hai dhyaan kuchh aise main jaise koi khaak-ba-sar khvaab-e-safar huun raste mein paDaa hai miraa saamaan kuchh aise ham fard-e-junun khol ke mushkil mein na paD jaaein is fard mein kar rakkhi hai mizaan kuchh aise aainon ke is karb mein ham apni kahein kyaa aaina hai aaine pe hairaan kuchh aise"
"ye khvaab kyaa hai miri aankh mein ubhartaa huaa ghubaar uDtaa huaa vaqt saa guzartaa huaa vo bebasi hai ki har zakhm bhar gayaa jaise main ro na duun tire ziine se yuun utartaa huaa zamin ke paas bhi koi javaab hai ki nahin yahaan tak aa to gayaa huun savaal kartaa huaa supurdagi ki adaa bhi hai aur khabar bhi nahin main kaun huun tiri aavaaz par Thahartaa huaa udhar vo mere ujaale kaa muntazir hai aur idhar main apne sitaare pe shaam kartaa huaa"
"raushni jaise kisi shaam ke aane se hui khaak daryaaft miri khaak uDaane se hui rang phir aae nahin mauj mein pahle ki tarah aisi tasvir muakhkhar tire jaane se hui tu ne chup saadh li mauzu'-e-mohabbat de kar guftugu tujh se jo honi thi zamaane se hui thaa magar aisaa akelaa main kahaan thaa pahle meri tanhaai mukammal tire aane se hui apne baare mein vo ik baat jo hoti nahin thi teri aavaaz mein aavaaz milaane se hui"
"naqsh kartaa ram-o-raftaar inaan-gir ko main kaisaa chhankaataa huaa chaltaa huun zanjir ko main ghaib-o-ghaflat kaa idhar jashn manaa luun to chalun abhi taakhir samajhtaa nahin taakhir ko main khaamushi meri kuchh aisi hadaf aagaah nahin baat be-baat chalaa detaa huun is tiir ko main saatvaan din magar achchhaa nahin guzraa meraa chhe din ulTaataa rahaa parda-e-taamir ko main mauj-e-khun mujh se bas ab shaam ki duuri par hai kitne din aur bachaa saktaa huun shamshir ko main darmiyaan meraa ilaaqa hai bataaun na bataaun ek tasvir kaa dukh dusri tasvir ko main phir vo satr aati hai jab asal likhi jaati hai mujh ko tahrir miTaa aati hai tahrir ko main kahaan le jaane ko thi paanv ki zanjir mujhe kahaan le aayaa magar paanv ki zanjir ko main nazm ho baiThaa huun aahang-daron ke haathon nazm kartaa huaa ik naala-e-shab-gir ko main"
"is gali mein kuchh nahin bas ghaTtaa baDhtaa shor hai ik makin ki khaamushi hai ik makaan kaa shor hai shaam-e-shor-angez ye sab kyaa hai be-hadd-o-hisaab itni aavaazein nahin duniyaa mein jitnaa shor hai ek mazmun hai par aapas mein sabaq miltaa nahin apni apni khaamushi hai apnaa apnaa shor hai naql karti hai mire chalte mein viraani miri ye jo mere shor-e-paa se miltaa-jultaa shor hai main ye kyaa yaktaa-e-hangaama huun apne chaar-su kyaa akeli haa-o-hu hai kaisaa tanhaa shor hai khaali dil phir khaali dil hai khaali ghar ki bhi na puchh achchhe khaase log hain aur achchhaa-khaasaa shor hai saamne ki yaad juDti hai bahut pichhe kahin sab 'aqab se aa rahaa hai aage jitnaa shor hai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"