SHAWORDS

javaab chikh uThe hain savaal chikh uThe — Chand Akbarabadi

"javaab chikh uThe hain savaal chikh uThe kahin pe lafz kahin par khayaal chikh uThe dikhaa ye khvaab ki kal raat mar gayaa huun main gunaah jitne the sab hasb-e-haal chikh uThe kahin imaam kahin muqtadi mile jaahil azaanein sun ke hamaari bilaal chikh uThe phisal gai miri muTThi se zindagi ki ret ghaDi se haare jo lamhe to saal chikh uThe banaa ke apni hi tasvir khud pashemaan huun jo rang main ne bhare sabz laal chikh uThe"
Urdu

جواب چیخ اٹھے ہیں سوال چیخ اٹھے کہیں پہ لفظ کہیں پر خیال چیخ اٹھے دکھا یہ خواب کہ کل رات مر گیا ہوں میں گناہ جتنے تھے سب حسب حال چیخ اٹھے کہیں امام کہیں مقتدی ملے جاہل اذانیں سن کے ہماری بلال چیخ اٹھے پھسل گئی مری مٹھی سے زندگی کی ریت گھڑی سے ہارے جو لمحے تو سال چیخ اٹھے بنا کے اپنی ہی تصویر خود پشیماں ہوں جو رنگ میں نے بھرے سبز لال چیخ اٹھے

Hindi

जवाब चीख़ उठे हैं सवाल चीख़ उठे कहीं पे लफ़्ज़ कहीं पर ख़याल चीख़ उठे दिखा ये ख़्वाब कि कल रात मर गया हूँ मैं गुनाह जितने थे सब हस्ब-ए-हाल चीख़ उठे कहीं इमाम कहीं मुक़तदी मिले जाहिल अज़ानें सुन के हमारी बिलाल चीख़ उठे फिसल गई मिरी मुट्ठी से ज़िंदगी की रेत घड़ी से हारे जो लम्हे तो साल चीख़ उठे बना के अपनी ही तस्वीर ख़ुद पशेमाँ हूँ जो रंग मैं ने भरे सब्ज़ लाल चीख़ उठे

javāb chīḳh uThe haiñ savāl chīḳh uThe
Chand Akbarabadi
Chand Akbarabadi
Chand Akbarabadi
poet12 quotes

More by Chand Akbarabadi

View all →
Quote
"kabhi gunaahon ki mutlaq kafan utaar ke aa tu ujli ruuh se mailaa badan utaar ke aa jo mere vasl kaa ehsaas tujh pe taari hai kisi ke lams ki saari chhuvan utaar ke aa nai hayaat ke kapDe liye hai maut khaDi puraanaa zindagi kaa pairahan utaar ke aa nazar mein sharm hayaa kaa bhi paas baaqi rahe nazar ki shokhiyon ko gul-badan utaar ke aa nai bahaar ne paighaam ye havaa ko diyaa gulon ke tan se khizaan kaa kafan utaar ke aa hamesha uDte hain taair tire tasavvur ke kabhi to zehn se fikr-e-sukhan utaar ke aa"
Chand AkbarabadiChand Akbarabadi
Quote
"jo thi ilaaqe mein sab se hasin bech aae ham apne purkhon ki saari zamin bech aae puraane logon ne ganjon ko kanghiyaan bechin nae jo log hain saanpon ko biin bech aae bharam thaa dil mein jo mahfil kaa vo bhi dil se gayaa sukhan to biktaa thaa tum saamain bech aae nahin ye gham ki amaanat mein kyuun khayaanat ki mujhe ye dukh hai vo apnaa yaqin beach aae jo log khaate hain urdu ke naam ki roTi labon pe un ke hai bas siin shiin bech aae pakaD li zang mein lipTi hoi nai tahzib milaa thaa ham ko jo sone saa diin bech aae"
Chand AkbarabadiChand Akbarabadi
Quote
"saraab-e-sahraa mein paani talaash kartaa hai vo daldalon mein ravaani talaash kartaa hai har ek zarre se pahchaan rab ki hoti hai vo phir bhi us ki nishaani talaash kartaa hai use yaqin hai apne khudaa ki rahmat par jo tapte sahraa mein paani talaash kartaa hai kitaab-e-dil ko samajhnaa muhaal hai us kaa vo chehraa chehraa maaani talaash kartaa hai nae ghamon ke andheron se jang hai us ki bujhe diyon ki javaani talaash kartaa hai hon raaja raani, hon lashkar, hon haathi ghoDe sab vo har kahaani mein naani talaash kartaa hai bahut sharif hai to 'chaand' jaa ke sansad mein 'kabir-das' ki vaani talaash kartaa hai"
Chand AkbarabadiChand Akbarabadi
Quote
"ik havaa aisi chali bagule bhi kaale ho gae chaand ko sardi lagi suraj ko chhaale ho gae mazhabi aatish ne bachpan ki jalaa di dosti ham bhi kaaba ban gae tum bhi shivaale ho gae hausla chhune kaa thaa bachpan mein tujh ko aasmaan barson teri samt ik patthar uchhaale ho gae hijr ki daulat ne maalaa-maal mujh ko kar diyaa baal chaandi ke hue sone ke chhaale ho gae aire-ghaire natthu-khaire paDh rahe hain chehre ab chehre chehre na hue goyaa risaale ho gae daagh suraj ki hukumat par bhi kuchh to lag gayaa kuchh ujaale jab andheron ke nivaale ho gae aainon par pattharon ke qatl kaa ilzaam kyuun aaine aaine na hon jaise bhaale ho gae dekh lete tum bhi apne is zamin ke 'chaand' ko itni jaldi aasmaan ke kyuun havaale ho gae"
Chand AkbarabadiChand Akbarabadi
Quote
"ghalatiyaan apni na hon phir bhi manaane kaa hunar itnaa aasaan nahin khud ko miTaane kaa hunar yaadon ke saanpon ko qaabu mein karun kaise main main ne sikhaa hi nahin biin bajaane kaa hunar mere chehre ki hansi mein pataa khushiyon kaa na DhunDh muddaton baa'd milaa dard chhupaane kaa hunar mere apnon ne taraashi meri 'izzat ki qamis sab ko aataa hai yahaan qainchi chalaane kaa hunar aag chingaari dhuaan kuchh na thaa dil phir bhi jalaa kis ne sikhlaayaa tumhein aise jalaane kaa hunar itne sapne na dikhaa jhuTi adaakaari chhoD pattharon ko na sikhaa ghaas ugaane kaa hunar aankhein chehra zabaan sab be-zabaan ho jaate hain jaan le legaa tiri raaz chhupaane kaa hunar qatl karnaa hai agar jalte hue suraj ko siikh lo barf ki shamshir banaane kaa hunar"
Chand AkbarabadiChand Akbarabadi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi