"izhaar-e-sadaaqat mein asar kyon nahin hotaa ab meri taraf un kaa guzar kyon nahin hotaa khushbu kaa ye bikhraav bhi tauhin-e-chaman hai ehsaas tujhe baad-e-sahar kyon nahin hotaa kyon fikr se mahrum hain is daur ki naslein pahlaa saa zabaanon mein asar kyon nahin hotaa jo baat idhar hai vo udhar kyon nahin jaati jo karb idhar hai vo udhar kyon nahin hotaa is shahr-e-zabun-haal mein takhrib kaa ehsaas honaa to zaruri hai magar kyon nahin hotaa fankaar isi kashmakash-e-vaqt mein gum hain baazaar kharidaar-e-hunar kyon nahin hotaa allaah ko karte hain musibat mein sabhi yaad ye vird magar shaam-o-sahar kyon nahin hotaa khud-bin hain sabhi aur ye bataane se hain maa’zur aaine se nuqsaan-e-nazar kyon nahin hotaa peshaani-e-kohsaar pe suraj kaa hai milaad vaadi mein magar shor-e-sahar kyon nahin hotaa ho jis ke payambar kaa guzar ‘arsh-e-barin par ummat kaa sitaaron mein safar kyon nahin hotaa hairaan huun ki 'iqbaal' ki taa'lim kaa 'daanish' is shahr ke logon pe asar kyon nahin hotaa"
kal raat kuchh ajiib samaan gham-kade mein thaa — Ehsan Danish Kandhlvi
"kal raat kuchh ajiib samaan gham-kade mein thaa main jis ko DhunDhtaa thaa mire aaine mein thaa jis ki nigaah mein thiin sitaaron ki manzilein vo mir-e-kaaenaat usi qaafile mein thaa rahgir sun rahe the ye kis jashn-e-nau kaa shor kal raat meraa zikr ye kis silsile mein thaa raqsaan the rind jaise bhanvar mein shafaq ke phuul jo paanv paD rahaa thaa baDe qaaede mein thaa chhiDkaa jise 'adam ke samundar pe aap ne sahraa tamaam khaak ke us bulbule mein thaa mannat-guzaar-e-ahl-e-havas ho sakaa na dil haail miraa zamir mire raaste mein thaa hai farz is ataa-e-junun kaa bhi shukriya lekin ye be-shumaar karam kis sile mein thaa ab aa ke kah rahe ho ki rusvaai se Daro ye baal to kabhi kaa mire aaine mein thaa suntaa huun sar-nigun the farishte mire huzur main jaane apni zaat ke kis marhale mein thaa hain sabt mere dil pe zamaane ki Thokarein main ek sang-e-raah thaa jis raaste mein thaa kuchh bhi na thaa azal mein ba-juz shoala-e-vajud haan duur tak 'adam kaa dhuaan haashiye mein thaa main ne jo apnaa naam pukaaraa to hans paDaa ye mujh saa kaun shakhs mire raaste mein thaa thi nuqta-e-nigaah tak aazaadi-e-amal parkaar ki tarah main ravaan daaere mein thaa zanjir ki sadaa thi na mauj-e-shamim-e-zulf ye kyaa tilism un ke mire faasle mein thaa ab ruuh e'tiraaf-e-badan se hai munharif ik ye bhi sang-e-mil mire raaste mein thaa 'daanish' kai nasheb-e-nazar se guzar gae har rind aaine ki tarah mai-kade mein thaa"
کل رات کچھ عجیب سماں غم کدے میں تھا میں جس کو ڈھونڈھتا تھا مرے آئنے میں تھا جس کی نگاہ میں تھیں ستاروں کی منزلیں وہ میر کائنات اسی قافلے میں تھا رہ گیر سن رہے تھے یہ کس جشن نو کا شور کل رات میرا ذکر یہ کس سلسلے میں تھا رقصاں تھے رند جیسے بھنور میں شفق کے پھول جو پاؤں پڑ رہا تھا بڑے قاعدے میں تھا چھڑکا جسے عدم کے سمندر پہ آپ نے صحرا تمام خاک کے اس بلبلے میں تھا منت گزار اہل ہوس ہو سکا نہ دل حائل مرا ضمیر مرے راستے میں تھا ہے فرض اس عطائے جنوں کا بھی شکریہ لیکن یہ بے شمار کرم کس صلے میں تھا اب آ کے کہہ رہے ہو کہ رسوائی سے ڈرو یہ بال تو کبھی کا مرے آئینے میں تھا سنتا ہوں سرنگوں تھے فرشتے مرے حضور میں جانے اپنی ذات کے کس مرحلے میں تھا ہیں ثبت میرے دل پہ زمانے کی ٹھوکریں میں ایک سنگ راہ تھا جس راستے میں تھا کچھ بھی نہ تھا ازل میں بجز شعلۂ وجود ہاں دور تک عدم کا دھواں حاشیے میں تھا میں نے جو اپنا نام پکارا تو ہنس پڑا یہ مجھ سا کون شخص مرے راستے میں تھا تھی نقطۂ نگاہ تک آزادئ عمل پرکار کی طرح میں رواں دائرے میں تھا زنجیر کی صدا تھی نہ موج شمیم زلف یہ کیا طلسم ان کے مرے فاصلے میں تھا اب روح اعتراف بدن سے ہے منحرف اک یہ بھی سنگ میل مرے راستے میں تھا دانشؔ کئی نشیب نظر سے گزر گئے ہر رند آئنے کی طرح میکدے میں تھا
कल रात कुछ अजीब समाँ ग़म-कदे में था मैं जिस को ढूँढता था मिरे आइने में था जिस की निगाह में थीं सितारों की मंज़िलें वो मीर-ए-काएनात उसी क़ाफ़िले में था रहगीर सुन रहे थे ये किस जश्न-ए-नौ का शोर कल रात मेरा ज़िक्र ये किस सिलसिले में था रक़्साँ थे रिंद जैसे भँवर में शफ़क़ के फूल जो पाँव पड़ रहा था बड़े क़ाएदे में था छिड़का जिसे 'अदम के समुंदर पे आप ने सहरा तमाम ख़ाक के उस बुलबुले में था मन्नत-गुज़ार-ए-अहल-ए-हवस हो सका न दिल हाइल मिरा ज़मीर मिरे रास्ते में था है फ़र्ज़ इस अता-ए-जुनूँ का भी शुक्रिया लेकिन ये बे-शुमार करम किस सिले में था अब आ के कह रहे हो कि रुस्वाई से डरो ये बाल तो कभी का मिरे आईने में था सुनता हूँ सर-निगूँ थे फ़रिश्ते मिरे हुज़ूर मैं जाने अपनी ज़ात के किस मरहले में था हैं सब्त मेरे दिल पे ज़माने की ठोकरें मैं एक संग-ए-राह था जिस रास्ते में था कुछ भी न था अज़ल में ब-जुज़ शो'ला-ए-वजूद हाँ दूर तक 'अदम का धुआँ हाशिए में था मैं ने जो अपना नाम पुकारा तो हँस पड़ा ये मुझ सा कौन शख़्स मिरे रास्ते में था थी नुक़्ता-ए-निगाह तक आज़ादी-ए-अमल परकार की तरह मैं रवाँ दाएरे में था ज़ंजीर की सदा थी न मौज-ए-शमीम-ए-ज़ुल्फ़ ये क्या तिलिस्म उन के मिरे फ़ासले में था अब रूह ए'तिराफ़-ए-बदन से है मुन्हरिफ़ इक ये भी संग-ए-मील मिरे रास्ते में था 'दानिश' कई नशेब-ए-नज़र से गुज़र गए हर रिंद आइने की तरह मय-कदे में था

More by Ehsan Danish Kandhlvi
View all →"hausle maayus zauq-e-justuju naakaam hai ye dil-e-naa-mahram-e-anjaam kaa anjaam hai aankh kyaa hai husn ki ranginiyon kaa aaina dil hai kyaa khun-e-tamannaa kaa chhalaktaa jaam hai dijiye bimaar-e-ulfat ki jigar-daari ki daad nazaa kaa aalam hai honTon par tumhaaraa naam hai phir vo yaad aae hui madhosh dil ki kaaenaat phir uThaa dard-e-jigar phir kuchh mujhe aaraam hai khaak-daan-e-dahr mein taskin kaa juuyaa na ho aah jab tak dil dhaDaktaa hai kahaan aaraam hai vo to dil mein dard ki duniyaa basaa kar chal diye mujh ko har taar-e-nafas ik maut kaa paighaam hai vaasil-e-mizraab-e-khaamoshi hai har taar-e-nafas us se kah do ab tire bimaar ko aaraam hai kar rahaa huun doston ke zoam par tark-e-vatan shaayad ab aaghaaz-e-daur-e-gardish-e-ayyaam hai"
"tiraa jamaal tiraa husn kaamgaar rahe vo kyaa kare na jise dil pe ikhtiyaar rahe hazaar kasrat-e-raaanaa ne chilmanein Daalin ba-har-hijaab-e-taayyun vo aashkaar rahe miri nazar kaa to kyaa zikr khud bahaar ke phuul fareb-khurda-e-rangini-e-bahaar rahe kisi maqaam pe dil ko sukun ho kyaa maani jo be-qaraar-e-azal hai vo be-qaraar rahe usi navaah mein ahl-e-nazar bhi mumkin hain kuchh aur der sar-e-tur intizaar rahe tamaam phuul the aur zarf-e-daaman-e-gulchin jo bach gae vo charaagh-e-shab-bahaar rahe miri nigaah mein hai vo harim-e-zebaai kaniz ban ke jahaan mariyam-e-bahaar rahe khizaan khizaan ho to daur-e-bahaar kyaa maani bahaar ho to khizaan kyuun bane bahaar rahe jahaan-e-husn ke asraar paa nahin saktaa jo ishq apni hadon tak hi be-qaraar rahe miri nazar se vo jalve na rah sake mastur jo zer-e-parda-e-pairaahan-e-bahaar rahe chhuDaa chukaa huun main dast-e-majaaz se daaman haqiqat apne hijaabon se hoshiyaar rahe main moDtaa huun isi rukh se kaarvaan apnaa kuchh aur der ufuq par abhi ghubaar rahe junun-e-shauq mein tahqiq-e-rang-o-bu kaisi rahe chaman mein to divaana-e-bahaar rahe hain is tarah ke zavaabit bhi be-qaraari mein ki tere saath zamaana bhi be-qaraar rahe vo sirf mere hain 'ehsaan' main faqat un kaa hai naagavaar kisi ko to naagavaar rahe"
"yuun us pe miri arz-e-tamannaa kaa asar thaa jaise koi suraj ki tapish mein gul-e-tar thaa uThti thiin darichon pe hamaari bhi nigaahein apnaa bhi kabhi shahr-e-nigaaraan mein guzar thaa ham jis ke taghaaful ki shikaayat ko gae the aankh us ne uThaai to jahaan zer-o-zabar thaa shaanon pe kabhi the tire bhige hue rukhsaar aankhon pe kabhi meri tarah daaman-e-tar thaa khushbu se moattar hai abhi tak vo guzargaah sadiyon se yahaan jaise bahaaron kaa nagar thaa hai un ke saraapaa ki tarah khush-qad o khush-rang vo sarv kaa paudaa jo sar-e-raahguzar thaa qatre ki taraai mein the tufaan ke nasheman zarre ke ahaate mein bagulon kaa bhanvar thaa is aadam-e-khaaki pe sitaaron ki nazar thi is khaak pe kuchh jalva-e-yazdaan kaa asar thaa main royaa to hansne ki sadaa aai kai yaar vo jaan-e-tamannaa pas-e-divaar-e-nazar thaa 'daanish' thaa ikahraa miraa pairaahan-e-hasti be-parda zamaane pe miraa aib-o-hunar thaa"
"jabin ki dhuul jigar ki jalan chhupaaegaa shuru-e-ishq hai vo fitratan chhupaaegaa damak rahaa hai jo nas nas ki tishnagi se badan is aag ko na tiraa pairahan chhupaaegaa tiraa ilaaj shifaa-gaah-e-asr-e-nau mein nahin khirad ke ghaav tu divaana-pan chhupaaegaa hisaar-e-zabt hai abr-e-ravaan ki parchhaain malaal-e-ruh ko kab tak badan chhupaaegaa nazar kaa fard-e-amal se hai silsila darkaar yaqin na kar ye siyaahi kafan chhupaaegaa kise khabar thi ki ye daur-e-khud-gharaz ik din junun se qimat-e-daar-o-rasan chhupaaegaa tiraa ghubaar zamin par utarne vaalaa hai kahaan tak ab ye bagula thakan chhupaaegaa khulegaa baad-e-nafas se jo rukh pe nil-kanval use kahaan tiraa ujlaa badan chhupaaegaa tire kamaal ke dhabbe tire uruuj ke daagh chhupaaegaa to koi ahl-e-fan chhupaaegaa jise hai faiz miri khaanqaah se 'daanish' vo kis tarah miraa rang-e-sukhan chhupaaegaa"
"ishq har-chand masaaib se pareshaan na huaa na huaa husn magar taaba-e-farmaan na huaa laakh duniyaa ne ye chaahaa ki pareshaan ho magar main tire gham ki hifaazat mein pareshaan na huaa dil ki aavaaz ho mahrum-e-asar kyaa maani ishq kaafir hai agar husn musalmaan na huaa darpai uqda-e-hasti hai azal hi se bashar lekin ik khaak ke zarre kaa bhi irfaan na huaa dil mein har khuun kaa qatra hai talaatum ba-kanaar jo magar aankh se Tapkaa vahi tufaan na huaa to vo aazaad ki be-vajh hai mujh se bhi gurez main vo majbur ki dushman se bhi naalaan na huaa apni paighaam-navaai ke nataaej mein mujhe fikr-e-zindaan to rahaa hai gham-e-zindaan na huaa jis ke mashrab mein mohabbat ho mohabbat kaa javaab meri taqdir mein aisaa koi insaan na huaa ek hi jalve se 'ehsaan' nazar haT na saki mujh se kuchh us ke sivaa kaar-e-numaayaan na huaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"