SHAWORDS

jazb kuchh titliyon ke par mein hai — Alok Mishra

HomeAlok MishraGhazal
"jazb kuchh titliyon ke par mein hai kaisi khushbu si us color mein hai aane vaalaa hai koi sahraa kyaa gard hi gard rahguzar mein hai jab se dekhaa hai khvaab mein us ko dil musalsal kisi safar mein hai chhu ke gaaDi baghal se kyaa guzri be-khayaali si ik nazar mein hai main bhi bikhraa huaa huun apnon mein vo bhi tanhaa saa apne ghar mein hai raat tum yaad bhi nahin aae phir udaasi si kyuun sahar mein hai us ki khaamoshi gunjti hogi shor barpaa jo dil-khanDar mein hai haath sar par vo shaakhein rakhti hain koi apnaa saa us shajar mein hai"
Urdu

جذب کچھ تتلیوں کے پر میں ہے کیسی خوشبو سی اس کلر میں ہے آنے والا ہے کوئی صحرا کیا گرد ہی گرد رہ گزر میں ہے جب سے دیکھا ہے خواب میں اس کو دل مسلسل کسی سفر میں ہے چھو کے گاڑی بغل سے کیا گزری بے خیالی سی اک نظر میں ہے میں بھی بکھرا ہوا ہوں اپنوں میں وہ بھی تنہا سا اپنے گھر میں ہے رات تم یاد بھی نہیں آئے پھر اداسی سی کیوں سحر میں ہے اس کی خاموشی گونجتی ہوگی شور برپا جو دل کھنڈر میں ہے ہاتھ سر پر وہ شاخیں رکھتی ہیں کوئی اپنا سا اس شجر میں ہے

Hindi

जज़्ब कुछ तितलियों के पर में है कैसी ख़ुशबू सी उस कलर में है आने वाला है कोई सहरा क्या गर्द ही गर्द रहगुज़र में है जब से देखा है ख़्वाब में उस को दिल मुसलसल किसी सफ़र में है छू के गाड़ी बग़ल से क्या गुज़री बे-ख़याली सी इक नज़र में है मैं भी बिखरा हुआ हूँ अपनों में वो भी तन्हा सा अपने घर में है रात तुम याद भी नहीं आए फिर उदासी सी क्यूँ सहर में है उस की ख़ामोशी गूँजती होगी शोर बरपा जो दिल-खंडर में है हाथ सर पर वो शाख़ें रखती हैं कोई अपना सा उस शजर में है

jazb kuchh titliyoñ ke par meñ hai
Alok Mishra
Alok Mishra
Alok Mishra
poet43 quotes

More by Alok Mishra

View all →
Quote
"chikh ki or main khinchaa jaaun ghup andheron mein Dubtaa jaaun kab se phirtaa huun is tavaqqoa par khud ko shaayad kahin main paa jaaun ruuh tak bujh chuki hai muddat se tu jo chhu le to jagmagaa jaaun lamha lamha ye chhaanv ghaTti hai patta patta main TuTtaa jaaun dhuup pi kar tamaam sahraa ki abr ban kar main khud pe chhaa jaaun dukh se kaisaa bharaa huaa hai dil us ko sochun to sochtaa jaaun ek patta huun shaakh se bichhDaa jaane bah kar main kis dishaa jaaun ji mein aataa hai chhoD duun ye zamin aasmaanon mein jaa samaa jaaun"
Alok MishraAlok Mishra
Quote
"saans lete hue Dar lagtaa hai zahr-aalud dhuaan phailaa hai kis ne sahraa mein miri aankhon ke ek dariyaa ko ravaan rakkhaa hai koi aavaaz na jumbish koi meraa honaa bhi koi honaa hai baat kuchh bhi na karungaa ab ke ru-ba-ru us ke faqat ronaa hai zakhm dhoe hain yahaan par kis ne saare dariyaa mein lahu phailaa hai itnaa gahraa hai andheraa mujh mein paanv rakhte hue Dar lagtaa hai shakhs hanstaa hai jo aaine mein yaad paDtaa hai kahin dekhaa hai chaaT jaae na mujhe dimak saa gham jo siine se mire lipTaa hai jaane kyaa khonaa hai ab bhi mujh ko phir se kyuun ji ko vahi khadsha hai"
Alok MishraAlok Mishra
Quote
"khaak ho kar bhi kab miTungaa main phuul ban kar yahin khilungaa main tujh ko aavaaz bhi main kyuun dungaa teraa rasta bhi kyuun takungaa main ik puraane se zakhm par ab ke koi marham nayaa rakhungaa main gher leingi ye titliyaan mujh ko khushbuein jiyun rihaa karungaa main khud se baahar to kam nikaltaa huun ji mein aayaa to phir milungaa main varna jiinaa muhaal kar degaa dard ko ab ghazal karungaa main dhukdhuki si lagi hai kyuun ji ko itni jaldi kahaan marungaa main saansein deti rahin jo chingaari ek jangal saa jal uThungaa main thak gayaa huun main is jazire par phir samundar kaa rukh karungaa main ruuh kaa ye libaas badlungaa bhes duujaa koi dharungaa main"
Alok MishraAlok Mishra
Quote
"aankhon kaa puuraa shahr hi sailaab kar gayaa ye kaun mujh mein nazm ki surat utar gayaa jangal mein teri yaad ke jugnun chamak uThe maidaan siyaah-shab kaa ujaalon se bhar gayaa varna siyaah raat mein jhulsaa huaa thaa main ye to tumhaari dhuup mein kuchh kuchh nikhar gayaa jhumaa thirakte naachte joDon mein kuchh ghaDi dil phir na jaane kaisi udaasi se bhar gayaa donon anaa mein chuur the an-ban si ho gai rishta nayaa nayaa saa thaa kuchh din mein mar gayaa pahle kuchh ek din to kaTi mushkilon mein raat phir teraa hijr meri ragon mein utar gayaa haathon se apne khud hi nasheman ujaaD kar dekho udaas ho ke parinda kidhar gayaa ik chikh aasmaan ke daaman mein so gai dil ki zamin pe dard har ik su bikhar gayaa"
Alok MishraAlok Mishra

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi