"pyaar mein ziist mujhe raas kahaan aai hai mere hisse mein faqat aah-o-fughaan aai hai yaa-khudaa rakh le miri pusht-panaahi kaa bharam sar chhupaane mire gulshan mein khizaan aai hai bach ke jaataa hi nahin ‘aalam-e-faani se koi maut hi meri mujhe le ke yahaan aai hai dauD paDtaa huun tiri samt har ik aahaT par mujh ko lagtaa hai ki aavaaz-e-azaan aai hai chaahtaa huun ki kisi taur na ab aankh khule baa'd muddat ke mire khvaab mein maan aai hai ye bhi mumkin hai miri raah mein hon maah-o-nujum jab bulaane ko mujhe kaahkashaan aai hai aaj mausam ki navaazish kaa huun mamnun 'habib' khushbu-e-yaar liye baad-e-ravaan aai hai"
kab hai had-e-imkaani mein — Hafeez Banarasi
"kab hai had-e-imkaani mein rishta aag aur paani mein us kaa saraapaa likkhungaa aaj qalam hai ravaani mein chhoTaa miraa kirdaar sahi shaamil to huun kahaani mein mere maathe par ye shikan us ne di hai nishaani mein aaina hai zulm tiraa meri karb-bayaani mein daanaa karte hain jo kaam main ne kiye naadaani mein chori mere dil ki hui aankhon ki nigaraani mein baap ki dushvaari ke tufail bachche hain aasaani mein mashvara un kaa maanaa nahin maare gae man-maani mein kaaghaz ki hai naav 'habib' sina-sipar tughyaani mein"
کب ہے حد امکانی میں رشتہ آگ اور پانی میں اس کا سراپا لکھوں گا آج قلم ہے روانی میں چھوٹا مرا کردار سہی شامل تو ہوں کہانی میں میرے ماتھے پر یہ شکن اس نے دی ہے نشانی میں آئینہ ہے ظلم ترا میری کرب بیانی میں دانا کرتے ہیں جو کام میں نے کئے نادانی میں چوری میرے دل کی ہوئی آنکھوں کی نگرانی میں باپ کی دشواری کے طفیل بچے ہیں آسانی میں مشورہ ان کا مانا نہیں مارے گئے من مانی میں کاغذ کی ہے ناؤ حبیبؔ سینہ سپر طغیانی میں
कब है हद-ए-इम्कानी में रिश्ता आग और पानी में उस का सरापा लिक्खूंगा आज क़लम है रवानी में छोटा मिरा किरदार सही शामिल तो हूँ कहानी में मेरे माथे पर ये शिकन उस ने दी है निशानी में आईना है ज़ुल्म तिरा मेरी कर्ब-बयानी में दाना करते हैं जो काम मैं ने किए नादानी में चोरी मेरे दिल की हुई आँखों की निगरानी में बाप की दुश्वारी के तुफ़ैल बच्चे हैं आसानी में मशवरा उन का माना नहीं मारे गए मन-मानी में काग़ज़ की है नाव 'हबीब' सीना-सिपर तुग़्यानी में

More by Hafeez Banarasi
View all →"asar mein aataa gayaa main tiri sakhaavat ke daraaz hote gae haath meri haajat ke labon pe mauja-e-nikhat yunhi nahin raqsaan khile hain phuul mire dil mein teri chaahat ke tapish kuchh aisi thi khurshid-e-istaqaamat ki pasine chhuT gae sho'la-e-'adaavat ke ye baat-baat mein tark-e-ta'alluqaat ki baat bataao kyaa yahi aadaab hain mohabbat ke hamein bhi bakhsh sukun aa kabhi idhar bhi aa ki ham bhi hain mutamanni tiri ziyaarat ke navaazishein tiri haail agar nahin hotin to ham bhi karte nazaare sukun-o-raahat ke damak rahe hain jo daaman pe ban ke laa'l-o-guhar 'habib' ashk hain dar-asl vo nadaamat ke"
"dhuup ko chhaanv likhun sang ko shisha likkhun maslahat kaa hai taqaazaa tujhe achchhaa likkhun kaun hai meri tabaahi kaa sabab kyaa likhun meraa khaama hai ba-zid naam tumhaaraa likkhun justuju meri safar hi mein rahegi kab tak ab to mil jaae koi jis ko main apnaa likkhun be-gharaz mujh pe nahin karte karam ahl-e-karam aur gharaz ye hai ki main un kaa qasida likkhun main ne bechaa hai na bechungaa kabhi apnaa zamir ghair mumkin hai ki qatre ko main dariyaa likkhun khud ubhar aaegi qirtaas pe naayaab ghazal ru-baru baiTh ki main teraa saraapaa likkhun apne maazi kaa qasida to bahut likkhaa 'habib' dil mein aataa hai ki ab haal kaa nauha likkhun"
"jab bhi tiri yaadon ki chalne lagi purvaai har zakhm huaa taaza har choT ubhar aai is baat pe hairaan hain saahil ke tamaashaai ik TuuTi hui kashti har mauj se Takraai maikhaane tak aa pahunchi insaaf ki rusvaai saaqi se hui laghzish rindon ne sazaa paai hangaama huaa barpaa ik jaam agar TuuTaa dil TuuT gae laakhon aavaaz nahin aai ik raat basar kar lein aaraam se divaane aisaa bhi koi vaada ai jaan-e-shakebaai kis darja sitam-gar hai ye gardish-e-dauraan bhi khud aaj tamaashaa hain kal the jo tamaashaai kyaa jaaniye kyaa gham thaa mil kar bhi ye aalam thaa be-khvaab rahe vo bhi ham ko bhi na niind aai"
"hamaare ahd kaa manzar ajiib manzar hai bahaar chehre pe dil mein khizaan kaa daftar hai na ham-safar naa koi naqsh-e-paa naa rahbar hai junun ki raah mein kuchh hai to jaan kaa Dar hai har ek lamha hamein Dar hai TuuT jaane kaa ye zindagi hai ki bosida kaanch kaa ghar hai isi se laDte hue ek umr biit gai miri anaa hi mire raaste kaa patthar hai tamaam jism hain jis ke khayaal mein larzaan vo tirgi kaa nahin raushni kaa khanjar hai main ek qatra huun lekin miraa nasib to dekh ki be-qaraar mire gham mein ik samundar hai usi ke pichhe ravaan huun main paagalon ki tarah vo ek shai jo miri dastaras se baahar hai isi khayaal se miltaa hai kuchh sakun dil ko ki naa-suburi to is daur kaa muqaddar hai kabhi to is se mulaaqaat ki ghaDi aae jo mere dil mein basaa hai jo mere andar hai uqaab-e-zulm ke panje abhi kahaan TuuTe abhi to faakhta-e-aman khuun mein tar hai khudaa ki maar ho is jehl-e-aagahi pe 'hafiz' ba-zoam-e-khud yahaan har shakhs ik payambar hai"
"ye kaisi havaa-e-gham-o-aazaar chali hai khud baad-e-bahaari bhi sharar-baar chali hai dekhi hi na thi jis ne shikast aaj tak apni vo chashm-e-fusun-khez bhi dil haar chali hai ab koi hadis-e-qad-o-gesu nahin suntaa duniyaa mein vo rasm-e-rasan-o-daar chali hai taktaa hi nahin koi mai o jaam ki jaanib kyaa chaal ye tu ne nigah-e-yaar chali hai vo log kahaan jaaein jo kaafir hain na din-daar phir kashmakash-e-kaafir-o-din-daar chali hai baat aur bhi kuchh mai ki mazammat ke alaava ye baat to ai shaikh kai baar chali hai divaangi-e-shauq mein jo kar gae ham log meyaar-e-khirad ban ke vo guftaar chali hai saazish na ho kuchh dair o haram vaalon ki is mein suntaa huun ki mai-khaane mein talvaar chali hai kab yaad kiyaa ham ko 'hafiz' ahl-e-chaman ne jab ziist su-e-vaadi-e-pur-khaar chali hai"
More on Dil
View all →"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"