SHAWORDS

kaTaa na koh-e-alam ham se kohkan ki tarah — Athar Nadir

HomeAthar NadirGhazal
"kaTaa na koh-e-alam ham se kohkan ki tarah badal sakaa na zamaana tire chalan ki tarah hazaar baar kiyaa khun-e-aarzu ham ne jabin-e-dahr pe phir bhi rahe shikan ki tarah savaad-e-shab ki ye tanhaaiyaan bhi Dasti hain ye chaandni bhi nazar aati hai kafan ki tarah tamaam shahr hai begaana log naa-maanus vatan mein apne hain ham ek be-vatan ki tarah khayaal-e-dost na hasrat na aarzu na umiid ye dil hai ab kisi ujDe hue chaman ki tarah sukun-e-qalb to kyaa hai qaraar-e-jaan bhi luTaa tumhaari yaad bhi aai to raahzan ki tarah 'ajab nahin ki sar-e-shahr-e-aarzu 'naadir' hamaaraa dil bhi jale sham'-e-anjuman ki tarah"
Urdu

کٹا نہ کوہ الم ہم سے کوہ کن کی طرح بدل سکا نہ زمانہ ترے چلن کی طرح ہزار بار کیا خون آرزو ہم نے جبین دہر پہ پھر بھی رہے شکن کی طرح سواد شب کی یہ تنہائیاں بھی ڈستی ہیں یہ چاندنی بھی نظر آتی ہے کفن کی طرح تمام شہر ہے بیگانہ لوگ نا مانوس وطن میں اپنے ہیں ہم ایک بے وطن کی طرح خیال دوست نہ حسرت نہ آرزو نہ امید یہ دل ہے اب کسی اجڑے ہوئے چمن کی طرح سکون قلب تو کیا ہے قرار جاں بھی لٹا تمہاری یاد بھی آئی تو راہزن کی طرح عجب نہیں کہ سر شہر آرزو نادرؔ ہمارا دل بھی جلے شمع انجمن کی طرح

Hindi

कटा न कोह-ए-अलम हम से कोहकन की तरह बदल सका न ज़माना तिरे चलन की तरह हज़ार बार किया ख़ून-ए-आरज़ू हम ने जबीन-ए-दहर पे फिर भी रहे शिकन की तरह सवाद-ए-शब की ये तन्हाइयाँ भी डसती हैं ये चाँदनी भी नज़र आती है कफ़न की तरह तमाम शहर है बेगाना लोग ना-मानूस वतन में अपने हैं हम एक बे-वतन की तरह ख़याल-ए-दोस्त न हसरत न आरज़ू न उमीद ये दिल है अब किसी उजड़े हुए चमन की तरह सुकून-ए-क़ल्ब तो क्या है क़रार-ए-जाँ भी लुटा तुम्हारी याद भी आई तो राहज़न की तरह 'अजब नहीं कि सर-ए-शहर-ए-आरज़ू 'नादिर' हमारा दिल भी जले शम'-ए-अंजुमन की तरह

kaTā na koh-e-alam ham se kohkan kī tarah
Athar Nadir
Athar Nadir
Athar Nadir
poet41 quotes

More by Athar Nadir

View all →
Quote
"raat aangan mein chaand utraa thaa tum mile the ki khvaab dekhaa thaa ab ki khud hain hisaar-e-zaat mein band varna apnaa bhi zor chaltaa thaa shisha-e-dil pe aisi choT paDi ek lamhe mein reza reza thaa us ke kuche ke ho liye varna raasta har taraf nikaltaa thaa rut jo badli to ye bhi dekh liyaa patta patta zamin pe bikhraa thaa ek khushbu hai jaani pahchaani is kharaabe mein kaun rahtaa hai mom ki tarah vo pighal saa gayaa vo jo patthar ki tarah lagtaa thaa ab ki sunte nahin ho baat magar phir kahoge ki koi kahtaa thaa raat sunsaan thi magar 'naadir' hashr saa dil mein ek barpaa thaa"
Athar NadirAthar Nadir
Quote
"ham ko maalum hai baaton ki sadaaqat teri log kyaa kyaa nahin karte hain shikaayat teri malka-e-husn nahin phir bhi tu ai jaan-e-vafaa achchhi lagti hai bahut hi mujhe surat teri koi mushkil bhi ho khaatir mein na laate the kabhi hausla kitnaa baDhaati thi rifaaqat teri tu hi batlaa ki bhalaa tujh ko bhulaaein kyuun kar saamne aankhon ke aa jaati hai surat teri kyaa kahein ham ki guzar jaati hai dil par kyaa kyaa yaad aati hai jo rah rah ke inaayat teri log kyaa saada hain ummid-e-vafaa rakhte hain jaise maalum nahin un ko haqiqat teri ab kahaan rahtaa hai kyaa kartaa hai 'naadir' mere muddaton baad nazar aati hai surat teri"
Athar NadirAthar Nadir
Quote
"gham ke maaron kaa hai sahaaraa chaand kitnaa achchhaa hai kitnaa pyaaraa chaand zard chehra hai chaandni phiki kahin furqat kaa ho na maaraa chaand tu har ik kaa hai aur kisi kaa nahin log kahte rahein hamaaraa chaand ham jahaan jaaein jis taraf jaaein saath rahtaa hai ye dil-aaraa chaand baDh gai aur dil ki betaabi jaane kyaa kar gayaa ishaaraa chaand ham tire paas khud chale aae teri duuri nahin gavaaraa chaand raat-bhar saath thaa magar 'naadir' subh-dam kar gayaa kinaaraa chaand"
Athar NadirAthar Nadir
Quote
"tu khush-nasib hai har shakhs hai asiron mein likhaa huaa hai tire haath ki lakiron mein jo ho sake to mujhe bhi kahin talaash karo main kho gayaa huun khayaalaat ke jaziron mein ye inqilaab-e-zamaana nahin to phir kyaa hai amir-e-shahr jo kal thaa vo hai faqiron mein hamein ye chaahiye hushiyaar rahbaron se rahein ki zahr bhi hain lage maslahat ke tiron mein saDak pe ho gayaa phir koi haadisa shaayad ik iztiraab saa lagtaa hai raahgiron mein khulus-e-fan hi to 'naadir' kaa hai ki shaamil hai ab us kaa naam bhi shahr-e-sukhan ke miron mein"
Athar NadirAthar Nadir

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari