SHAWORDS

jab koi letaa hai mere saamne naam-e-ghazal — Amjad Najmi

HomeAmjad NajmiGhazal
"jab koi letaa hai mere saamne naam-e-ghazal yaad aataa hai mujhe ik naazuk-andaam-e-ghazal us harim-e-naaz us khalvat-saraa-e-raaz mein baarhaa jazbaat ne baandhaa hai ehraam-e-ghazal ek rashk-e-maah kaa main kar rahaa huun tazkira aasmaan se kyuun na ho unchaa miraa baam-e-ghazal mai-kada bhi guunj uTThaa shor-e-noshaa-nosh se kis qadar hai kaif-aavar ye miraa jaam-e-ghazal nau-ba-nau taaza-ba-taaza jalva-e-shaadaab-e-husn kar sake kis tarah aakhir koi itmaam-e-ghazal aks-e-zan ho jis ke dil mein partav-e-rangin-e-yaar kaun kah saktaa hai 'najmi' us ko naakaam-e-ghazal dekhte hain gosha-e-chashm-e-hayaa se vo mujhe mil rahaa hai aaj 'najmi' mujh ko inaam-e-ghazal"
Urdu

جب کوئی لیتا ہے میرے سامنے نام غزل یاد آتا ہے مجھے اک نازک اندام‌ غزل اس حریم ناز اس خلوت سرائے راز میں بارہا جذبات نے باندھا ہے احرام غزل ایک رشک ماہ کا میں کر رہا ہوں تذکرہ آسماں سے کیوں نہ ہو اونچا مرا بام غزل مے کدہ بھی گونج اٹھا شور نوشا نوش سے کس قدر ہے کیف آور یہ مرا جام غزل نوع بہ نوع تازہ بہ تازہ جلوۂ شاداب حسن کر سکے کس طرح آخر کوئی اتمام غزل عکس زن ہو جس کے دل میں پرتو رنگین یار کون کہہ سکتا ہے نجمیؔ اس کو ناکام غزل دیکھتے ہیں گوشۂ‌ چشم حیا سے وہ مجھے مل رہا ہے آج نجمیؔ مجھ کو انعام غزل

Hindi

जब कोई लेता है मेरे सामने नाम-ए-ग़ज़ल याद आता है मुझे इक नाज़ुक-अंदाम-ए-ग़ज़ल उस हरीम-ए-नाज़ उस ख़लवत-सरा-ए-राज़ में बारहा जज़्बात ने बाँधा है एहराम-ए-ग़ज़ल एक रश्क-ए-माह का मैं कर रहा हूँ तज़्किरा आसमाँ से क्यूँ न हो ऊँचा मिरा बाम-ए-ग़ज़ल मय-कदा भी गूँज उट्ठा शोर-ए-नोशा-नोश से किस क़दर है कैफ़-आवर ये मिरा जाम-ए-ग़ज़ल नौ-ब-नौ ताज़ा-ब-ताज़ा जलवा-ए-शादाब-ए-हुस्न कर सके किस तरह आख़िर कोई इत्माम-ए-ग़ज़ल अक्स-ए-ज़न हो जिस के दिल में परतव-ए-रंगीन-ए-यार कौन कह सकता है 'नजमी' उस को नाकाम-ए-ग़ज़ल देखते हैं गोशा-ए-चश्म-ए-हया से वो मुझे मिल रहा है आज 'नजमी' मुझ को इनआ'म-ए-ग़ज़ल

jab koī letā hai mere sāmne nām-e-ġhazal
Amjad Najmi
Amjad Najmi
Amjad Najmi
poet32 quotes

More by Amjad Najmi

View all →
Quote
"dekh kar ham ko asir-e-aarzu aur bhi vo ho gae begaana-khu phaaD Daalaa dast-e-vahshat ne jise phir karein kyaa is garebaan kaa rafu phir sajaao mahfil-e-daar-o-rasan muztarib hai phir zabaan-e-guftugu gar ziyaada se ziyaada hon gunah kam nahin hai aayat-e-laa-taqnatu mujh ko Dar lagtaa hai apne shahr mein hain bahut unche yahaan ke kaakh-o-ku jab bhi rut aati hai patjhaD ki yahaan chuus leti hai bahaaron kaa lahu rah ke 'najmi' ne pas-e-parda yahaan kar diyaa hai sab ko mahv-e-justuju"
Amjad NajmiAmjad Najmi
Quote
"bulbul-e-rangin-navaa khaamosh hai baagh ki saari fazaa khaamosh hai gul khilaae us ne kyaa kyaa baagh mein phir bhi kis darja sabaa khaamosh hai aarzu jin ki thi mujh ko mil gae ab zabaan-e-iltijaa khaamosh hai be-kasi ye kis ne li teri panaah gor kaa kis ki diyaa khaamosh hai shorish-e-dil shorish-e-mahshar nahin zindagi apni bhi kyaa khaamosh hai sochti hai jaa ke ye barse kahaan mere ashkon ki ghaTaa khaamosh hai kis ko jiine ki tamannaa hai yahaan kyuun lab-e-mojiz-numaa khaamosh hai husn-e-dilkash kaa bhi kyaa andaaz hai naaz goyaa hai adaa khaamosh hai hai yahaan 'najmi' usi kaa shor-o-ghul go ba-zaahir vo sadaa khaamosh hai"
Amjad NajmiAmjad Najmi
Quote
"sarguzisht-e-gham ko mohtaaj-e-bayaan paataa huun main kyon zabaan-e-shauq ko ab be-zabaan paataa huun main hai vahi kaifiyyat-e-be-taabi-e-mauj-e-nazar husn ke jalvon ko bahr-e-bekaraan paataa huun main daastaan-e-ishq meri zinat-e-kaun-o-makaan jis ke kuchh TukDe yahaan aur kuchh vahaan paataa huun main ishq ban kar kholtaa huun husn ke sar-basta raaz fitrat-e-aalam kaa khud ko tarjumaan paataa huun main apni hasti kaa mujhe ehsaas jab se ho chalaa sar ko apne dosh par baar-e-garaan paataa huun main har shikast-e-aarzu hai taaza-tar tamhid-e-shauq aur kuchh ab apni himmat ko javaan paataa huun main khizr-e-rah bantaa chalaa har sang-e-zer-e-paa miraa Thokarein khaa khaa ke manzil kaa nishaan paataa huun main maavaraa-e-qaid-e-rang-o-bu hai imkaan-e-nigaah daaman-e-sahraa mein husn-e-gulsitaan paataa huun main kis qadar unchi hai 'najmi' meri parvaaz-e-khayaal har zamin-e-sher ko ab aasmaan paataa huun main"
Amjad NajmiAmjad Najmi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari