Quote
"taDap mein bhi maza aane lagaa hai gham ke maaron ko khayaal-e-sarkhushi bahkaa na de in sogvaaron ko gulistaan jo banaanaa chaahte the khaarzaaron ko unhin ki shokh-gaami raundti hai laala-zaaron ko saaadat chaahtaa thaa kal falak bhi jin ke sajdon ki bagule DhunDte phirte hain aaj un ke ghubaaron ko mai-o-kausar ki khaatir jab ye khud sajdon mein girtaa hai to kis munh se buraa kahtaa hai zaahid mai-gusaaron ko rumuz-e-ishq se koi use aagaah kar detaa jalaa kar hans rahi hai shama apne jaan-nisaaron ko ataa kar di mire husn-e-nazar ne shaan-e-yaktaai jahaan mein kaun varna puchhtaa thaa gul-'izaaron ko na dekhe jaa sake jo tuur par mushtaaq nazron se ba-chashm-e-shauq ham ne khuub dekhaa un nazaaron ko azal se jo fanaa kaa khauf le kar sahme baiThe hain talaatum-aashnaa kartaa hai 'saabir' un kinaaron ko"
Sabir Abuhari