SHAWORDS

junun ki naaz-bardaari mein khush hai — Kashif Husain Ghair

"junun ki naaz-bardaari mein khush hai ye vahshi chaar-divaari mein khush hai du'aa aur rizq donon mil rahe hain so ye mazdur bekaari mein khush hai charaaghon ke qabile se hai shaayad ye chashm-e-khvaab bedaari mein khush hai koi ab dekhne aae na aae tiraa bimaar bimaari mein khush hai nayaa majnun mohabbat se ziyaada mohabbat ki adaakaari mein khush hai"
Urdu

جنوں کی ناز برداری میں خوش ہے یہ وحشی چار دیواری میں خوش ہے دعا اور رزق دونوں مل رہے ہیں سو یہ مزدور بیکاری میں خوش ہے چراغوں کے قبیلے سے ہے شاید یہ چشم خواب بے داری میں خوش ہے کوئی اب دیکھنے آئے نہ آئے ترا بیمار بیماری میں خوش ہے نیا مجنوں محبت سے زیادہ محبت کی اداکاری میں خوش ہے

Hindi

जुनूँ की नाज़-बरदारी में ख़ुश है ये वहशी चार-दीवारी में ख़ुश है दु'आ और रिज़्क़ दोनों मिल रहे हैं सो ये मज़दूर बेकारी में ख़ुश है चराग़ों के क़बीले से है शायद ये चश्म-ए-ख़्वाब बेदारी में ख़ुश है कोई अब देखने आए न आए तिरा बीमार बीमारी में ख़ुश है नया मजनूँ मोहब्बत से ज़ियादा मोहब्बत की अदाकारी में ख़ुश है

junūñ kī nāz-bardārī meñ ḳhush hai
Kashif Husain Ghair
Kashif Husain Ghair
Kashif Husain Ghair
poet116 quotes

More by Kashif Husain Ghair

View all →
Quote
"miri aankhon ko dhoka ho rahaa hai ki aaina hi dhundlaa ho rahaa hai vahi ham hain vahi duniyaa vahi dil vahi jo ho rahaa thaa ho rahaa hai na aavaazein hi dil ko chhu rahi hain na sannaaTaa hi gahraa ho rahaa hai na ye aankhein hi patthar ho rahi hain na ye aansu hi dariyaa ho rahaa hai hamaare paanv zakhmi ho rahe hain chalo hamvaar rasta ho rahaa hai mire to khvaab miTTi ho rahe hain dar-o-divaar ko kyaa ho rahaa hai havaaein dukh baTaati phir rahi hain zamin kaa bojh halkaa ho rahaa hai"
Kashif Husain GhairKashif Husain Ghair
Quote
"kaun thaa jis ne udaasi ki paziraai ki kaise buniyaad paDi shahr mein tanhaai ki roz-o-shab apne bikharne mein hi masruf huun main itnaa masruf ki fursat nahin yakjaai ki Duub bhi sakte hain ye sath pe rahne vaale in se baatein na kiyaa kijiye gahraai ki band aankhon se bhi har vaqt nazar aataa hai kaisaa manzar hai zarurat nahin binaai ki ajnabi apne liye huun ki zamaane ke liye dekhtaa rahtaa huun tasvir shanaasaai ki is tamaashe ko khudaa dekhne vaalaa hai bahut kyaa zarurat hai kisi aur tamaashaai ki"
Kashif Husain GhairKashif Husain Ghair
Quote
"miri tarah koi barbaad hone vaalaa nahin ye dasht-e-'ishq ab aabaad hone vaalaa nahin bas ek din ise zanjir khud rihaa karegi ye qaidi aise to aazaad hone vaalaa nahin bilaa-sabab yahaan logon se kaun miltaa hai ye kaar-e-khair mire baa'd hone vaalaa nahin sabhi ko shauq yahaan inkishaaf-e-zaat kaa hai magar vo aaina ijaad hone vaalaa nahin paDhaa rahe ho sabaq dil ko duniyaa-daari kaa paDhaaye jaao ise yaad hone vaalaa nahin ye kah ke kaar-e-jahaan koi mujh ko saunp gayaa ye kaam mujh se to ustaad hone vaalaa nahin"
Kashif Husain GhairKashif Husain Ghair

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb