SHAWORDS

kaliyaan jahaan udaas hon gul mein phaban na ho — Ahsan Aazmi

HomeAhsan AazmiGhazal
"kaliyaan jahaan udaas hon gul mein phaban na ho yaa-rab kahin bhi aisi bahaar-e-chaman na ho hote nahin hain maarka-e-ishq sar kabhi dil mein agar junun na ho sar par kafan na ho ik din zarur aaegi phir rut bahaar ki khush meri bebasi pe ai charkh-e-kuhan na ho shahr-e-sitamgaraan hai ye mumkin nahin yahaan ahl-e-vafaa se zinat-e-daar-o-rasan na ho kaise vo qaum hogi bhalaa kaamyaab aaj din-daar jis kaa dil na ho dil mein lagan na ho be faiz har libaas hai ai dukhtaraan-e-qaum pairaahan-e-hayaa hi agar zeb-e-tan na ho bazm-e-tarab sajaaiye yaa gham ki anjuman paamaal bas rivaayat-e-gang-o-jaman na ho is nasl-e-nau se kaise ho ummid-e-behtari jis kaa amal na khuub ho behtar chalan na ho afkaar ki uDaan mein aa jaati hai kami qaaem agar tasalsul-e-mashq-e-sukhan na ho 'ahsan' na honaa gardish-e-haalaat se udaas hai kaun jis ki ziist mein ranj-o-mehan na ho"
Urdu

کلیاں جہاں اداس ہوں گل میں پھبن نہ ہو یا رب کہیں بھی ایسی بہار چمن نہ ہو ہوتے نہیں ہیں معرکۂ عشق سر کبھی دل میں اگر جنوں نہ ہو سر پر کفن نہ ہو اک دن ضرور آئے گی پھر رت بہار کی خوش میری بے بسی پہ اے چرخ کہن نہ ہو شہر ستمگراں ہے یہ ممکن نہیں یہاں اہل وفا سے زینت دار و رسن نہ ہو کیسے وہ قوم ہوگی بھلا کامیاب آج دیدا جس کا دل نہ ہو دل میں لگن نہ ہو بے فیض ہر لباس ہے اے دختران قوم پیراہن حیا ہی اگر زیب تن نہ ہو بزم طرب سجائیے یا غم کی انجمن پامال بس روایت گنگ و جمن نہ ہو اس نسل نو سے کیسے ہو امید بہتری جس کا عمل نہ خوب ہو بہتر چلن نہ ہو افکار کی اڑان میں آ جاتی ہے کمی قائم اگر تسلسل مشق سخن نہ ہو احسنؔ نہ ہونا گردش حالات سے اداس ہے کون جس کی زیست میں رنج و محن نہ ہو

Hindi

कलियाँ जहाँ उदास हों गुल में फबन न हो या-रब कहीं भी ऐसी बहार-ए-चमन न हो होते नहीं हैं मारका-ए-इश्क़ सर कभी दिल में अगर जुनूँ न हो सर पर कफ़न न हो इक दिन ज़रूर आएगी फिर रुत बहार की ख़ुश मेरी बेबसी पे ऐ चर्ख़-ए-कुहन न हो शहर-ए-सितमगराँ है ये मुमकिन नहीं यहाँ अहल-ए-वफ़ा से ज़ीनत-ए-दार-ओ-रसन न हो कैसे वो क़ौम होगी भला कामयाब आज दीदार जिस का दिल न हो दिल में लगन न हो बे फ़ैज़ हर लिबास है ऐ दुख़्तरान-ए-क़ौम पैराहन-ए-हया ही अगर ज़ेब-ए-तन न हो बज़्म-ए-तरब सजाइए या ग़म की अंजुमन पामाल बस रिवायत-ए-गंग-ओ-जमन न हो इस नस्ल-ए-नौ से कैसे हो उम्मीद-ए-बेहतरी जिस का अमल न ख़ूब हो बेहतर चलन न हो अफ़्कार की उड़ान में आ जाती है कमी क़ाएम अगर तसलसुल-ए-मश्क़-ए-सुख़न न हो 'अहसन' न होना गर्दिश-ए-हालात से उदास है कौन जिस की ज़ीस्त में रंज-ओ-मेहन न हो

kaliyāñ jahāñ udaas hoñ gul meñ phaban na ho
Ahsan Aazmi
Ahsan Aazmi
Ahsan Aazmi
poet10 quotes

More by Ahsan Aazmi

View all →
Quote
"fazaa-e-sahn-e-chaman aaj saazgaar nahin yahaan bahaar to hai raunaq-e-bahaar nahin ho laakh husn-e-sifat aap zi-vaqaar nahin amir-e-shahr ki saf mein agar shumaar nahin sukun chhin gayaa aasaaishon ke milne se hai kaun aaj ghamon se jo ham-kanaar nahin tabaahiyon ki taraf gaamzan hai ye duniyaa jahaan ye amn ho aisaa koi dayaar nahin ho is tarah se nigaah-e-jahaan mein qadr miri khudaa-e-vaqt huun main koi shahr-yaar nahin har ek chashm-e-karam mein fareb pinhaan hai koi kisi kaa haqiqat mein gham-gusaar nahin milegi kaise yahaan par kisi ko pyaar ki chhaanv shajar khulus kaa ab koi saaya-daar nahin ise hi kaifiyat-e-ishq kahte hain shaayad hamein sukun nahin hai unhein qaraar nahin abhi to kam hai tire tir-e-nim-kash kaa asar abhi ye dil miraa tufaan se ham-kanaar nahin ab itni gir gai ye sath-e-dosti apni hamein yaqin nahin un ko eatibaar mein shab-e-firaaq Daraae na khvaab-e-vahshat se hamein to khvaab ki baaton kaa eatibaar nahin khudaa ke khauf se aari hai us kaa dil 'ahsan' khataa pe apni zaraa bhi jo sharmsaar nahin"
Ahsan AazmiAhsan Aazmi
Quote
"nafrat ke andheron ko miTaa kyon nahin dete lau sham-e-mohabbat ki baDhaa kyon nahin dete chaahat hai agar amn ki ai amn ke khugar divaar taassub ki giraa kyon nahin dete kyon karte ho khuun adl kaa mansab ki ihaanat munsif ho to mujrim ko sazaa kyon nahin dete ai rahbaro tum jaise ho guftaar mein yaktaa kirdaar kaa sikka bhi biThaa kyon nahin dete taariq si futuhaat kaa armaan agar hai saahil pe safine ko jalaa kyon nahin dete bante ho jo tum usva-e-aslaaf ke pairav dushnaam-taraazon ko duaa kyon nahin dete saf mein jo adu surat-e-ahbaab hain un ke chehron se hijaabaat uThaa kyon nahin dete kyon jaate ho tum mujh ko lagaate hue Thokar patthar huun to raste se haTaa kyon nahin dete 'ahsan' tumhein paanaa hai jo mearaaj-e-bulandi sar rab ke huzur apnaa jhukaa kyon nahin dete"
Ahsan AazmiAhsan Aazmi
Quote
"dil mein imaan to hai jazba-e-imaan na sahi ham musalmaan to hain shaan-e-musalmaan na sahi rab ki rahmat kaa sahaaraa hi hamein kaafi hai aaj duniyaa mein koi apnaa nigahbaan na sahi tiin sau terah ne ye badr mein paighaam diyaa azm-o-imaan hai to jang kaa saamaan na sahi ham to hain aaj bhi tazin-e-gulistaan mein sharik apne haathon mein nahin nazm-e-gulistaan na sahi aslahon ki mire qaatil ko zarurat kyaa hai tir-e-mizhgaan hai bahut khanjar-o-paikaan na sahi main ne palkon pe sajaa rakkhe hain ashkon ke charaagh mere TuuTe hue chhappar mein charaaghaan na sahi maal-o-zar paas nahin tosha-e-ulfat ke sivaa koi saamaan to hai ziist kaa saamaan na sahi aaj ki shab kisi bhuke ki ziyaafat kar de ghar mein tere nahin 'ahsan' koi mehmaan na sahi"
