SHAWORDS

ishq se main Dar chukaa thaa Dar chukaa to tum mile — Aurang Zeb

HomeAurang ZebGhazal
"ishq se main Dar chukaa thaa Dar chukaa to tum mile dil to kab kaa mar chukaa thaa mar chukaa to tum mile jab main tanhaa ghaT rahaa thaa tab kahaan thi zindagi dil bhi gham se bhar chukaa thaa bhar chukaa to tum mile be-qaraari phir mohabbat phir se dhoka ab nahin faisla main kar chukaa thaa kar chukaa to tum mile main to samjhaa sab se baDh kar matlabi thaa main yahaan khud pe tohmat dhar chukaa thaa dhar chukaa to tum mile"
Urdu

عشق سے میں ڈر چکا تھا ڈر چکا تو تم ملے دل تو کب کا مر چکا تھا مر چکا تو تم ملے جب میں تنہا گھٹ رہا تھا تب کہاں تھی زندگی دل بھی غم سے بھر چکا تھا بھر چکا تو تم ملے بے قراری پھر محبت پھر سے دھوکہ اب نہیں فیصلہ میں کر چکا تھا کر چکا تو تم ملے میں تو سمجھا سب سے بڑھ کر مطلبی تھا میں یہاں خود پہ تہمت دھر چکا تھا دھر چکا تو تم ملے

Hindi

इश्क़ से मैं डर चुका था डर चुका तो तुम मिले दिल तो कब का मर चुका था मर चुका तो तुम मिले जब मैं तन्हा घट रहा था तब कहाँ थी ज़िंदगी दिल भी ग़म से भर चुका था भर चुका तो तुम मिले बे-क़रारी फिर मोहब्बत फिर से धोका अब नहीं फ़ैसला मैं कर चुका था कर चुका तो तुम मिले मैं तो समझा सब से बढ़ कर मतलबी था मैं यहाँ ख़ुद पे तोहमत धर चुका था धर चुका तो तुम मिले

ishq se maiñ Dar chukā thā Dar chukā to tum mile
Aurang Zeb
Aurang Zeb
Aurang zeb
poet27 quotes

More by Aurang Zeb

View all →
Quote
"havas ne mujh se puchhaa thaa tumhaaraa kyaa iraada hai badan kaar-e-mohabbat mein baraae istifaada hai kabhi pahnaa nahin us ne mire ashkon kaa pairaahan udaasi meri aankhon mein azal se be-libaada hai bhaDak kar shoala-e-vahshat lahu mein bujh gayaa hogaa zaraa si aag thi lekin dhuaan kitnaa ziyaada hai agar tum ghaur se dekho rukh-e-mahtaab kam paD jaae falak par ik sitaare ki jabin itni kushaada hai mujhe maskan samajhte hain ajab aaseb hain gham ke main ik do se nimaT bhi luun ye puuraa khaanvaada hai use dhande se matlab hai vo dimak bechne vaalaa use vo khaak samjhegaa ye khvaabon kaa buraada hai ham us se chaah kar bhi bach nahin sakte kisi surat nibhaanaa paDtaa hai is ko mohabbat ek vaada hai mujhe shatranj ke khaanon mein chalnaa tu sikhaaegaa main farzi ban chukaa kab kaa tu ab tak ik piyaada hai na-jaane kaatib-e-taqdir ne kyaa likh diyaa us par miri taqdir kaa safha na sidhaa hai na saada hai main is haalat mein 'zeb' aakhir kahaan chalte hue jaaun na mujh mein hausla baaqi na manzil hai na jaada hai"
Aurang ZebAurang Zeb
Quote
"nahin ye jiit nahin hai tu is ko maat samajh ki tere saath yahaan ho gayaa hai haath samajh main apne payaade se teraa vazir maarungaa ba-ghaur dekh miri chaal vaardaat samajh kisi kisi pe hi khulte hain pech-o-kham mere main itnaa sahl nahin meri mushkilaat samajh mohabbat itni riaayat nahin diyaa karti agar vo hans ke bhi dekhe to iltifaat samajh miri kahaani tire chehre par likhi hui hai main aaina huun mujhe dekh aur baat samajh dafina jaan in aankhon ko hijr mein us ke jo in mein ashk hain pinhaan navaadiraat samajh guzar chukaa hai agar tu sin-e-bulughat se tu apne jism ko ab vaajibuzzakaat samajh nazar ko ek hi nuqte pe murtakiz kar le dil-o-nigaah ki uljhan ko ek saath samajh dhaDak rahaa hai ye kis shakhs ki mohabbat mein samajh mein aaein to dil ke muaamalaat samajh ye chalte-phirte hue but hain aadmi to nahin zamin pe chaar-su barpaa hai somnaat samajh ik ek lafz alaamat hai husn-e-fitrat ki ye shaairi hai so is ki jamaaliyaat samajh ruke hue bhi safar kar rahi hai khaak miri guzar rahi hai guzaare binaa hayaat samajh khuli hai jab se tiri kina-parvari mujh par to aa gai hai mujhe ek ek baat samajh tujhe ye ishq ki jaanib dhakel saktaa hai samajh rahaa hai to dil ko bhi dost ghaat samajh jo mujh pe biitaa hai main ne vahi likhaa hai 'zeb' tu mere sheron ko bas mere tajrabaat samajh"
Aurang ZebAurang Zeb
Quote
"aam raste se haT ke aayaa huun saari duniyaa se kaT ke aayaa huun meri vusat tujhe Daraa deti apne andar simaT ke aayaa huun koi taaza sitam ki main pichhle haadson se nimaT ke aayaa huun haan mohabbat to maar deti hai ye kahaani main raT ke aayaa huun meri haalat se maap raste ko main kahaan se palaT ke aayaa huun raah-e-gham ab Daraa nahin sakti gham se hi to lipaT ke aayaa huun us ki shaakhon pe phal nahin lagtaa jis shajar se main kaT ke aayaa huun koi surat nahin hai juDne ki itne TukDon mein baT ke aayaa huun"
Aurang ZebAurang Zeb
Quote
"aa kar uruuj kaise giraa hai zavaal par hairaan ho rahaa huun sitaaron ki chaal par ik ashk bhi Dhalak ke dikhaae ab aankh se main sabr kar chukaa huun tumhaare khayaal par aa aa ke us mein machhliyaan hoti rahin faraar hansti hai jal-pari bhi machheron ke jaal par maayus ho ke dekhnaa kyaa aasmaan ko uDne kaa shauq hai to miri jaan nikaal par main tang aa chukaa huun ki samjhaaun kis tarah ik roz chhoD dungaa tujhe tere haal par kuchh yaad hai ki main ne banaae the tere naqsh phir itnaa naaz kyuun hai tujhe khadd-o-khaal par misl-e-gulaab aap jo mahke hain baagh mein bosa vasul kijiye titli kaa gaal par tafriq kis tarah se karoge yahaan pe 'zeb' insaan likhaa huaa hai darindon ki khaal par"
Aurang ZebAurang Zeb

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb