SHAWORDS

jo bashar tufaan se Takraataa nahin — Sabir Abuhari

HomeSabir AbuhariGhazal
"jo bashar tufaan se Takraataa nahin apni azmat ko samajh paataa nahin justuju mein khud jo kho jaataa nahin gauhar-e-maqsud ko paataa nahin kis ko dekhein is bhari duniyaa mein ham koi bhi tum saa nazar aataa nahin sochiye to dil hi mein maujud hai dekhiye to vo nazar aataa nahin kyaa qayaamat hai farogh-e-fasl-e-gul aashiyaan apnaa nazar aataa nahin bad-gumaan kyon mujh se naaseh ho gayaa main kahin aataa nahin jaataa nahin jo gham-e-ulfat kaa khugar ho gayaa vo gham-e-dauraan se ghabraataa nahin luT chukaa huun baarhaa 'saabir' magar ishq se dil ab bhi baaz aataa nahin"
Urdu

جو بشر طوفاں سے ٹکراتا نہیں اپنی عظمت کو سمجھ پاتا نہیں جستجو میں خود جو کھو جاتا نہیں گوہر مقصود کو پاتا نہیں کس کو دیکھیں اس بھری دنیا میں ہم کوئی بھی تم سا نظر آتا نہیں سوچئے تو دل ہی میں موجود ہے دیکھیے تو وہ نظر آتا نہیں کیا قیامت ہے فروغ فصل گل آشیاں اپنا نظر آتا نہیں بد گماں کیوں مجھ سے ناصح ہو گیا میں کہیں آتا نہیں جاتا نہیں جو غم الفت کا خوگر ہو گیا وہ غم دوراں سے گھبراتا نہیں لٹ چکا ہوں بارہا صابرؔ مگر عشق سے دل اب بھی باز آتا نہیں

Hindi

जो बशर तूफ़ाँ से टकराता नहीं अपनी अज़्मत को समझ पाता नहीं जुस्तुजू में ख़ुद जो खो जाता नहीं गौहर-ए-मक़्सूद को पाता नहीं किस को देखें इस भरी दुनिया में हम कोई भी तुम सा नज़र आता नहीं सोचिए तो दिल ही में मौजूद है देखिए तो वो नज़र आता नहीं क्या क़यामत है फ़रोग़-ए-फ़स्ल-ए-गुल आशियाँ अपना नज़र आता नहीं बद-गुमाँ क्यों मुझ से नासेह हो गया मैं कहीं आता नहीं जाता नहीं जो ग़म-ए-उल्फ़त का ख़ूगर हो गया वो ग़म-ए-दौराँ से घबराता नहीं लुट चुका हूँ बारहा 'साबिर' मगर इश्क़ से दिल अब भी बाज़ आता नहीं

jo bashar tūfāñ se Takrātā nahīñ
Sabir Abuhari
Sabir Abuhari
Sabir Abuhari
poet13 quotes

More by Sabir Abuhari

View all →
Quote
"mai bhi hai saaghar bhi hai saaqi bhi paimaana bhi hai dekhnaa ye hai ki ham mein zauq-e-rindaana bhi hai raqs-e-parvaana bhi dekh ai chashm-e-ibrat ye bhi dekh shama ki aaghosh mein kuchh khaak-e-parvaana bhi hai ham ne maanaa hai sukun daamaan-e-saahil mein magar fitrat-e-ahl-e-junun tufaan se Takraanaa bhi hai ai talabgaar-e-masarrat ye bhi sochaa hai kabhi ik masarrat apne dil ko gham se bahlaanaa bhi hai jis ne jo chaahaa use samjhaa kiyaa ai ham-nashin zindagaani ik haqiqat bhi hai afsaana bhi hai ahl-e-dil ke vaaste hai bahr-e-aish-o-imbisaat go ba-zaahir bazm-e-hasti ek gham-khaana bhi hai do ghaDi ai gardish-e-ayyaam bas ruk jaa yahin saaqi-e-raaanaa bhi hai gardish mein paimaana bhi hai jalva-aaraa zarre zarre mein hai nur-e-barq-e-tur lekin ai 'saabir' kahin zauq-e-kalimaana bhi hai"
Sabir AbuhariSabir Abuhari
Quote
"haqiqat ban gai khud hi hijaab aahista aahista nazar ko le maraa zauq-e-saraab aahista aahista taDap paidaa to kar dil mein rukh-e-zebaa ke saudaai sarak jaaegaa khud un kaa naqaab aahista aahista saliqa aa gayaa hai shaikh ko bhi hosh-mandi kaa lagaa hai maangne jaam-e-sharaab aahista aahista jahaan-e-aab-o-gil bhi dekhne ki chiiz thi lekin bashar ne kar diyaa us ko kharaab aahista aahista koi din ke hain jalve mastiyaan bhar do fazaaon mein guzar jaaegaa ye ahd-e-shabaab aahista aahista bashar ab rokne ko hai mah-o-anjum ki gardish ko ye dekhegaa khudaai ke bhi khvaab aahista aahista ye rudaad-e-mohabbat hai ise kahnaa tahammul se sunaa jaaegaa ai 'saabir' ye baab aahista aahista"
Sabir AbuhariSabir Abuhari
Quote
"husn kyaa kyaa muskuraayaa ishq ke andaaz par naghma-e-gham jab bhi chheDaa ham ne dil ke saaz par khaar-zaar-e-zindagi ko bhi banaa detaa hai khuld kyon na ham imaan laaein ishq ke eajaaz par teri apni zaat mein muzmar hai husn-e-lam-yazal kis liye sajde pe sajda jalva-gaah-e-naaz par jalva-farmaa kaun mehr-o-maah ke parde mein hai raqs kartaa hai nizaam-e-dahr kis ke saaz par baal-o-par se kab koi pahunchaa faraaz-e-arsh tak ye saaadat munhasir hai himmat-e-parvaaz par hain vahi maqbul-e-aalam jo garebaan-chaak hain har kali gul ban gai is inkishaaf-e-raaz par aa gai sehn-e-chaman mein fasl-e-gul to kyaa huaa hain vahi gham ke taraane zindagi ke saaz par raaz-e-ulfat ghair se kahnaa hai nang-e-aashiqi naaz thaa mansur ko kyon inkishaaf-e-raaz par ishq ki qismat mein hote hain salib-o-daar bhi shaad ai 'saabir' na ho tu lazzat-e-aaghaaz par"
Sabir AbuhariSabir Abuhari
Quote
"kyaa kashish allaah re duniyaa-e-aab-o-gil mein hai taa-abad jiine ki khvaahish har bashar ke dil mein hai biit jaae kyaa khudaa jaane jahaan-e-shauq par vo to kahiye lailaa-e-husn-e-azal mahmil mein hai kuchh hamin pahchaante hain ru-e-taabaan ko tire zikr tere husn kaa kahne ko har mahfil mein hai kaash ye khul jaae tujh par ai asir-e-aab-o-gil ik surur-e-be-karaan taskhir-e-aab-o-gil mein hai koi mahram hi nahin jab raaz-haa-e-ishq kaa ham kisi ko kyaa bataaein kyaa hamaare dil mein hai ishq ne tai kar liye haft-aasmaan muddat hui aql-e-naadaan gum abhi tak jaada-e-manzil mein hai rahzan-e-hosh-o-khirad hai ye jahaan-e-rang-o-bu khud se begaana hai 'saabir' jo bhi is mahfil mein hai"
Sabir AbuhariSabir Abuhari
Quote
"vahi saaghar vahi sahbaa vahi mai-khvaar hain saaqi nizaam-e-nau ke kyaa sach-much yahi aasaar hain saaqi khulus-e-dil hai yaa kuchh be-asar ashaar hain saaqi karein kyaa nazr teri muflis-o-naadaar hain saaqi nigaah-e-naaz ki masti se jo sarshaar hain saaqi vo divaane haqiqat mein bahut hushiyaar hain saaqi pilaa vo jaam jis se mushkilein aasaan ho jaaein maraahil raah-e-ulfat ke bahut dushvaar hain saaqi likhaa divaar kaa paDh le khamoshi ki sadaa sun le badalte daur ke mubham se ye aasaar hain saaqi jo kahti thiin ki ik din diid se sarshaar kar deingi vahi aankhein bil-aakhir maane-e-didaar hain saaqi bahut karte hain karne ko to daave jaan-nisaari kaa jo tujh par jaan dete hain faqat do-chaar hain saaqi ajab mahfil hai ye mahfil ajab aalam hai ye aalam na ham majbur hain saaqi na ham mukhtaar hain saaqi teri bakhshish kaa ye andaaz kyaa hai kuchh nahin khultaa jo hain ahl-e-hunar vo log hi naadaar hain saaqi lagi dil ki bujhaane ko lipaT jaate hain shaalon se ye parvaane kahaan ke paikar-e-isaar hain saaqi jo hote hain asir-e-jaam vo mai-kash nahin hote rahein jo be-piye sarshaar vo mai-khvaar hain saaqi"
Sabir AbuhariSabir Abuhari

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud