SHAWORDS

kahin khalaa mein koi ruuh chikhti hogi — Balraj Hairat

HomeBalraj HairatGhazal
"kahin khalaa mein koi ruuh chikhti hogi miraa khayaal hai ab shaam Dhal chuki hogi paDhaa to thaa kahin main ne kisi faqir kaa qaul baghaavaton ki nigahbaan supurdagi hogi main khud se mahv-e-takallum thaa be-hijaabaana mujhe khabar na thi duniyaa bhi sun rahi hogi mire vajud ko aahang bhi usi ne diyaa mire adam kaa sabab bhi yahi sadi hogi abhi abhi jo sar-e-rahguzar mili thi mujhe vo dhuup chhaanv ki murat kahaan gai hogi safina-e-vaqt kise apne munh lagaataa hai hamin ne phir koi baat aisi vaisi ki hogi hayaat mein vo maqaam aa rahaa hai ab ki jahaan na e'tiqaad muaavin na aagahi hogi ajiib khauf musallat dil-o-dimaagh pe hai mire safar ki ye shab shaayad aakhiri hogi ye january kaa mahina bhi kaT gayaa 'hairat' khudaa ke fazl se kal ek farvari hogi"
Urdu

کہیں خلا میں کوئی روح چیختی ہوگی مرا خیال ہے اب شام ڈھل چکی ہوگی پڑھا تو تھا کہیں میں نے کسی فقیر کا قول بغاوتوں کی نگہباں سپردگی ہوگی میں خود سے محو تکلم تھا بے حجابانہ مجھے خبر نہ تھی دنیا بھی سن رہی ہوگی مرے وجود کو آہنگ بھی اسی نے دیا مرے عدم کا سبب بھی یہی صدی ہوگی ابھی ابھی جو سر رہ گزر ملی تھی مجھے وہ دھوپ چھانو کی مورت کہاں گئی ہوگی سفینۂ وقت کسے اپنے منہ لگاتا ہے ہمیں نے پھر کوئی بات ایسی ویسی کی ہوگی حیات میں وہ مقام آ رہا ہے اب کہ جہاں نہ اعتقاد معاون نہ آگہی ہوگی عجیب خوف مسلط دل و دماغ پہ ہے مرے سفر کی یہ شب شاید آخری ہوگی یہ جنوری کا مہینہ بھی کٹ گیا حیرتؔ خدا کے فضل سے کل ایک فروری ہوگی

Hindi

कहीं ख़ला में कोई रूह चीख़ती होगी मिरा ख़याल है अब शाम ढल चुकी होगी पढ़ा तो था कहीं मैं ने किसी फ़क़ीर का क़ौल बग़ावतों की निगहबाँ सुपुर्दगी होगी मैं ख़ुद से महव-ए-तकल्लुम था बे-हिजाबाना मुझे ख़बर न थी दुनिया भी सुन रही होगी मिरे वजूद को आहंग भी उसी ने दिया मिरे अदम का सबब भी यही सदी होगी अभी अभी जो सर-ए-रहगुज़र मिली थी मुझे वो धूप छाँव की मूरत कहाँ गई होगी सफ़ीना-ए-वक़्त किसे अपने मुँह लगाता है हमीं ने फिर कोई बात ऐसी वैसी की होगी हयात में वो मक़ाम आ रहा है अब कि जहाँ न ए'तिक़ाद मुआविन न आगही होगी अजीब ख़ौफ़ मुसल्लत दिल-ओ-दिमाग़ पे है मिरे सफ़र की ये शब शायद आख़िरी होगी ये जनवरी का महीना भी कट गया 'हैरत' ख़ुदा के फ़ज़्ल से कल एक फ़रवरी होगी

kahīñ ḳhalā meñ koī ruuh chīḳhtī hogī
Balraj Hairat
Balraj Hairat
Balraj Hairat
poet20 quotes

