Quote
"mai bhi hai saaghar bhi hai saaqi bhi paimaana bhi hai dekhnaa ye hai ki ham mein zauq-e-rindaana bhi hai raqs-e-parvaana bhi dekh ai chashm-e-ibrat ye bhi dekh shama ki aaghosh mein kuchh khaak-e-parvaana bhi hai ham ne maanaa hai sukun daamaan-e-saahil mein magar fitrat-e-ahl-e-junun tufaan se Takraanaa bhi hai ai talabgaar-e-masarrat ye bhi sochaa hai kabhi ik masarrat apne dil ko gham se bahlaanaa bhi hai jis ne jo chaahaa use samjhaa kiyaa ai ham-nashin zindagaani ik haqiqat bhi hai afsaana bhi hai ahl-e-dil ke vaaste hai bahr-e-aish-o-imbisaat go ba-zaahir bazm-e-hasti ek gham-khaana bhi hai do ghaDi ai gardish-e-ayyaam bas ruk jaa yahin saaqi-e-raaanaa bhi hai gardish mein paimaana bhi hai jalva-aaraa zarre zarre mein hai nur-e-barq-e-tur lekin ai 'saabir' kahin zauq-e-kalimaana bhi hai"
