"chaahe ik pal kaa sahi saath gavaaraa kar lo phir koi gham nahin gar ham se kinaaraa kar lo meraa hissa hai mohabbat to adaa naqd karo gar nahin bas mein to nafrat hi khudaa-raa kar lo kaun kahtaa hai ki laazim inhein taa'bir bhi do mere khvaabon ko bas aankhon mein gavaaraa kar lo gar nahin aur vajah koi shanaasaai ki ik mohabbat hai vahi phir se dubaaraa kar lo phir kahaan aur kisi kaa vo kabhi ho paayaa jis pe ik baar yahaan tum jo ijaaraa kar lo maanaa mushkil hai miraa tum se bichhaD kar jiinaa saath mein to huun tire tum to guzaaraa kar lo dam nikal jaaegaa yuun hi miraa hanste hanste ik nazar meri taraf hans ke ishaaraa kar lo ham nahin vo ki jo le jaaeinge manzil ki taraf yahi behtar hai koi aur sitaaraa kar lo ek hi shakhs ki chaahat mein bhalaa kyaa marnaa bevafaai ko hi jiine kaa sahaaraa kar lo jab kabhi baandhaa hai 'abrak' ne yahaan rakht-e-safar dil machaltaa hai zaraa aur nazaara kar lo"
jo sochtaa huun agar vo bayaan ho jaae — Atbaf Abrak
"jo sochtaa huun agar vo bayaan ho jaae to paani paani ye saaraa jahaan ho jaae gila hai aankh se un ko zabaan se hai gila qalam ko hukm hai vo be-zabaan ho jaae vahaan pe raasta hijrat hi sirf hotaa hai jahaan zamin ye khud aasmaan ho jaae tu khud hi soch zaraa haal us gulistaan kaa khizaan ke saath jahaan baaghbaan ho jaae kahaan talak bhalaa utre koi umidon par ki saans saans jahaan imtihaan ho jaae yuun khatm hotaa hai kirdaar baar baar miraa ki khatm biich mein hi daastaan ho jaae andheri raat sadaa de rahi hai aandhi ko hai phir bhi zid ki diyaa khush-gumaan ho jaae main vo diyaa huun jo suraj ki soch sochtaa hai jo chaahtaa hai ki raushan jahaan ho jaae zamaana laakh buraa chaahe khvaab toDe magar khudaa se kaise koi bad-gumaan ho jaae main kaise maan luun us ko buraa yahaan 'abrak' khilaaf jis ke jahaan yak-zabaan ho jaae"
جو سوچتا ہوں اگر وہ بیان ہو جائے تو پانی پانی یہ سارا جہان ہو جائے گلہ ہے آنکھ سے ان کو زبان سے ہے گلہ قلم کو حکم ہے وہ بے زبان ہو جائے وہاں پہ راستہ ہجرت ہی صرف ہوتا ہے جہاں زمین یہ خود آسمان ہو جائے تو خود ہی سوچ ذرا حال اس گلستاں کا خزاں کے ساتھ جہاں باغبان ہو جائے کہاں تلک بھلا اترے کوئی امیدوں پر کہ سانس سانس جہاں امتحان ہو جائے یوں ختم ہوتا ہے کردار بار بار مرا کہ ختم بیچ میں ہی داستان ہو جائے اندھیری رات صدا دے رہی ہے آندھی کو ہے پھر بھی ضد کہ دیا خوش گمان ہو جائے میں وہ دیا ہوں جو سورج کی سوچ سوچتا ہے جو چاہتا ہے کہ روشن جہان ہو جائے زمانہ لاکھ برا چاہے خواب توڑے مگر خدا سے کیسے کوئی بد گمان ہو جائے میں کیسے مان لوں اس کو برا یہاں ابرکؔ خلاف جس کے جہاں یک زبان ہو جائے
जो सोचता हूँ अगर वो बयान हो जाए तो पानी पानी ये सारा जहान हो जाए गिला है आँख से उन को ज़बान से है गिला क़लम को हुक्म है वो बे-ज़बान हो जाए वहाँ पे रास्ता हिजरत ही सिर्फ़ होता है जहाँ ज़मीन ये ख़ुद आसमान हो जाए तू ख़ुद ही सोच ज़रा हाल उस गुलिस्ताँ का ख़िज़ाँ के साथ जहाँ बाग़बान हो जाए कहाँ तलक भला उतरे कोई उमीदों पर कि साँस साँस जहाँ इम्तिहान हो जाए यूँ ख़त्म होता है किरदार बार बार मिरा कि ख़त्म बीच में ही दास्तान हो जाए अँधेरी रात सदा दे रही है आँधी को है फिर भी ज़िद कि दिया ख़ुश-गुमान हो जाए मैं वो दिया हूँ जो सूरज की सोच सोचता है जो चाहता है कि रौशन जहान हो जाए ज़माना लाख बुरा चाहे ख़्वाब तोड़े मगर ख़ुदा से कैसे कोई बद-गुमान हो जाए मैं कैसे मान लूँ उस को बुरा यहाँ 'अब्रक' ख़िलाफ़ जिस के जहाँ यक-ज़बान हो जाए

