Quote
"jis ne tiri bebaak adaa ko nahin dekhaa vallaah ki aankhon se fazaa ko nahin dekhaa kyuun mujh ko sunaae na bhalaa qissa-e-jannat vaaiz ne tire mehr-o-vafaa ko nahin dekhaa afsos ki sun hi ke abhi hanste ho afsos tum ne jo agar aah-o-bukaa ko nahin dekhaa ghabraae hue phirti hai kyuun mere tarah se taasir ne kyaa meri duaa ko nahin dekhaa bebaakiyaan dekhin hain tiri bazm-e-adu mein aankhon mein tiri sharm-o-hayaa ko nahin dekhaa kahte hain ghalat hovegaa dushman kaa guzar khaak kuche mein tire baad-e-sabaa ko nahin dekhaa maalum nahin tum ko vafaa kahte hain kis ko tum ne abhi arbaab-e-vafaa ko nahin dekhaa kyaa khaak ho ummid mujhe us se vafaa ki main ne to kabhi us ki jafaa ko nahin dekhaa naazaan na hon kyuun khizar bhalaa umr pe apni hazrat ne tiraa zulf-e-rasaa ko nahin dekhaa parde se nikalte nahin aur kahte hain mujh se pahchaanoge kyaa ham ko khudaa ko nahin dekhaa aage tiri aankhon ke jhukaae hue aankhein kab aahu-e-baavar-ba-khataa ko nahin dekhaa kyuun hazrat-e-musaa ki tarah naash mein 'nassaakh' gar tum ne but-e-hosh-rubaa ko nahin dekhaa"
A
Abdul Ghafoor Nassakh