Quote
"dil nahin hai to justuju bhi nahin ab koi shahr-e-aarzu bhi nahin ishq aazaad hai kashaakash se naama-bar bhi nahin adu bhi nahin haal-o-ahvaal kuchh nahin maalum ek muddat se guftugu bhi nahin har havaala nai kitaab se hai koi aizan koi hamu bhi nahin mehrbaan hai to apne matlab se varna vo aisaa narm-khu bhi nahin ab bas aankhon se dil nikal aae ashk bhi khushk hain lahu bhi nahin haq-o-baatil ki baat hi kyaa hai tegh ko haibat-e-gulu bhi nahin aakhir-e-kaar kuchh to TuTegaa shart-e-tauba bhi hai subu bhi nahin"