More by Atbaf Abrak
View all →"zindagi aadhi hai adhuri hai teraa aanaa bahut zaruri hai saamne tu hai lamha lamha mire aur zamin aasmaan ki duuri hai koi mantiq koi dalil nahin tu zaruri to bas zaruri hai jaise qismat pe ikhtiyaar nahin ye mohabbat bhi laa-shu'uri hai kaun sikhaa hai sirf baaton se sab ko ik haadsa zaruri hai ek bas tu rahaa miri hasrat aur har aarzu to puuri hai likhte likhte guzar gayaa 'abrak' daastaan aaj bhi adhuri hai"
"vo ham ko dil mein rakkhegaa yaa dil se ab nikaalegaa uThegaa jab talak parda tajassus maar Daalegaa main aksar jaanchne ko ye bas apnaa haq jataataa huun kahaan tak baat maanegaa kahaan par ham ko Taalegaa ta'ayyun kab hai mumkin ab ta'alluq kaa ravayyon se use ham par yaqin hai zakhm sab chup-chaap khaa legaa mohabbat ki Dagar par jo bhi nikle soch kar nikle safar ye vo nahin jo laaziman manzil bhi paa legaa kabhi sochaa gayaa jo thak ke dil ki vaaguzaari kaa savaal uTThaa yahi masrufiyat kyaa aur paalegaa chalan ahl-e-vafaa kaa hai aTal khaamoshiyaan 'abrak' zamaana dekhtaa hai sab vo khud qissa uchhaalegaa"
"zang-aalud havaalon se nikal aae ho khvaab-e-taaza liye khvaabon se nikal aae ho sukhe khvaabida gulaabon se nikal aae ho baa'd muddat ke kitaabon se nikal aae ho yunhi saamaan puraane pe nazar jaa Thahri phir se tum band lifaafon se nikal aae ho kyaa ye zanjir ye zindaan kaDe pahre karein raushni ban ke kivaaDon se nikal aae ho tum jo har aan yunhi rahte ho hanste-baste kyaa mohabbat ke 'itaabon se nikal aae ho kis qadar saadgi hai saans bhi tum lete ho aur samajhte ho 'azaabon se nikal aae ho ab talab hai na tajassus na hai vo 'ahd-e-vafaa tum ghalat soch iraadon se nikal aae ho vaqt guzraa nahin lauTegaa so be-kaar hi tum bad-gumaani ki panaahon se nikal aae ho ye jo ik chup si lagi hai tumhein taaza 'abrak' thak gae ho yaa savaalon se nikal aae ho"
"mehmaan chaar din ke aur ghar samajh liyaa hai ham ne saraab hi ko manzar samajh liyaa hai kitnon ne kar liyaa hai duniyaa ko ab musakhkhar khud ko sikandaron se bartar samajh liyaa hai achchhaa hai kyaa buraa kyaa is baat se gharaz kyaa bas zaat hi ko apni mehvar samajh liyaa hai bhule kitaab ko ham paighaam saaraa bhule bhaTke musaafiron ko rahbar samajh liyaa hai hote sabaq nahin jo ab yaad is jahaan ko un ko nisaab hi se baahar samajh liyaa hai tahzib apni khoi kho baiThe 'ilm saaraa rangini-e-jahaan ko zevar samajh liyaa hai khud nuqs se mubarraa khud 'aib se hain 'aari aur sab ko raaste kaa patthar samajh liyaa hai samjhegaa khaak koi ab raaz is jahaan ke qatre ne khud ko 'abrak' saagar samajh liyaa hai"
"jis qadar faasle baDhaae hain aap utnaa hi paas aae hain qaasido jaan maang lo chaahe gar khabar aap un ki laae hain ham ko likhtaa ki jaa chalaa jaa tu kaise jaaein ki tere saae hain ek main hi nahin makin apnaa aap mehmaan bin bulaae hain khaak koi hasin nazar aae aap jab aankh mein samaae hain aap to de ke zakhm bhuul gae ham ne marham vo sab banaae hain 'ishq ke rog ne sataayaa thaa ab tabibon ke ham sataae hain aap ko zindagi kahaa aise zindagi ko bhi ham na bhaae hain maantaa huun vafaa nahin laazim khvaab kyuun baa-vafaa dikhaae hain kaun kaafir kare jafaa 'abrak' vo khayaalon mein muskuraae hain"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"