More by Balraj Hairat

View all →
Quote
"qarnon puraanaa vaqt ko lalkaartaa huaa ik shahr hai hamaare bhi andar basaa huaa suljhaa rahaa thaa arz-o-samaa ki vo gutthiyaan sabhi sab ke liye khud ek mo'amma banaa huaa shaayad nizaam-e-shamsi ke siine kaa khvaab thaa main dekhtaa rahaa jise aankhein banaa huaa ab us ko aaftaab mein Dhalne kaa hukm do ik ashk-e-gham hai nok-e-mizha par khaDaa huaa khud mein na jazb kar luun kahin teri zaat ko sar-taa-qadam main zauq-e-talab mein rachaa huaa phir chhaa rahaa hai zehn par ik saaya dosto sab kuchh sameTtaa huaa khud phailtaa huaa tanhaa tumhin to markaz-e-asraar-e-dil na the main bhi vahin kahin thaa tumhein dekhtaa huaa ruhein na jaane kaun si duniyaa mein kho gaiin ik jism chikhtaa hai saDak par paDaa huaa kab tak rahun hazaar jahaan-dar-jahaan liye main darmiyaan azal aur abad ke khaDaa huaa ummid koi harf-o-hikaayat se thi kise lekin nigaah-e-naaz tujhe bhi ye kyaa huaa aankhon mein aa ke jaan khaDi dekhti rahi haathon se daaman-e-gham-e-dil chhuTtaa huaa 'hairat' kahaan the dast-ba-dil dekhte hue'' baarish mein bhigtaa huaa sho'la banaa huaa"
Balraj HairatBalraj Hairat
Quote
"kal aasmaan jaise koi sho'la-zaar thaa suraj ke Dubne mein bhi kitnaa vaqaar thaa is anjuman mein chhanti hamaari to kis ke saath kamzoriyon kaa naam vahaan inkisaar thaa hotaa bhalaa na 'arsh pe us kaa dimaagh kyon aakhir vo barg-e-khushk havaaon kaa yaar thaa har chand us ki aanch se ruhein jhulas gaiin jismon kaa lams phir bhi baDaa khush-gavaar thaa itnaa bhi koi shakhs na tanhaa ho ziist mein saaraa jahaan raat miraa gham-gusaar thaa 'hairat' kuchh us kaa haal hamein bhi sunaaiye jis baada-kash ko baada-parasti se 'aar thaa"
Balraj HairatBalraj Hairat
Quote
"kisi nashshe se beshtar to na thaa rishta-e-gham bhi mo'atabar to na thaa mere anjaam unhein fareb na de kam-basar thaa main kam-nazar to na thaa kam to pahle bhi the na ahl-e-junun lekin ab tak junun hunar to na thaa apni har khud-supurdagi ki qasam main jahaan thaa vo meraa ghar to na thaa ham the raahein taraashne ke liye shaamil is farz mein safar to na thaa saae logon ke sar pe kis ne kiye duur tak ek bhi shajar to na thaa khaak par gir ke miT gayaa aakhir ashk phir ashk thaa guhar to na thaa vaadi-e-marg kyon adam Thahri zindagi se vahaan mafar to na thaa vaqt ki baat hai miyaan 'hairat' dil lagaane mein aisaa Dar to na thaa"
Balraj HairatBalraj Hairat
Quote
"aankh mein aansu nazar mein dard paidaa kar gayaa meraa hansne kaa iraada kyaa ghazab Dhaa kar gayaa main ne barsaaton mein jalte ghar kabhi dekhe na the main isi baa'is tire gham ko gavaaraa kar gayaa meri koshish thi muqaddar ko nai jihatein milin aur isi koshish mein khud ko be-sar-o-paa kar gayaa khush-yaqini bhi khilaa deti hai kaise kaise gul ek din vallaah main khud par bharosaa kar gayaa baat usulon ki nahin hai baat kuchh qadron ki hai khvaab jhuTe the magar main un ko sachchaa kar gayaa bas yahi surat chhupaane ki inhein nikli ki main har kisi ke saamne zakhmon ko nangaa kar gayaa muddaton meri hayaat ummid kaa mehvar rahi phir koi shakhs aa ke 'hairat' sab kuchh ulTaa kar gayaa"
Balraj HairatBalraj Hairat
Quote
"gham-e-nashaat do-'aalam se maavaraa saa lagaa vo jhurriyon se bharaa chehra aaina saa lagaa tilism lutf-o-'inaayat kaa TuTtaa saa lagaa tumhaaraa ruuTh ke jaanaa baDaa bhalaa saa lagaa vo kyaa hai kaise bataaein bas is qadar samjho kabhi badan kabhi khushbu kabhi khalaa saa lagaa main jis kaa naam pata puchhtaa rahaa sab se vo ajnabi to mujhi mein chhupaa huaa saa lagaa koi to baat yaqinan thi us ke chehre mein jise ragon kaa lahu jhaanktaa huaa saa lagaa ye meraa vahm sahi lekin aisaa vahm bhi kyaa har ek shakhs mujhe khud se kuchh khafaa saa lagaa jo naam vird-e-zabaan aaj tak rahaa 'hairat' vo naam aaj achaanak nayaa nayaa saa lagaa"
Balraj HairatBalraj Hairat

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari