"dil kabhi be-vafaa nahin hotaa vaqt kaa kuchh pata nahin hotaa apni apni hai sab ki majburi dil kisi kaa buraa nahin hotaa apnaa apnaa khayaal hai varna kuchh buraa yaa bhalaa nahin hotaa gham hi ik dost hai hamesha kaa zindagi bhar judaa nahin hotaa khuun de de ke main ne sinchaa hai varna gulshan haraa nahin hotaa baT ke ham log rah gae varna apni duniyaa mein kyaa nahin hotaa"
jis kaa ji chaahe faqiron ki duaa le jaae — Raazdan Raaz
"jis kaa ji chaahe faqiron ki duaa le jaae kal hamein jaane kahaan vaqt uThaa le jaae khidmat-e-khalq se hasti ko farozaan kar le kyaa pata kaun si zulmat mein qazaa le jaae is liye koi jahaan se na gayaa kuchh le kar kyaa hai duniyaa mein koi saath bhi kyaa le jaae baanT de sab mein ye khushiyaan jo mili hain tujh ko is se pahle ki koi in ko churaa le jaae tu jise DhunD rahaa hai vo tire andar hai khud se milvaane tujhe kaun bhalaa le jaae aandhiyaan to na hilaa paain tujhe 'raaz' magar ab uDaa kar na kahin baad-e-sabaa le jaae"
جس کا جی چاہے فقیروں کی دعا لے جائے کل ہمیں جانے کہاں وقت اٹھا لے جائے خدمت خلق سے ہستی کو فروزاں کر لے کیا پتہ کون سی ظلمت میں قضا لے جائے اس لئے کوئی جہاں سے نہ گیا کچھ لے کر کیا ہے دنیا میں کوئی ساتھ بھی کیا لے جائے بانٹ دے سب میں یہ خوشیاں جو ملی ہیں تجھ کو اس سے پہلے کہ کوئی ان کو چرا لے جائے تو جسے ڈھونڈ رہا ہے وہ ترے اندر ہے خود سے ملوانے تجھے کون بھلا لے جائے آندھیاں تو نہ ہلا پائیں تجھے رازؔ مگر اب اڑا کر نہ کہیں باد صبا لے جائے
जिस का जी चाहे फ़क़ीरों की दुआ ले जाए कल हमें जाने कहाँ वक़्त उठा ले जाए ख़िदमत-ए-ख़ल्क़ से हस्ती को फ़रोज़ाँ कर ले क्या पता कौन सी ज़ुल्मत में क़ज़ा ले जाए इस लिए कोई जहाँ से न गया कुछ ले कर क्या है दुनिया में कोई साथ भी क्या ले जाए बाँट दे सब में ये ख़ुशियाँ जो मिली हैं तुझ को इस से पहले कि कोई इन को चुरा ले जाए तू जिसे ढूँड रहा है वो तिरे अंदर है ख़ुद से मिलवाने तुझे कौन भला ले जाए आँधियाँ तो न हिला पाईं तुझे 'राज़' मगर अब उड़ा कर न कहीं बाद-ए-सबा ले जाए

More by Raazdan Raaz
View all →More on Khushi
View all →"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"kabhi hasin koi haadisa huaa hi nahin tamaam umr kaTi vo miraa huaa hi nahin sukun kyaa hai khushi kyaa hai chain kyaa shai hai main kyaa bataaun mujhe tajraba huaa hi nahin jise yaqin thaa vo aasmaan ko chhu aayaa jise ghurur thaa vo to baDaa huaa hi nahin na jaane kaun si us mein kami rahi hogi koi bhi shakhs kabhi devtaa huaa hi nahin kahaa thaa main ne ki ik roz aap badleinge ye aur baat ki meraa kahaa huaa hi nahin"
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"