"fitna-pardaazi adu kaa naam hai naam 'rahbar' kaa yunhi badnaam hai ranj-o-gham mein bhi hamein bakhshaa sukun zindagi bar-dosh mai kaa jaam hai piine vaalon ko saliqa hi nahin mai-kada to muft mein badnaam hai teri aamad aamad-e-subh-e-bahaar teraa jaanaa zindagi ki shaam hai tujh se mil kar ab khulaa ham par ye raaz hijr mein tere bahut aaraam hai maut aankhein khol degi ek din tishna-e-hasti baraae naam hai jal rahe hain muft mein ahl-e-hasad ham ko to mashq-e-sukhan se kaam hai pursish-e-bimaar-e-gham ab hai abas zindagi kaa maut hi anjaam hai is ghazal ki daad ye 'rahbar' mili aaj har lab par tumhaaraa naam hai"
jab se saaqi ne diyaa hai jaam mere haath mein — Rahbar Jadeed
"jab se saaqi ne diyaa hai jaam mere haath mein hai nizaam-e-gardish-e-ayyaam mere haath mein kyaa nahin hai ai dil-e-naakaam mere haath mein ranj mere haath mein aalaam mere haath mein kaun jaane kis ke rangin khvaab kaa ho ye mahal aa gayaa ik naama-e-gumnaam mere haath mein jab hai mujh ko saaqi-e-gulfaam ki sohbat nasib kyon na ho phir raahat-o-aalaam mere haath mein zindagi mein jab bhi main ne mai-kade kaa rukh kiyaa aa gayaa lahraa ke aksar jaam mere haath mein un ke hisse mein masarrat ki bahaarein aa gaiin aa gayaa sarmaaya-e-aalaam mere haath mein mere qadmon mein hain ab donon jahaan ki neamatein aa gayaa hai jab se 'rahbar' jaam mere haath mein"
جب سے ساقی نے دیا ہے جام میرے ہاتھ میں ہے نظام گردش ایام میرے ہاتھ میں کیا نہیں ہے اے دل ناکام میرے ہاتھ میں رنج میرے ہاتھ میں آلام میرے ہاتھ میں کون جانے کس کے رنگیں خواب کا ہو یہ محل آ گیا اک نامۂ گمنام میرے ہاتھ میں جب ہے مجھ کو ساقیٔ گلفام کی صحبت نصیب کیوں نہ ہو پھر راحت و آلام میرے ہاتھ میں زندگی میں جب بھی میں نے میکدے کا رخ کیا آ گیا لہرا کے اکثر جام میرے ہاتھ میں ان کے حصے میں مسرت کی بہاریں آ گئیں آ گیا سرمایۂ آلام میرے ہاتھ میں میرے قدموں میں ہیں اب دونوں جہاں کی نعمتیں آ گیا ہے جب سے رہبرؔ جام میرے ہاتھ میں
जब से साक़ी ने दिया है जाम मेरे हाथ में है निज़ाम-ए-गर्दिश-ए-अय्याम मेरे हाथ में क्या नहीं है ऐ दिल-ए-नाकाम मेरे हाथ में रंज मेरे हाथ में आलाम मेरे हाथ में कौन जाने किस के रंगीं ख़्वाब का हो ये महल आ गया इक नामा-ए-गुमनाम मेरे हाथ में जब है मुझ को साक़ी-ए-गुलफ़ाम की सोहबत नसीब क्यों न हो फिर राहत-ओ-आलाम मेरे हाथ में ज़िंदगी में जब भी मैं ने मय-कदे का रुख़ किया आ गया लहरा के अक्सर जाम मेरे हाथ में उन के हिस्से में मसर्रत की बहारें आ गईं आ गया सरमाया-ए-आलाम मेरे हाथ में मेरे क़दमों में हैं अब दोनों जहाँ की ने'मतें आ गया है जब से 'रहबर' जाम मेरे हाथ में

More by Rahbar Jadeed
View all →"kaise kaise is duniyaa mein bhes banaa kar aae log ab pahchaane hi nahin jaate apne aur paraae log gham kaa bojh uThaate kab tak aakhir raahat paane ko aur kahaan jaate vo uTh kar mai-khaane mein aae log khelnaa chaaho tum bhi khelo lekin itnaa yaad rahe khuun ki holi khel ke aksar duniyaa mein pachhtaae log be-maqsad bhi ban jaate hain afsaane is duniyaa mein dushman ho jaate hain aksar apne hi hamsaae log un kaa jaur vahi hai ab tak un kaa taur vahi ab tak haal hamaaraa dekh ke ab to 'rahbar' sab ghabraae log"
"aaj gulshan ki fazaa pur-khaar hai tere baghair saans lenaa bhi mujhe dushvaar hai tere baghair mai-kadon mein zindagi kaa raqs jaari hai to ho mujh ko mai-noshi se lekin aar hai tere baghair chaand taaron kaa tabassum bhi mujhe hai naagavaar sach to ye hai zindagi be-kaar hai tere baghair ik tire hone se rahtaa thaa mire dil ko qaraar ab magar ranj-o-mehan se pyaar hai tere baghair khaa rahaa huun har qadam par Thokarein shaam-o-sahar zindagi ki raah naa-hamvaar hai tere baghair mujh ko dam bhar bhi sukun haasil nahin hotaa kahin sach to ye hai zindagi dushvaar hai tere baghair aa miri ujDi hui duniyaa ko phir aabaad kar aa ki meri zindagi be-kaar hai tere baghair"
"baat bhi un se kar nahin aati aankh bhi apni bhar nahin aati maut aati hai dahr mein sab ko aashiqon ko magar nahin aati jaan to apni aa gai lab par koi un ki khabar nahin aati mai se bhi gham ghalat nahin hotaa taba ab mauj par nahin aati naa-umidi ki ab ye surat hai koi ummid bar nahin aati naama-bar ki bhi ho khabar yaa-rab koi us ki khabar nahin aati jo duaa su-e-arsh jaati hai ho ke phir baa-asar nahin aati kis tavaqqo pe ham jiein 'rahbar' ik tamanna bhi bar nahin aati"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"