"jab meraa ghar bahisht si gul-vaadiyon mein thaa us vaqt main ghiraa huaa shahzaadiyon mein thaa vo din havaa hue vo zamaane guzar gae bande kaa jab qayaam pari-zaadiyon mein thaa yak baar jo ujaD gae baste hue nagar lagtaa hai koi bhuut bhi in vaadiyon mein thaa baiThaa thaa jis pe main ne vahi shaakh kaaT di khud meraa haath hi miri barbaadiyon mein thaa sad shukr hai ki mujh pe nigaah-e-karam paDi kab se udaas baiThaa main fariyaadiyon mein thaa apne banaae jaal mein khud phans ke rah gayaa masruf meraa yaar jo ustaadiyon mein thaa 'hasrat' zaraa si bhuul hamein qaid kar gai vo lutf ab kahaan hai jo aazaadiyon mein thaa"
ishq janmon kaa hai safar shaayad — Ajeet Singh Hasrat
"ishq janmon kaa hai safar shaayad khatm hogaa na umr bhar shaayad aaj kachchaa ghaDaa hai naav miri paar lag jaaun Duub kar shaayad harf-e-matlab sunaa ke ro denaa kaam kar jaae chashm-e-tar shaayad khud ko ham baarhaa pukaar aae aaj ham bhi nahin the ghar shaayad aur karni hai justuju apni aur phirnaa hai dar-ba-dar shaayad kaun paagal ko ku-ba-ku DhunDe phir rahaa ho nagar nagar shaayad shab gae uTh ke yaad kar us ko yuun duaaon mein ho asar shaayad aa ke manzil pe so gayaa raahi khatm hai bas yahin safar shaayad ban sanvar kar rahaa karo 'hasrat' us ki paD jaae ik nazar shaayad"
عشق جنموں کا ہے سفر شاید ختم ہوگا نہ عمر بھر شاید آج کچا گھڑا ہے ناؤ مری پار لگ جاؤں ڈوب کر شاید حرف مطلب سنا کے رو دینا کام کر جائے چشم تر شاید خود کو ہم بارہا پکار آئے آج ہم بھی نہیں تھے گھر شاید اور کرنی ہے جستجو اپنی اور پھرنا ہے در بدر شاید کون پاگل کو کو بہ کو ڈھونڈے پھر رہا ہو نگر نگر شاید شب گئے اٹھ کے یاد کر اس کو یوں دعاؤں میں ہو اثر شاید آ کے منزل پہ سو گیا راہی ختم ہے بس یہیں سفر شاید بن سنور کر رہا کرو حسرتؔ اس کی پڑ جائے اک نظر شاید
इश्क़ जन्मों का है सफ़र शायद ख़त्म होगा न उम्र भर शायद आज कच्चा घड़ा है नाव मिरी पार लग जाऊँ डूब कर शायद हर्फ़-ए-मतलब सुना के रो देना काम कर जाए चश्म-ए-तर शायद ख़ुद को हम बारहा पुकार आए आज हम भी नहीं थे घर शायद और करनी है जुस्तुजू अपनी और फिरना है दर-ब-दर शायद कौन पागल को कू-ब-कू ढूँडे फिर रहा हो नगर नगर शायद शब गए उठ के याद कर उस को यूँ दुआओं में हो असर शायद आ के मंज़िल पे सो गया राही ख़त्म है बस यहीं सफ़र शायद बन सँवर कर रहा करो 'हसरत' उस की पड़ जाए इक नज़र शायद

More by Ajeet Singh Hasrat
View all →"dhuaan sifat huun khalaaon kaa hai safar mujh ko uDaa rahi hain havaaein idhar udhar mujh ko main us ki aankh se gir kar vajud kho baiThaa vo DhunDhtaa hai bhalaa kyuun Dagar Dagar mujh ko javaan hon hausle jis ke vo mere saath chale kaDakti dhuup mein sahraa kaa hai safar mujh ko badan ko chhoD ke teri talaash mein niklaa na rok paaeinge raste mein bahr-o-bar mujh ko abhi kuchh aur tiri justuju rulaaegi abhi kuchh aur bhaTaknaa hai dar-ba-dar mujh ko vo shokh shokh si panhaariyaan kidhar ko gaiin udaas kar gai panghaT ki rahguzar mujh ko junun ke adnaa