Ahsan AazmiAhsan Aazmi
Quote
"bigDi hui jab hoti hai taqdir kisi ki kaam aati nahin aise mein tadbir kisi ki dil jiit liye apnon ke begaanon ke pal mein guftaar mein aisi bhi hai taasir kisi ki ye faateh-e-aqlim to ho sakti hai lekin dil jiit na paai kabhi shamshir kisi ki tahzib-o-tamaddun kaa chalan uTh gayaa shaayad kartaa hai kahaan ab koi tauqir kisi ki allaah re ye adl ye mizaan-e-adaalat paataa hai sazaa koi hai taqsir kisi ki soe hain abhi ahl-e-junun qaid-e-qafas mein pairon mein khanakti nahin zanjir kisi ki har lab pe faqat amn ki baatein hon khudaayaa ho vajh-e-fasaadaat na taqrir kisi ki ye husn kaa eajaaz hai yaa nashsha-e-mai hai saaghar mein utar aai hai tasvir kisi ki shohrat ki tamanna hai to kar jehd-e-musalsal 'ahsan' yunhi hoti nahin tashhir kisi ki"
Ahsan AazmiAhsan Aazmi
Quote
"nashaat-e-hasti-e-faani ki justuju kyaa hai jo be-sabaat hai phir us ki aarzu kyaa hai fanaa kaa zaaiqa chakhnaa paDegaa har shai ko ye husn-e-zist ye duniyaa-e-rang-o-bu kyaa hai milegaa khaak mein teraa ghurur bhi zaalim baDe baDon ko zamin khaa gai hai tu kyaa hai talaash-e-yaar mein sahraa-navardiyaan kaisi jo dil ke paas hai phir us ki justuju kyaa hai jamaal-e-yaar ki tujh se misaal kaise duun falak ke chaand tiraa husn kyaa hai tu kyaa hai zaraa si baat pe bah jaaein khuun ki nadiyaan koi bataae yahaan qimat-e-lahu kyaa hai badan ko noch lo badle mein roTiyaan de do shikam ki bhuuk ke aage ye aabru kyaa hai hain ab bhi aise musalmaan jo jaante hi nahin namaaz roza kise kahte hain vuzu kyaa hai dilon mein jazba-e-akhlaaq ho to baat bane zabaan se amn ki be-faiz guftugu kyaa hai talaash karnaa phir auron ke aib ko 'ahsan' tu pahle jaan le anjaam-e-aib-ju kyaa hai"
Ahsan AazmiAhsan Aazmi
Quote
"hain munfarid amal se ye guftaar se alag rahbar judaa hain qaul se kirdaar se alag honge na ghair ke sitam-aazaar se alag jab tak na honge ham saf-e-aghyaar se alag qasr-e-khulus ho gayaa mismaar is tarah baiThe hain log saaya-e-divaar se alag tahzib ke zavaal pe hairat na kijiye ye ahd-e-nau hai saabiqa advaar se alag kar lete hain ye jumbish-e-abru se guftugu hain ahl-e-ishq zahmat-e-izhaar se alag tark-e-hayaa ne chhin liyaa mah-vashon kaa husn be-qadr hain ye ho ke hayaa-daar se alag sarmaaya-e-hayaat mohabbat vafaa khulus daulat hai apni daulat-e-zardaar se alag shaan-e-khudi bachaae hue maslahat se duur main ji rahaa huun vaqt ki raftaar se alag 'ahsan' ko aarzu nahin naam-o-numud ki rakhtaa hai khud ko kucha-o-baazaar se alag"
Ahsan AazmiAhsan Aazmi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil