Quote
"khizaan chaman mein yuun mastaanaa-vaar guzri hai gumaan ye hotaa hai jaise bahaar guzri hai fazaa udaas gali muzmahil chaman paamaal bahaar ab ke khizaan darkinaar guzri hai abhi vahi kahin guzre na hon udhar ho kar shamim-bez havaa itr-baar guzri hai zahe tasavvur-e-jaanaan zahe khayaal-e-jamaal har ek saans miri mushk-baar guzri hai tire karam se hamesha rahaa hai dil shaadaab mire chaman se hamesha bahaar guzri hai lubhaa sakegi mujhe kyaa kisi ki raanaai miri nazar se tumhaari bahaar guzri hai inaayat aap ki vajh-e-sukun to hai lekin main kyaa karun ki tabiat pe baar guzri hai guzar rahi hai 'mubaarak' guzar hi jaaegi vo zindagi jo bahut naagavaar guzri hai"