ishaare pe chaunk jaataa huun khirad ki baat kaa hotaa nahin asar mujh ko main aasmaan ki bulandi ko raund aayaa huun zamin vaalon ne samjhaa shikasta-par mujh ko usi ne yaad dilaai hai aaj gautam ki rishi lagaa hai ye sukhaa huaa shajar mujh ko miTaa rahe hain mujhe mere qaari-o-naaqid kisi ne samjhaa kahaan harf-e-mo'tabar mujh ko main apne vaqt kaa mansur bhi nahin 'hasrat' ye log kis liye laae hain daar par mujh ko"
"ghonsle raakh ho gae jal ke miT gae sab nishaan jangal ke aag barsaa ke uD gayaa baadal par nikal aae muue baadal ke chithDe oDh kar jo sotaa huun khvaab aate hain mujh ko makhmal ke saanp un se lipaT gae aksar ham ne boe the peD sandal ke jis mein insaaniyat nahin rahti ham darinde hain aise jangal ke jo havaa par savaar ho saahab kab vo chaltaa hai saath paidal ke aao bachchon kaa ehtiraam karein ye to vaaris hain saahibo kal ke apnaa haq baDh ke chhin lo yaaro yuun dikhaao na haath mal mal ke kuchh bataataa nahin tiraa 'hasrat' jaane ab dil mein kyaa hai paagal ke"
"guzre jidhar se nuur bikhere chale gae vo ham-safar hue to andhere chale gae ab main huun aur shiddat-e-gham ki hai tez dhuup un gesuon ke saae ghanere chale gae mere tafakkuraat ko Dasti rahi thi jo naagin chali gai vo sapere chale gae ummid ke shajar pe vo halchal nahin rahi chiDiyaan gaiin to rain basere chale gae andhe safar ko ghar se main niklaa thaa dosto aai jab un ki yaad andhere chale gae aatish ne mere ghar ko jalaayaa to kyaa huaa kuchh der ke liye to andhere chale gae 'hasrat' main be-qaraar huun luTne ke vaaste jaane kahaan hasin luTere chale gae"
"zamaane ho gae tere karam ki aas lagi qarib-e-mai-kada sahraa si mujh ko pyaas lagi lahu rulaate hain mujh ko suhaavne manzar chaTakti chaandni tere binaa udaas lagi na us mein mai hai na paani to pyaas kaise bujhe ye zindagi mujhe TuuTaa huaa gilaas lagi ye garm garm se aansu bataa rahe hain yahi zarur aag kahin dil ke aas-paas lagi yahaan to koi bhi maalik nahin mire saahab tamaam khalq mujhe khvaahishon ki daas lagi jahez naam hi se rang uD gayaa us kaa gharib baap ki beTi jahaan-shanaas lagi kaDakti dhuup mein chal to paDi dulhan 'hasrat' qadam qadam pe use raaste mein pyaas lagi"
"ye kis liye hai tu itnaa udaas darvaaze pahan liyaa hai jo kaalaa libaas darvaaze tu shaam-rang huaa jaa rahaa hai subh se kyuun jhalakti hai tiri surat se yaas darvaaze nihaarte ho ye kis kis ko nim-vaa ho kar paraae des mein kaisi ye aas darvaaze hinaai haath ke vo lams chhin gae jin se bane hue hain saraapaa sipaas darvaaze makin makaan mein na hogaa to phir kahaan hogaa yahin kahin hai tire aas-paas darvaaze libaas aur hai lekin main koi aur nahin mujhe tu bhuul gayaa ru-shanaas darvaaze mujhe bhi hairat-o-'hasrat' ne but banaa Daalaa tujhe bhi zindagi aai na raas darvaaze"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"