"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
kaarzaar-e-zindagi mein aise lamhe aa gae — Hayat Rizvi Amrohvi
"kaarzaar-e-zindagi mein aise lamhe aa gae azm-e-mohkam rakhne vaale vaqt se ghabraa gae dusron ke vaaste jiite rahe marte rahe khub-sirat log the raaz-e-mohabbat paa gae baagh par bijli gire yaa nazr-e-gulchin ho rahe aah ab sochon ke dhaare is nahaj par aa gae is jhulasti dhuup ne aakhir kahaan pahunchaa diyaa chhaanv ki khaatir pas-e-divaar-e-zindaan aa gae vaae mahrumi ki bas ham aasmaan takte rahe yuun to baadal ghir ke aae hasratein barsaa gae dil ki shaadaabi ki khaatir dil ki taskin ke liye 'rizvi'-e-muztar kabhi makka kabhi mathuraa gae"
کارزار زندگی میں ایسے لمحے آ گئے عزم محکم رکھنے والے وقت سے گھبرا گئے دوسروں کے واسطے جیتے رہے مرتے رہے خوب سیرت لوگ تھے راز محبت پا گئے باغ پر بجلی گرے یا نذر گلچیں ہو رہے آہ اب سوچوں کے دھارے اس نہج پر آ گئے اس جھلستی دھوپ نے آخر کہاں پہنچا دیا چھاؤں کی خاطر پس دیوار زنداں آ گئے وائے محرومی کہ بس ہم آسماں تکتے رہے یوں تو بادل گھر کے آئے حسرتیں برسا گئے دل کی شادابی کی خاطر دل کی تسکیں کے لئے رضویؔ مضطر کبھی مکہ کبھی متھرا گئے
कारज़ार-ए-ज़िंदगी में ऐसे लम्हे आ गए अज़्म-ए-मोहकम रखने वाले वक़्त से घबरा गए दूसरों के वास्ते जीते रहे मरते रहे ख़ूब-सीरत लोग थे राज़-ए-मोहब्बत पा गए बाग़ पर बिजली गिरे या नज़्र-ए-गुलचीं हो रहे आह अब सोचों के धारे इस नहज पर आ गए इस झुलसती धूप ने आख़िर कहाँ पहुँचा दिया छाँव की ख़ातिर पस-ए-दीवार-ए-ज़िंदाँ आ गए वाए महरूमी कि बस हम आसमाँ तकते रहे यूँ तो बादल घिर के आए हसरतें बरसा गए दिल की शादाबी की ख़ातिर दिल की तस्कीं के लिए 'रिज़वी'-ए-मुज़्तर कभी मक्का कभी मथुरा गए

More on Zindagi
View all →"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"