"main TuuT kar use chaahun ye ikhtiyaar bhi ho sameT legaa mujhe is kaa e'tibaar bhi ho nai ruton mein vo kuchh aur bhi qarib aae gai ruton kaa sulagtaa saa intizaar bhi ho main us ke saath ko har lamha mo'tabar jaanun vo ham-safar hai to mujh saa hi be-dayaar bhi ho mire khulus kaa andaaz ye bhi sachchaa hai rakhkhun na rabt magar dosti shumaar bhi ho safar pe niklun to rasm-e-safar badal jaae kinaara baDh ke kabhi khud hi ham-kanaar bhi ho"
kaun khvaahish kare ki aur jiye — Fatima Hasan
"kaun khvaahish kare ki aur jiye ek bezaar zindagi ke liye aur koi nahin hai us ke sivaa sukh diye dukh diye usi ne diye aao honTon pe lafz rakh lein ham ek muddat hui hai baat kiye zakhm ko raas aa gai hai havaa ab masihaa ise siye na siye us ke piyaale mein zahr hai ki sharaab kaise maalum ho baghair piye ab thakan dard banti jaati hai dil se kuchh kaam bhi to aise liye main ne maan kaa libaas jab pahnaa mujh ko titli ne apne rang diye"
کون خواہش کرے کہ اور جیے ایک بیزار زندگی کے لیے اور کوئی نہیں ہے اس کے سوا سکھ دیے دکھ دیے اسی نے دیے آؤ ہونٹوں پہ لفظ رکھ لیں ہم ایک مدت ہوئی ہے بات کیے زخم کو راس آ گئی ہے ہوا اب مسیحا اسے سیے نہ سیے اس کے پیالے میں زہر ہے کہ شراب کیسے معلوم ہو بغیر پیے اب تھکن درد بنتی جاتی ہے دل سے کچھ کام بھی تو ایسے لیے میں نے ماں کا لباس جب پہنا مجھ کو تتلی نے اپنے رنگ دیے
कौन ख़्वाहिश करे कि और जिए एक बेज़ार ज़िंदगी के लिए और कोई नहीं है उस के सिवा सुख दिए दुख दिए उसी ने दिए आओ होंटों पे लफ़्ज़ रख लें हम एक मुद्दत हुई है बात किए ज़ख़्म को रास आ गई है हवा अब मसीहा इसे सिए न सिए उस के प्याले में ज़हर है कि शराब कैसे मालूम हो बग़ैर पिए अब थकन दर्द बनती जाती है दिल से कुछ काम भी तो ऐसे लिए मैं ने माँ का लिबास जब पहना मुझ को तितली ने अपने रंग दिए

More by Fatima Hasan
View all →"miri zamin pe lagi aap ke nagar mein lagi lagi hai aag jahaan bhi kisi ke ghar mein lagi ajiib raqs ki vahshat ki taal hai jis mein ajiib taal jo aaseb ke asar mein lagi kivaaD band kahaan muntazir the aahaT ke lagi jo der to dahliz tak safar mein lagi tamaam khvaab the vaabasta us ke hone se so meri aankh bhi bas saaya-e-shajar mein lagi hisaar-e-zaat nahin thaa tilism-e-ishq thaa vo khabar hui to magar der is khabar mein lagi dahakte rang the jo aasmaan chhute the khile the phuul ki ik aag si shajar mein lagi adhure lafz the aavaaz ghair-vaazeh thi duaa ko phir bhi nahin der kuchh asar mein lagi palaT ke dekhaa to bas hijratein thiin daaman mein agarche umr yahaan ik guzar-basar mein lagi parind lauT kar aae the kin zaminon se kahaan ki dhuul thi jo un ke baal-o-par mein lagi"
"jin khvaahishon ko dekhti rahti thi khvaab mein ab likh rahi huun un ko haqiqat ke baab mein ik jhiil ke kinaare parindon ke darmiyaan suraj ko hote dekhaa thaa tahlil aab mein khvaabon pe ikhtiyaar na yaadon pe zor hai kab zindagi guzaari hai apne hisaab mein ik haath us kaa jaal pe patvaar ek mein aur Dubtaa vajud miraa sail-e-aab mein purvaai chal ke aur bhi vahshat baDhaa gai halki si aa gai thi kami iztiraab mein aazaad hain to baagh kaa mausam hi aur hai khushbu hai tez rang bhi gahraa gulaab mein apni zamin ki aab-o-havaa raas hai mujhe mere liye kashish nahin koi saraab mein dekho junun mein un ke khilaune na toDnaa tum ko raqam kareinge ye bachche kitaab mein"
"vafaa-sarisht huun duuri mein bhi mohabbat hai akele rahne mein lekin baDi aziyyat hai ye jaagti hai to phir der tak jagaati hai mire vajud mein soi hui jo vahshat hai jahaan pe ishq ki sarhad junun se milti hai vahaan pe aa ke mile vo agar mohabbat hai bahut hain khvaab magar khvaab hi se kyaa hogaa hamaare biich jo haail hai vo haqiqat hai vo daur aayaa ki vo bhi gharon ko chhoD gae jo sochte the ki ab mustaqil sukunat hai samajh rahi thi main apne qayaam ko manzil khabar nahin thi ki aage bhi ek hijrat hai bahut se log dilon mein chhupaae baiThe hain ye 'faatima' hi nahin hai jise shikaayat hai"
"bikhar rahe the har ik samt kaaenaat ke rang magar ye aankh ki jo DhunDti thi zaat ke rang hamaare shahr mein kuchh log aise rahte hain safar ki samt bataate hain jin ko raat ke rang ulajh ke rah gae chehre miri nigaahon mein kuchh itni tezi se badle the un ki baat ke rang bas ek baar unhein khelne kaa mauqaa do khud in ki chaal bataa degi saare maat ke rang havaa chalegi to khushbu miri bhi phailegi main chhoD aai huun peDon pe apni baat ke rang"
"kaho to naam main de duun ise mohabbat kaa jo ik alaav hai jalti hui rifaaqat kaa jise bhi dekho chalaa jaa rahaa hai tezi se agarche kaam yahaan kuchh nahin hai ujlat kaa dikhaai detaa hai jo kuchh kahin vo khvaab na ho jo sun rahi huun vo dhokaa na ho samaaat kaa yaqin karne lage log rut badalti hai magar ye sach bhi karishma na ho khitaabat kaa sanvaarti rahi ghar ko magar ye bhuul gai ki mukhtasar hai ye arsa yahaan sukunat kaa chalo ki is mein bhi ik-aadh kaam kar Daalein jo mil gayaa hai ye lamha zaraa si mohlat kaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"shab ki taarik raahdaari hai aur miraa khauf iztiraari hai sabz khvaabon ki kam se kam qimat zindagi bhar ki ashk-baari hai ik musallat-shuda tamaddun ko ye na kahiye ki ikhtiyaari hai shash-jihaati mushaahida hai miyaan tajrabon ki sanad pe bhaari hai shukriya aap ki mohabbat kaa dil kaa maqsum sogvaari hai tajziye sun ke muskuraa denaa apni itni hi zimmedaari hai"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"